Quran Majeed Main Rozay Ki Ahmiyat

Arshad-e-Bari Ta'ala Hai:

"Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gaye Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gaye Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."
(Surah Al-Baqra: 183)

Mazkora Bala Ayat Main Jahan Rozay Ka Farz Hona Sabat Hota Hai,Waha Is Ko Farz Krnay Ki Hikmat Bhi Maloom Hoti Hai Or Woh Hai Taqwa Ka Hasool.
Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.

"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Paye Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay."
(Surah Al-Baqra: 185)
Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat

No comments:

Post a Comment