Quotes Hazrat Khawja Sirajuddin (R.A)

  1. Raat Ko Grya Kar Or Din Ko Makhlooq-e-Khuda Ki Khidmat Kar.
  2. Dosro Ky Aib Posheeda Rakh.Taky Khuda Tere Aib Bhi Posheeda Rakhay.
  3. Ilm Ki Qadar Ahl Ilm-o-Fazal Hi Jantay Hain.
  4. Ilm Tumhari Aisy Hafazat Krta Hai Jaisay Maa Bachay Ki.

Saying Hazrat Ali (R.A)

  1. Momin Woh Nahi Jis Ki Mahfal Pak Ho,Momin Woh Hai Jis Ki Tanhai Pak Ho.
  2. Kisi Ko Tum Chaho Or Woh Tumhain Thukra Day Yeh Us Ki Bad Nasebi Hai.Koi Tumhain Na Chahay Or Tum Usay Zabrdasti Apna Banana Chaho Yeh Tumhare Nafs Ki Zilat Hai.
  3. Tum Acha Kro Or Zamana Tum Ko Bura Samjhay Yeh Tumhare Haq Main Behtar Hai Ba-jai Is Ky K Tum Bura Kro Or Zamana Tum Ko Acha Samjhay.
  4. Acha Insan Woh Hai Jo Kisi Ka Diya Hova Dukh Tu Bhula Day Magr Kisi Ki Di Hovi Muhbat Kabhi Na Bhulai.
  5. Musibat Main Ho Tu Kabho Yeh Na Socho K Kon Sa Dost Kam Aay Ga Balky Yeh Socho K Ab Kon Sa Dost Chor Kar Jay Ga.

Rabi-ul-Awal Main Khushi Manany Ki Daleel

Tajdar-e-Risalat (SAW) Jahan Main Fazal-o-Rehmat Ban Kar Tashreef Laye, Or Yaqeen'n Allah Ki Rehmat Ky Nazool Ka Din Khush-o-Masrat Ka Din Hota Hai.
Chunacha Allah Tabarak-o-Ta'ala Arshad-e-Bari Ta'ala Hai:

"Tum Frmao Allah Hi Ky Fazal Or Isi Ki Rehmat Or Usi Par Chahiye K Khushi Krain.Woh In Ky Sab Dhan-o-Doulat Sy Behtar Hai."
               (Surah Al-Younas:57)

Kiya Humray Piyaray Rasool Allah (SAW) Sy Barh Kar Bhi Koi Allah Ki Rehmat Hai.Quran Majeed Main Saaf Saaf Elaan Hai.

"Or Hum Ny Tumhain Na Bheja Magr Rehmat Saray Jahan Ky Liye."
                (Surah Al-Anbiya:107)

Frman Hazrat Umar Farooq (R.A)

  1. Khuda Ta'ala Is Shakhs Par Rehmat Frmaye Jo Mere Ayoub Par Mujhy Matla Krta Hai.
  2. Jab Aik Alim Ki Laghzish Hoti Hai Tu Is Sy Alam Laghzish Main Par Jata Hai.
  3. Main Kisi Chez Ko Nahi Dekhta Magr Is Ky Sath Allah Ko Dekhta Hon.
  4. Agr Main Aisi Halat Main Mar Jaon K Apni Mehnat Or Sei Sy Rozi Ki Talash Krta Hon Tu Mujhy Is Sy Zyda Pasind Hai K Khuda Ki Raah Main Nimazi Ho Kar Maron.
  5. Logo Ky Sath Naik Khalq Adhi Aqal Hai Husan-e-Sawal Nasaf Ilm Hai Or Husan-e-Tadbeer Nasaf Maishiyat Hai.

Saying Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)

  1. Insan Khud Azeem Nahi Hota Balkay Us Ka Kardar Azeem Hota Hai.
  2. Chori Or Khayanat Sy Bacho Aflaas Paida Krti Hai.
  3. Woh Shakhs Nehait Bad Bakht Hai K Khud Mar Jaye Lakin Us Ka Gunah Na Maray.
  4. Jo Allah Ta'ala Ky Kamoo Main Lag Jata Hai Allah Ta'ala Is Ky Kamo Main Lag Jata Hai.
  5. 100 Darham Main Sy 2.5 Darham Ghareebo'n Or Duniya Daro Ki Zakat Hai Or Siddiquo Ki Zakat Tamam Maal Ka Sadqa Kar Dena Hai.

Rabi-ul-Awal Ki Nafli Nimaz

Mah-e-Rabi-ul-Awal  Ki 12 Tareekh Ko Baad Nimaz-e-Zuhar Ba Niyat Hadiya Rooh-e-Aqdas (Sallal Laho Alaihe Wassalam)  20 Raka'at Nimaz 10 Salam K Sath Parhay (2,2 Kar Ky Parhi Jain Gi).Har Rak'at Main Surah Fatiha Ky Baad Surah Ikhlaas 21,21 Martba Parhay.Insha Allah Is Nimaz Ky Parhnay Walay Tauheed Par Qaim Or Shirk Sy Be-Zaar Hon Gy.
For More Wazaif's & Ibadaat . . . 

12 Rabi-ul-Awal Ky Mojzaat

12 Rabi-ul-Awal Noor Al-Shareef Ko Allah Ky Mahboob Hazrat Muhammad (SAW) Ki Duniya Main Jalwa Gari Hotay Hi 
  1. Kufar-o-Zulmat Ky Badal Chhat Gy
  2. Shah-e-Iran (Kisri) Ky Mahal Par Zal'zala Aya,14 Kinggray Gir Gy.
  3. Iran Ka Atish Kada Jo Aik Hazar (1000) Saal Sy Shula Zan Tha Woh Bujh Gaya.
  4. Darya Sao Khushk Ho Gaya 
  5. Kabay Ko Wajad Aa Gaya Or Butt Sar Ky Bal Gir Paray.

