Aurat Per Khawand Ky Haq Ka Bayan

Hazrat Abu Hurrira (R.A) Sy Rewayat Hai K 'Nabi Kareem (SAW) Ny Frmaya: 'Agr Main Kisi Ko Kisi Ky Liye Sajda Krnay Ka Hukam Deta, Tu Yaqeen'n Aurat Ko Hukam Deta, K Woh Apnay Khawand Ko Sajda Kray'
(RIAZ-US-SALIHEEN,1:CHAPTER, AURAT PAR KHAWAND KY HAQ KA BAYAN,35:HADITH, 287)

Khawand Ki Na-Shukri Krnay Wali Aurtain

Hazrat Abdullah Ibn-e-Abbas (R.A) Rewayat Krtain Hain K Hazoor Akram (SAW) Ny Frmaya: 
'Mujhay Dozikh Dekhlai Gai Tu Is Main Zyda Tar Auratain Thein, Jo Kuffar Krti Hain.Kaha Gaya Hazoor (SAW) Kiya Woh Allah Ky Sath Kuffar Krti Hain? Ap (SAW) My Frmaya K Khawand Ki Na-Shukri Krti Hain Or Ehsaan Ki Na-Shukri Krti Hain. Agr Tum Umer Bhar In Main Sy Kisi Ky Sath Ehsaan Krtay Reho.Phir Tumhari Taraf Sy Koi In Ky Khayal Main Na-Gawari Ki Baat Ho Jaye Tu Foran Keh Uthain Gi K Main Ny Kabhi Bhi Tujh Sy Koi Bhulai Nahi Dekhi.'
(SEHI BUKHARI, 1: BOOK, EMAAN KY BARAY MAIN: HADITH, 29)

Agar Aurat Apnay Shuhar Ko Takleef Na Pohncye

Hazrat Abu Imama (R.A) Sy Rewat Hai K Rasool Allah (SAW) Ky Pas Aik Aurat Ai, Us Ky Do (2) Bachay Thy. Aik Ko Goad Main Liye Hovi Thi, Dosray Ko Khench Rehi Thi. Ap (SAW) Ny Frmaya: 
'Yeh Auratain Bachon Ko Uthanay Wali, Paida Krnay Wali, Apnay Bachon Par Rehm Krnay Waliyan. Agr Apnay Shuhron Ko Takleef Na Ponchaye, Tu Jo In Main Sy Nimazi Hain Woh Jannat Main Jayen.'
(SUNAN IBN-E-MAJAH, 2: BOOK, AL-NIKKAH: HADITH, 2013)

Qaza'a Sirf Dua Hi Badal Sakti Hai

Hazrat Suleman (R.A) Sy Rewayat Hai K Rasool Allah (SAW) Ny Arshad Frmaya:
'Qaza'a (Mout) Sirf Dua Hi Badal Sakti Hai Or Umar Ko Naiki Ky Alawah Koi Cheez Nahi Barha Sakti.'
(JAMIA TIMIZI, 2: BOOK, TAQDEER KA BAYAN: HADITH, 9)

Jo Shakhs Kisi Ky Ghar Main Nazar Maray

Hazrat Umer (R.A) Sy Marvi Hai K RASOOL ALLAH (SAW) Ny Arshad Frmaya:
'Jo Admi Kisi Ky Ghar Main Nigah Maray! Tu Is Ka Nig'hebaan Frishta, Is Ko Kehta Hai! 'Afsoos Tujh Par! Tu Ny Iziyat Di Or Na-Farmaani Ki.'Phir Is Par Qayamat Tak Ky Liye Aag Jala Di Jati Hai.Jab Woh Qabr Sy Niklta Hai, Tu Woh Frishta Is Ky Munh Par Aag Marta Hai. Is Ky Baad! IS Ky Sath Kiya Muamlah Ho Ga! Tum Samjh Sakty Ho.'
(KANZ-UL-AMAAL, 5: BOOK, BAD-NAZRI: HADITH, 13636)

Her Nasha Awar Cheez Haraam Hai

Hazrat Abdullah Bin Umer (R.A) Frmatain Hain K Rasool Allah (SAW) Ny Arshad Frmaya: 'Her Nasha Awar Cheez Haraam Hai Or Jis Ki Kaseer Muqdaar Nasha Awar Ho Us Ki Qaleel Muqdaar Bhi Haraam Hai.'
(Sunan Ibn-e-Majah, 3: Book, Al-Sharabtah: Hadith, 3392)

Jo Shakhs Allah Ky Naam Pe Panah Talab Kray (جوشخص اللہ کے نام پے پناہ طلب کرے)

Hazrat Abdullah Bin Umer Sy Rewayat (روایت) Hai K Rasool Allah (SAW) Ny Frmaya: 'Jo Shakhs (شخص) Allah Ky Naam (نام) Pe Panah (پناہ) Talab (طلب) Kray Tu Is Ko Panah (پناہ) Do Or Jo Shakhs Tumhari Dawat (دعوت) Kray Isay Qabool (قبول) Kro Or Jo Shakhs Tumhare Sath Ehsaan (احسان) Kray Tu Tum Is Ko Is Ka Badla (بدلہ) Do, Agr Is Ka Badla (بدلہ) Chukanay (چکانے) Ki Taqat (طاقت) Na Ho Tu Is Ky Haq (حق) Main Dua-e-Khair (دعانے خیر) Krty Reho. Yahan Tak K Tum Mehsoos (محسوس) Kro K Is Ka Badla (بدلہ) Pura (پورا) Ho Gaya.'
(Sunan Abu Dawood, 1: Book, Al-Zakat: Hadith, 1659)

Jis Shakhs Ny Apnay Fa'qay Par Sabr Kiya (جس شخص نے اپنے فاقے پر صبر کیا)

