Farameen Hazrat Imam Hussain (R.A)

  1. Ilm Or Burd Bari Insan Ki Seerat Ko Arasta Krti Hai.
  2. Zilat Bardasht Krnay Sy Mout Behtar Hai.
  3. Moman Woh Nahi Jis Ki Mehfal Paak Ho, Bal'ky Moman Woh Hai Jis Ki Tanhai Paak Ho.
  4. Zulam Ky Khalaf Jitni Deer Sy Utho Gy Itni Hi Zyda Qurbani Deni Paray Gi.
  5. Jo Tumhain Dost Rakhta Hai Woh Burai Sy Rokay Ga Or Jo Tumhain Dushman Rakhay Ga Woh Tumhain Burai Par Ubharay Ga.

Namaz-e-Janaza Ki Chand Shrait

Nimaz Janaza Ki Shrait Jis Ky Beghair Janaza Nahi Hota.
  1. Namaz-e-Janaza Parhnay Walay Ka Qaradar ,Aqil-o-Baligh Muslman Hona
  2. Jis Ki Namaz-e-Janaza Parhai Jaye Is Ka Muslman Hona Zarori Hai
  3. Miyat Ka Jism-o-Kafan Paak Hona Chahiye
  4. Jaha Namaz-e-Janaza Ho Is Ky Agay Janaza Hona Chahiye
  5. Janaza Ko Zameen Par Rakhna Chahiye
  6. Janaza Muslla'a Ky Agay Qibla Rukh Hona Chahiye
  7. Miyat Ka Woh Hissa Chupa Hona Chahiye Jisay Azroy Shariyat Chupana Zarori Hai
  8. Miyat Ko Imam Ky Muhazi Hona Chahiye.

    Wozu Krnay Ka Masnoon Tareeqa

    Wozu Ka Masnoon Tareeqa Hasb-e-Zeel Hai.
    1. Achi Tarha Hathoo Ko Dhoona
    2. Teen Baar Kuli Krna
    3. Teen Baar Naak Main Achi Tarha Pani Dalna
    4. Chehray Ko Paishani Ky Baalo Sy Thorri Ky Neechy Tak Or Aik Kaan Ki Lu'u Sy Dosray Kaan Ki Lu'u Tak Achi Tarha dhoona
    5. Kahniyou Smeet Bazo'o Ko Dhoona
    6. Sar Ka Mas'ha Krna
    7. Tukhnoo Smeet Dono Pao'n Ko Dhoona
    8. Wozu Krtay Hovy Yeh Khayal Krna K Pahlay Jism Ka Daya (Right) Hissa Or Phir Baya (Left) Hissa Dhooya Jay.
    9. Jism Ky Aza'a Ko Teen Baar Dhoona.

    Sydena Abu Bakr Siddique (R.A) Ki Fazilat (Hadiths Ki Roshani Main)

    1. 93:Hazrat Abdullah (R.A) Sy Marvi Hai K Jannab Rasool Allah (SAW) ny Frmaya:Main Her Dost Ki Dosti Sy Bezaar Hon Agr Main Kisi Ko (ALLAH KY Siwa) Dost Banata Tu Abu Bakr Siddique (R.A) Ko Banata.Tumhara Sathi Allah Ka Dost Hai.Waqia Frmatain Hain K Inhon Ny Apny Mutaulq Frmaya.
    2. 94:Hazrat Abu Hurrira (R.A) Sy Marvi Hai K Jannab Rasool Allah (SAW) Ny Frmaya:Mujhay Kisi Ky Maal Ny Itna Nafa (Profit) Nahi Diya Jitna Abu Bakr (R.A) Ky Maal Ny.Abu Bakr (R.A) Ro Pary Or Kehnay Lagy Ya Rasool Allah (SAW)! Main Or Mera Maal Ap Hi Ky Liye Tu Hai.

    (Sunan Abn-e-Majha ,Jild:1, Chapter :Ashaab-e-Rasool Allah (SAW) Ky Fazail,Hadiths No:93-94)