Hajj Ki Sheraiyt
- Hajj Karny Walay Ky Pas Itna Maal Ho Jo Is Ki Rihaish, Kapro'n, Nokro'n, Ghar Ky Samman Or Degar Zaroryat Sy Is Qadr Zaaid Ho K Makkah Makrma Tak Janay K Duraan Hajj Tak Wahan Rehnay Or Wapis Aany Tak Suwari K Kharch K Liye Kafi Ho Or Is K Pas Is K Elwa Itna Maal Ho Jis Sy Woh Apny Qarza Jaat Ada Kar Saky Or Is Aarsa K Liye Is K Ahl-o-Eyaal Ka Kharch Pura Ho Sakay Or Ghar Ki Marmat Or Degar Mussaraf Ada Ho Sakay.
- Is Ko Yeh Ilm Ho K Is Par Hajj Krna Farz Hai.
- Woh Shakhs Sallm Al-Ezhaa Or Tandursat Ho.Mauzoor, Bemaar, Maflooj Or Bouht Borhay Par Hajj Farz Nahin.
- Agar Rasta Main Sallamti Ghalib Ho Tu Us Par Hajj Farz Hai Warna Nahin.
- Agar Is K Shahr Or Makkah Makrma K Darmiyan Teen Din Ya Is Sy Zaida Ki Musaft Ho Tu Orat K Liye Zarori Hai K Is K Sath Is Ka Khawand Ya Is Ka Mahram Ho Or Mahram K Liye Zarori Hai K Woh Mamoon, Azad, Aaqal Or Baligh Ho.Mahram Ka Kharch Hajj Krnay Walay K Zima Hai.
- Orat K Liye Yeh Bhi Zarori Hai K Woh Is Waqt Edat-e-Wafat Ya Edat-e-Talaq Na Guzar Rahi Ho.
No comments:
Post a Comment