Rabi-ul-Awal Main Khushiyan Mananay Ki Daleel

Rabi-ul-Awal Ki Khushyan Manany Ky Baray Main Bouht Si Hadiths Mubaraka Hain, Jin Main Sy Chand Yeh Hain.
  • Hazrat Sydna Abu Qatada'a (R.A) Frmatain Hain, Bargah-e-Risalat (SAW) Main Peer (Monday) Ky Rozay Ky Baray Main Daryaft Kiya Gaya (Q K Ap (SAW) Her Peer (Monday) Ko Roza Rakhtay Thy). Tu Arshad Frmaya:"Isi Din Meri Wiladat Hovi Or Isi Rooz Mujh Per Wahi Nazal Hovi."
(Sehi Muslim Shareef) 
  • "Abu Lahab Ky Marnay Ky Bad Is Ky Ahl-e-Khana Main Sy Kisi Ny Jab Isay Dekha (Khawab Main) Tu Buray Haal Main Tha. Is Sy (Abu Lahab) Sy Pocha Kaisay Ho?Abu Lahab Ny Kaha Main Bouht Sakht Azaab Main Hon, Is Sy Kabhi Ch'hutkara Nahi Milta. Lekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata Hai. Jis Sy Main Ny Hazrat Muhammad (Sallalahu AlaihiWa Salam) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Londi) Ko Aazad Kiya Tha. Mujhay (Is Amal Ki Jaza Ky Toor Par) Kuch Seraab Kiya Jata Hai K Is Ny (Ap (SAW) Ki Waladat Mubaraka Ki Khushi Main Apni Ghulaam Londi ) Sobia Ko Azad Kar Diya Tha."
                (Sehi Bukhari Shareef)

Is Rewayaat Ky Tahat Syedna Abdul Haq Muhdas Dehlvi (Rehmat-ul-Alameen) Frmatain Hai Is Waqiye Main Milaad Shareef Walo Ky Liye Bari Daleel Hai.Jo Tajdar-e-Risalat (SAW) Ki Shab-e-Waladat Main Khushyan Manatain Hain Or Maal Kharch Krtain Hain (Yani Jo Abu Lahab Jo K Kafar Tha Jab Woh Tajdar-e-Nibowat (SAW) Ki Waladat Ki Khabar Pa Kar Khush Honay Or Apni Londi "Sobia" Ko doodh Pilanay Ki Khatar Azaad Krnay Par Badla Diya Gaya).Tu Is Muslman Ka Kiya Haal Ho Ga Jo Muhabbat Or Khushi Sy Bhara Hova Hai Or Maal Kharach Kar Raha Hai.Abu Lahab Ny Allah Ky Rasool (SAW) Ki Niyat Sy Nahi Balky Sirf Apnay Bhetjay Ki Waladat Ki Khushi Manai Phir Bhi Us Ko Badla Mila Tu Hum Agr Allah Ki Raza'a Ky Liye Apnay Aqa-o-Moula Muhammad Rasool Allah (SAW) Ki Waladat Ki Khushi Manai Gain Tu Q Kar Mahroom Rehain Gain.

Ap Sab Ko JASHN-e-WALADAT-e-MUSTFA (SAW) Mubarak Ho.

2 comments:

  1. Nice Rabi ul Awal Post FrndzZz
    And Other Rabi ul Awal Wazaif Posts

    ReplyDelete
  2. Why we make it is essential to celebrate 12th Rabi-ul-Awwal? and declared those the enemy (Gustaakh), one who don't celebrate this day on the basis that Sahabah (Companions of Rasoolullah Sal Allaho Alehe wa Sallam) never celebrate this day in the life of Prophet neither after his Wisaal. On Monday Prophet and Sahabah were been in fast but not permanently. They never go to anywhere to congregate for Wajib (obligatory)Salah (Salah, Namaz) but Prophet declared Friday as Eid and order to offer Wajib two raka't Nafl Salah (Obligatory Prayer) to celebrate this day.

    ReplyDelete

Popular Posts