Jumadi-ul-Sani Ki Nafli Ibadat

Hazrat Akhtab Bin Hasaan (R.A) Sy Rewayat Hai K Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Is Mahina Ki Shab-e-Awal Main 12 Rakat Nafal Ada Kiya Krtay Thy.Is Nimaz Ky Liye Koi Surat Khas Nahi Aksar Sihaba Karam (R.A) Ny Bhi Is Par Aitfaaq Kia Hai.
(Fazail Al-Mashhoor) 

Wise Quotes Of Shiekh Saadi (R.A)

  1. Na Tu Is Qadar Sakhti Kar K Log Tujh Sy Tang Aa Jain.Or Na Is Qadar Narmi Kar K Tujh Par Hi Hamla Kar Dain.
  2. Jo Shakhs Taqat Ky Dino Main Naiki Nahi Krta.Zaeef Ky Dino Main Sakhti Uthata hai.
  3. Sab Danao'n Ka Is Par Itfaq Hai K Haq Shanas Kuta, Na Shukar Guzar Insan Sy Kehain Acha Hota Hai.
  4. Jo Shakhs Apnay Sy Zyda Taqatwar Ky Sath Zoor Azmai Krna Chahta Hai.Woh Apnay Ap Ko Tabah Krnay Main Dushman Ki Imdad Krta Hai.
  5. Yeh Zarori Nahi K Jo Koi Khobsurat Ho.Naik Serat Bhi Ho Ga.Kaam Ki Cheez Andar Hoti Hai Bahar Nahi.

Jumadi-ul-Sani Ki Nafli Ibadaat

Jumadi-ul-Sani Ki Yakam Tareekh Main 4 Rakat Ada Kray Har Rakat Main Surah Ikhlaas 13 Martba Parhay,Tu Aik Lakh Nekiyan Lekhi Jati Hain Or Aik Lakh Burrayan Door Ki Jati Hain.
(Fazail Al-Mashhoor) 

Jumadi-ul-Sani Ky Waqiat

  1. Is Mahina Ki Pehli Tareekh Ko Rasool Khuda (SAW) Ky Samnay Syedna Jabrail (A.S) Ay Thy.
  2. Isi Mah Ki 22 Tareekh 13 Hijri Ko Hazrat Umar Bin Khataab (R.A) Takht-e-Khilafat Par Baithay Thy.
  3. Isi Mah Ki 20 Tareekh Ko Syedah Fatima-tul-Zuhra (R.A) KI Wiladat Mubaraka Hovi Thi.
(Ajaib Al-Makhloqaat)

Details Mah-e-Jumadi-ul-Sani

Yeh Mahina Islami Saal Ka 6 Hai.Is Ky Naam Ki Waja Tasmiya Yeh Bayan Ki Jati Hai K Is Waqt Pani Jamnay Walay Mousam Ki Akheer Thi Is Liye Is Ka Naam Jumadi-ul-Akhir Par Gaya.Jisay Baad Main Jumadi-ul-Sani Kaha Janay Laga.

Jumadi Awal Ki Shab-e-Awal Ky Nawafal

Jo Shakhs Jumadi-ul-Awal Ky Mahina Ki Pehli Tareekh Ko Chaar Rakat Is Tarha Ada Kray K Har Rakat Main Surat Ikhlaas Gayara (11) Bar Parhay.Allah Ta'ala Naway Hazaar Saal Ki Naikyan Is Ky Nama Amaal Main Darj Kar Dete Hain Or Naway Hazaar Saal Ki Burayan Is Ky Nama Amaal Main Kharaj Kar Di Jati Hain.
(Jawhar Al-Ghaibi)

Jumadi-ul-Awal Ky Fazail

Jumadi-ul-Awal Islami Saal Ka Panchwan Mahina Hai.Jumadi Awal Ka Mutlab Hai "Ksi Cheez Ka Jam Jana Hai".Aisay Mousam Main Jab Pani Har Tarf Jam Jata Tha Tu Isay Jumadi-ul-Awal Kaha Janay Laga.Quran-o-Hadiths Main Is Ki Fazailat Ky Baray Main Kuch Nahi Kaha Gay.

Jumadi-ul-Awal Ky Mashhoor Waqayat

  1. Jumadi-ul-Awal Ki 8 Tareekh Ko Dimaad-e-Rasool (SAW) Paida Hovay.
  2. Waqaya Jamal Isi Mah Ki 15 Tareekh Ko Paish Aya Tha.