Jumadi-ul-Awal Ki Nafli Ibadat

Jumadi-ul-Awal Ki Pehli Tareekh Ki Shab Ko Baad Nimaz-e-Mughrab 8 Rakat Nafal Parhay.Har Rakat Main Surat Fatiha Ky Bad Surah Ikhlaas 11 Bar Parhay.Yeh Nimaz Bouht Afzal Hai Or Is Ky Parhnay Sy Insha Allah Ta'ala Be-Shumar Ibadat Ka Swab Rab Ta'ala Ki Tarf Sy Ata Kiya Jaye Ga.
(Jawhar Al-Ghaibi)

Jumadi-ul-Awal Ky Nawafal

Jumadi-ul-Awal Ki Pehli Tareekh Ko Bad Nimaz-e-Esha 20 Rakat 10 Salam Ky Sath Is Tarha Parhay K Har Rakat Main Surat Fatiha Ky Bad Surat Ikhlaas Aik Aik Bar Parhain.Bad Salam Ky Aik So (100) Martba Darood Shareef Parhay.Insha Allah Is Nimaz Ki Barkat Sy Allah Ta'ala Isay Be-Shumar Nimazon Ka Swab Parhnay Walay Ko Ata Krain Gain.

Farman Hazrat Siddique Akbar (R.A)

Hazrat Imam Hussain (R.A) Quote

Nabi Kareem (SAW) Ka Andaz-e-Guftagu

Umm-ul-Momaneen Hazrat Ayesha Siddiqa (R.A) Farmati Hain "Jis Tarha Tum Log Muslsal Or  Mutwatar Guftagu Krtay Ho Or Rasool Allah (SAW) Is Tarha Guftagu Na Farmaty Thy Balky Baat Krtay Waqt Agr Koi Shakhs Ap (SAW) Ky Alfaaz Shumar (Ginna) Krna Chahta Tu Shumar Kar Sakta Tha."
(Bukhar Or Muslim Shareef)
Hazrat Ayesha Siddiqa (R.A) Farmati Hain "Main Ny Nabi Kareem (SAW) Ko Kabhi Bhi Is Tarha Khul Khula Kar Hanstay Hovay Nahi Dekha Ka Ap (SAW) Ka Talu Mubarak Nazar Anay Lagy Balky Ap (SAW) Sirf Muskuraya Krtay Thy."
(Bukhari Shareef)
Humain Jab Bhi Kisi Sy Guftagu Krnai Ho Tu Ahista Sy Bolna Chahiye Taky Jis Sy Baat Ki Jaye Woh Humari Baat Ko Asaani Sy Samjh Sakay Or Guftagu Ky Doraan Hath Per Hath Nahi Marna Chahiye Or Apni Guftagu Main Narmi Or Sabr-o-Tahammul Sy Kaam Lena Chahiye.
Allah Ta'ala Hum Sab Ko Hazoor Akram (SAW) Ki Sunnaton Ky Mutabik Zindgi Guzarnay Ki Taufeeq Ata Frmaye.Ameen 

Hazrat Umar Farooq (R.A) Silsila Nasb

Hazrat Umar Farooq (R.A) Silsila Nasb Walid Muhtarm O r Walida Muhtarma Ki Tarf Sy Youn Hai:
  • Walid Ki Tarf Sy
Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Walid Ki Tarf Sy Umer Bin Khatab Bin Nafeel Bin Abdulaza'a Bin Rubha Bin Abdullah Bin Qart Bin Zarah Bin Adi Bin Ka'ib Bin Loi.
Athvi (8th) Pusht Main Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Rasool Akram (SAW) Ky Silsila Nasb Sy Ja Milta Hai.
  • Walida Ki Tarf Sy
Ap (R.A) Ki Walida Majida Ka Naam Hatmah Bint Hashim Bin Mughaira Hai.Jabky Aik Riwayat Ky Mutabik Bint Hashim Bin Mughaira Bin Abdullah Bin Umer Bin Makhzoom Hai.Is Tarha Pahlay Qoule Ky Aitbaar Sy Abu Jahal Ki Chacha Zaad Behan Or Dosray Qoule Ky Lahaz Sy Abu Jahal Ki Behan Hoti Hai.

For More Details . . .

Popular Posts