Rabi-ul-Awal Ky Wazaif

Aik Buzrag Ka Quole Hai K Jo Shakhs Ikhlaas Ky Sath Rabi-ul-Awal Main (1,25,000) Bar Nechay Diye Gy Darood Pak Ko Parhay Ga Isay Hazoor (SAW) Ki Zayarat Ho Gi Or Akhrat Main Isay Hazoor (SAW) Ki Shafa'at Naseeb Ho Gi.Woh Darood Pak Yeh Hai.
"اَلصَّلٰوۃُ وَالسَّلَامُ عَلَیْکَ یَا رَسُوْلَ اللّٰہِ

وَعَلٰی اٰلِکَ وَاَصْحَابِکَ یَا حَبِیْبَ اللّٰہ

Rabi-ul-Awal Ka Wazifa

RABI-UL-AWAL Ka Sab Sy Ala'a (اعلی) Wazeefa (وظیفہ) Darood Pak (درود پاک) Ka Wirrad (ورد) Hai Lahaza'a (لہذا) Is Mah (ماہ) Main Koshish Ki Jaye K Kasrat (کثرت) Sy Darood Pak (درود پاک) Parha Jaye.
Jab RABI-UL-AWAL Ka Chand Nazar Aye,Isi Shab Sy Tamam Mahinay Tak Yeh Darood Shareef (درودشریف) (1025) Bar Bad Nimaz-e-Esha (نمازعشا) Ky Parhay Tu HAZOOR AQDAS (SAW) ((SAW)حضوراقدس) Ko Khawab (خواب) Main Dekhay Ga.
Woh Darood Shareef (درودشریف) Yeh Hai:
"اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَعَلٰٓی الِ مُحَمَّدٍ کَمَا صَلَّیْتَ عَلٰٓی اِبْرَاھِیْمَ وَعَلٰی الِ اِبْرَاھِیْمَ اِنَّکَ حَمِیْدُ مَّجِیْد۔"
(Kitaab Al-Mashaikh)

Rabi-ul- Awal Ky Nawafal

16 Rakat Nawafal
Jab Rabi-ul-Awal Ka Chand Nazar Ay Is Raat Ko Sola (16) Rakat Nafal Parhay (2, 2 Rakat Ki Niyat Se ).Har Rakat Main Surah Fatiha Ky Baad Surah Ikhlaas Teen Teen (3, 3) Bar Parhay.Or Faragh Hon Tu Naflo'n Ke Baad Yeh Darood Shareef Aik Hazaar (1,000) Bar Parhay.
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدِانِ لنَّبِیّ اْلُامِّیِ وَرَحْمَۃُاللّٰہِ وَبَرَکَاتُہُ۔
Is Nimaz Ki Bouht Zyda Fazilat Hai.Or Insha Allah  Is Nimaz Or Darood Shareef  Parhnay Walay Rasool Akram (SAW) Ki Zayarat Faiz Yaab Hon Ge Lakin Is Ka Khayal Rakhain K Ba Wozu Soin.

Quotes Hazrat Imam Hasan (R.A)

  1. Jis Quom Ny Mashwara Sy Kaam Liya Or Woh Rah-e-Hadayat Pa Gai.
  2. Logo Ko Halaak Krnay Wali Teen Cheezain Hain.Takbar, Hars, Hasd.
  3. Hajit Mand Ki Jaiz Zaroryat Ko Pura Krna, Aik Mah Ky Aitkaaf Sy Afzal Hai.
  4. Parosi Ki Zaroryat Ka Khyal Na Rakhna Ain Gunah Hai.
  5. Jo Tumhare Dost Banna Chahtain Hain In Ko Dost Bano, Aqil Kahlao Gy.

Nice Quotes Hazrat Ali (R.A)

  1. Aqal-mand Agr Khamosh Rahy Tu Qudrat Alahi Main Fikar Krta Hai Or Jab Nigah Utha Kar Dekhay Tu Ibrat Hasil Krta Hai.
  2. Kisi Ki Madad Krtay Waqt Us Ky Chehray Ki Janib Mat Dekho,Ho Sakta Hai Uski Sharminda Ankhain Tumhare Dil Main Gharoor Ka Beach Bo Day.
  3. Aqal-mand Ki Koshish Gunaho Ko Tarq Or Apnay Aibo Ki Islah Ky Liye Hoti Hai.
  4. Aqrar-e-Jurm Mujram Ky Liye Sifarish Hai.
  5. Tool-e-Amal Or Khalos-e-Amal Kabhi Jama Nahi Ho Saktay.

Aqwal Shiekh Saadi (R.A)

  1. Museebat Ko Posheeda Rakhna Jawan Mardi Hai.
  2. Mutlya Ghum Or Udasi Ka Behtreen Elaaj Hai.
  3. Achi Aadaat Ki Malka Naik Or Parsa Aurat Agr Faqeer Ky Ghar Main Bhi Ho Tu Isay Bhi Badshah Bana Deti Hai.
  4. Dost Woh Hai Jo Dost Ka Hath Preshan Hali-o-Tangi Main Pakarta Hai.
  5. Burro Ky Sath Naiki Krna Aisa Hi Hai, Jaisy Naiko Ky Sath Burrai Krna.