Ramdan-ul-Mubarak Ki Fazeelat

Hazoor Akram (SAW) Farmatain Hain K Mah-e-Ramdan Allah Ta'ala Ka Mahina Hai.Bouht Hi Ba-Barkat Or Fazailat Wala Mahina Hai Or Sabr-o-Shukar Or Ibadat Ka Mahina Hai.Is Mah-e-Mubarak Ki Ibadat Ka Swab 70 Guna Zyda Ata Hota Hai.Jo Koi Apnay Rab Ki Ibadat Kar Ky Is Ki Khush Nodi Hasil Kray Ga Is Ki Bari Jaza Khuda Wand-e-Ta'ala Ata Farmaye Ga.

Zakat Denay Ky Fawaid

  1. Zakat Samaji Falah-o-Bahbood Ka Behtreen Zariya Hai.
  2. Zakat Ki Zariye Mashray Ky Mahroom Or Muflas Ki Kafalat Ho Jati Hai.
  3. Zakat Sy Mashray Main Nafrat-o-Intaqam Ky Bajay 
  4. Humdardi-o-Ihtaraam Or Bahami Muhbat Ky Jazbaat Ko Faroogh Hasil Hota Hai.
  5. Zakat Denay Walay Ky Dil Sy Maal Ki Muhabt Mit Jati Hai Or Allah 
  6. Ta'ala Ki Raza Hasil Krnay Ka Jazba Ghalab Aa Jata Hai.
  7. Ghareebo Sy Humdardi Paida Ho Jati Hai.
  8. Daulat Ky Gardash Main Anay Sy Mashrzy Ky Afraad Ki Mali Halat Behtar Ho Jati Hai.

Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat

Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:

"Jis Ny Iman Or Ihtasaab Sy Ramdan Ky Mahinay Main Rozay Rakhay Tu Is Ky Pichlay Tamam Gunah Mauf Kar Diye Jain Gain."

"Roza Mere Liye Hai Main Hi Is Ka Badla Don Ga."
(Sehi Bukhari)

"Jo Shakhs Ramdan Main Kisi Roza Dar Ko Raza Iftar Krai Ga,Is Ky Gunaho Ky Liye Maufi Hai Or Woh Khud Ko Jahnam Ki Aag Sy Bachai Ga Or Usay Roza Dar Jitna Hi Swab Milay Ga Jab Ky Is Roza Dar Ky Liye Apnay Swab Main Koi Kami Waqiya Nahi Ho Gi."
(Tarmzi-Ibn-e-Majha)

Quran Majeed Main Rozay Ki Ahmiyat

Arshad-e-Bari Ta'ala Hai:

"Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gaye Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gaye Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."
(Surah Al-Baqra: 183)

Mazkora Bala Ayat Main Jahan Rozay Ka Farz Hona Sabat Hota Hai,Waha Is Ko Farz Krnay Ki Hikmat Bhi Maloom Hoti Hai Or Woh Hai Taqwa Ka Hasool.
Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.

"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Paye Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay."
(Surah Al-Baqra: 185)
Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat

Islam Main Rozay Ka Mafhoom

Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krna Or Chup Rehna.Istalah-e-Deen Main "Soom" Sy Muraad Hai K Subah Sadaq Sy Gharoob-e-Aftab Tak Khanay Peenay Or Mubashrat Sy Rukay Rehna.

Popular Posts