Khawand Ki Na-Shukri Krnay Wali Aurtain

Hazrat Abdullah Ibn-e-Abbas (R.A) Rewayat Krtain Hain K Hazoor Akram (SAW) Ny Frmaya: 
'Mujhay Dozikh Dekhlai Gai Tu Is Main Zyda Tar Auratain Thein, Jo Kuffar Krti Hain.Kaha Gaya Hazoor (SAW) Kiya Woh Allah Ky Sath Kuffar Krti Hain? Ap (SAW) My Frmaya K Khawand Ki Na-Shukri Krti Hain Or Ehsaan Ki Na-Shukri Krti Hain. Agr Tum Umer Bhar In Main Sy Kisi Ky Sath Ehsaan Krtay Reho.Phir Tumhari Taraf Sy Koi In Ky Khayal Main Na-Gawari Ki Baat Ho Jaye Tu Foran Keh Uthain Gi K Main Ny Kabhi Bhi Tujh Sy Koi Bhulai Nahi Dekhi.'
(SEHI BUKHARI, 1: BOOK, EMAAN KY BARAY MAIN: HADITH, 29)

Agar Aurat Apnay Shuhar Ko Takleef Na Pohncye

Hazrat Abu Imama (R.A) Sy Rewat Hai K Rasool Allah (SAW) Ky Pas Aik Aurat Ai, Us Ky Do (2) Bachay Thy. Aik Ko Goad Main Liye Hovi Thi, Dosray Ko Khench Rehi Thi. Ap (SAW) Ny Frmaya: 
'Yeh Auratain Bachon Ko Uthanay Wali, Paida Krnay Wali, Apnay Bachon Par Rehm Krnay Waliyan. Agr Apnay Shuhron Ko Takleef Na Ponchaye, Tu Jo In Main Sy Nimazi Hain Woh Jannat Main Jayen.'
(SUNAN IBN-E-MAJAH, 2: BOOK, AL-NIKKAH: HADITH, 2013)

Qaza'a Sirf Dua Hi Badal Sakti Hai

Hazrat Suleman (R.A) Sy Rewayat Hai K Rasool Allah (SAW) Ny Arshad Frmaya:
'Qaza'a (Mout) Sirf Dua Hi Badal Sakti Hai Or Umar Ko Naiki Ky Alawah Koi Cheez Nahi Barha Sakti.'
(JAMIA TIMIZI, 2: BOOK, TAQDEER KA BAYAN: HADITH, 9)

Jo Shakhs Kisi Ky Ghar Main Nazar Maray

Hazrat Umer (R.A) Sy Marvi Hai K RASOOL ALLAH (SAW) Ny Arshad Frmaya:
'Jo Admi Kisi Ky Ghar Main Nigah Maray! Tu Is Ka Nig'hebaan Frishta, Is Ko Kehta Hai! 'Afsoos Tujh Par! Tu Ny Iziyat Di Or Na-Farmaani Ki.'Phir Is Par Qayamat Tak Ky Liye Aag Jala Di Jati Hai.Jab Woh Qabr Sy Niklta Hai, Tu Woh Frishta Is Ky Munh Par Aag Marta Hai. Is Ky Baad! IS Ky Sath Kiya Muamlah Ho Ga! Tum Samjh Sakty Ho.'
(KANZ-UL-AMAAL, 5: BOOK, BAD-NAZRI: HADITH, 13636)