Aqwal Hazrat Nazamuddin Auliya (R.A)
- Dua Ky Waqt Kisi Gunah Ya Ataat Ka Khayal Dil Main Lanay Ki Bajai Khuda Ki Rehmat Par Nazar Rakhni Chahiye.
- Haq Ta'ala Par Bhrosa Rakhna Chahiye.Or Is Ky Sewa Kisi Sy Umeed Nahi Rakhni Chahiye.
- Admi Ka Iman Is Waqt Tak Kamal Nahi Hota.Jab Tak Is Ki Nigah Main Tamam Makhloq Machar Sy Bhi Kam Haqeeqat Maloom Ho.
- Jo Shakhs Rah-e-Muhabat-o-Marfat Main Kamal Hai.Is Sy Alim Batan-o-Zahar Main Koi Chez Posheeda Nahi Or Na Hi Posheeda Rehti Hai.
- Marfat Ka Nishan Yeh Hai K Is Main Khamoshi Bouht Ho.Agr Kisi Waqt Baat Kray Tu Baqadr Zarorat Kray.
- Darwesh Ky Dil Main Ajz-o-Inkassari,Tasleem-o-Raza, Khoof-o-Rija Or Sabar-o-Shukar Ky Osaaf Ka Hona Lazmi Hai.
No comments:
Post a Comment