Farman Hazrat Ali (R.A)

  1. Jis Ki Nazar Main Khud Apnay Nafs Ki Izat Ho Gi,Woh Apni Nafsani Khawhisho Ko Be-waqt Samjhy Ga.
  2. Barish Ka Qatra Sanp Or Saip Dono Ky Munh Main Jata Hai Lakin Sanp Isay Zahr Or Saip Isay Moti Bana Deta Hai.Yeh Har Aik Ki Apni Takhleeq Hai.
  3. Jis Ny Kisi Ko Akele Main Nasihat Ki Us Nay Usay Sunwaar Diya Or Jis Nay Kisi Ko Sab Ky Samny Nasihat Ki Us Nay Usay Mazeed Be-gaar Diya.
  4. Jhoot Bol Kar Jeet Janay Sy Behtar Hai Sach Bol Kar Haar Jao.
  5. Be-hoda Mazaq Ahamqo Ki Tafreeh Hai Or Jahilo'n Ka Hunar.

No comments:

Post a Comment