Hazrat Abdullah Bin Masood (R.A) Sy Rewayat Hai K Rasool Allah (SAW) Ny Frmaya: 'Jis Ko Fa'qay (فاقے) Main Mubtla (مبتلا) Kiya Gaya Or Is Ny Apni Hajat (حاجت) Logon Sy Bayan Krni Shoro (شروع) Kar Di Or Chaha K Log Is Ki Hajat (حاجت) Puri (پوری) Kar Dain Tu Aisay Shakhs Ka Fa'qa (فاقہ) Door Nahi Kiya Jaye Ga. Lakin Is Ny Apni Azmaish (آزمائش) Par Sabr (صبر) Kiya Or Allah Ta'ala Ki Taraf Ruju (رجوع) Kiya Tu Allah Ta'ala Jald (جلد) Ya Badair (بدیر) Isay Rizq (رزق) Ata Frmaye Ga.'
(Jamia Tirmizi, 2: Book, Gawahiyoun Ka Bayan: Hadith, 207)

Khuda Wand-e-Qadoos Ko Kon Sa Amal Pasind Hai? (خداوند قدوس کو کون سا عمل پسند ہے ؟)

Hazrat Abdullah Bin Masood (R.A) Sy Rewayat Hai K Main Ny Hazrat Rasool Kareem (SAW) Sy Dryaft Kiya K: 'Khuda Wand-e-Qadoos' Ko Kon Sa Amal (عمل) Pasind Hai? Ap (SAW) Ny Frmaya: 'Waqt (وقت) Par Namaz (نماز) Ada Krna Or Waldeen (والدین) Sy Husn-e-Salook (حسن سلوک) Krna Or Rah-e-Khuda (راہ خدا) Main Jehad (جہاد) Krna.'
(Sunan Nisai, 1: Book, Namaz Ka Bayan: Hadith, 614)

Juma Ky Din Aik Garri Aisi Hai (جمعہ کے دن ایک گھڑی ایسی ہے)

Hazrat Jabar Bin Abdullah (R.A) Sy Rewayat Hai K Rasool Allah (SAW) Ny Frmaya: 'Juma Ka Din 12 Sa'aat (ساعت) Ka Hota Hai, In Main Sy Aik Sa'aat (ساعت) (Garri (گھڑی)) Aisi Hai K Agr Is Waqt (وقت) Koi Muslman (مسلمان) Banda (بندہ) Allah Sy Kuch Mangay Tu Is Ko Zaroor Diya Jaye Ga, Pas Is Garri (گھڑی) Ko Asar (عصر) Ky Baad Akhir (آخیر) Waqt Main Talash (تلاش) Kro.'
(Sunan Abu Dawood, 1: Book, Namaz Ka Bayan: Hadith, 1036)

Jis Ny Juma Ky Din Ghusal Kiya Or Ghusal Karwaya (جس نے جمہ کے دن غسل کیا اورغسل کروایا)

Rasool Allah (SAW) Ny Frmaya: 'Jis Ny Juma Ky Din Ghusal (غسل) Kiya Or Ghusal Karwaya Or Masjid (مسجد) Main Jaldi (جلدی) Gaya, Imam (امام) Ka Ibtadai (ابتدائی) Khutba (خطبہ) Paya Or Imam Ky Qareeb (قریب) Ho Khutba Suna (سنا) Or Is Duraan (دوران) Khamosh (خاموش) Raha, Tu Is Ko Her Her Qadam (قدم) Par Aik Saal (سلل) Tak Rozay (روزے) Rakhnay Or Tauhjad (تہجد) Parhnay Ka Ajjar (اجر) (Sawab (ثواب)) Diya Jaye Ga.'
(Jamia Tirmizi, 1: Book, Juma Ka Bayan: Hadith, 477)

Kisi Ky Hath Sy Nawala Gir Jaye (کسی کے ہاتھ سے نوالہ گرجاتے)

Hazrat Jabar (R.A) Frmatain Hain K Rasool Allah (SAW) Ny Arshad Frmaya: 'Jab Tum Main Sy Kisi Ky Hath Sy Nawalah (نوالہ) Girr (گر) Jaye, Tu Is Par Jo Kachra (کچرا) Weghra (وغیرہ) Laga Ho Saaf (صاف) Kar Ky Kha (کھا) Ly.'
(Sunan Ibn-e-Majah, 3:Book, Al Tam'mtah (Khanay Ky Adaab):Hadith, 3279)

Muslman Woh Hai Jis Ki Zuban Or Hath Sy Degar Muslman Bachay Rehain (مسلمان وہ ہے جس کی زبان اور ہاتھ سے دیگر مسلمان بچے رہے)

Hazrat Abdullah Bin Umer-o-Bin Aas (R.A) (حضرت عبداللہ بن عمروبن عاص (رضی اللہ عنہ Rasool Kareem (SAW) Sy Rewayat (روایت) Krtain Hain K Ap (SAW) Ny Frmaya: 'Muslman Woh Hai Jis Ki Zuban (زبان) Or Hath Sy Muslman Bachay Rehain Or Mehajar (مہاجر) Woh Hain Jo In Kaamon Ko Chor Dy Jin Sy Allah Ny Mana (منع) Frmya.
(Sehi Bukhari,1:Book, Eman Ky Baray Main:Hadith,10)

Imam Sy Pehlay Ruku Ya Sajday Sy Sar Uthana (امام سے پہلے رکوع یا سجدے سے سراٹھانا)

Hazrat Abu Hurrira (R.A) Rasool Allah (SAW) Sy Rewayat (روایت) Krtain Hain K 'Ap (SAW) Ny' Frmaya: 'Kia Tum Main Sy Woh Shakhs (Ruku Ya Sajda Main (رکوع یا سجدہ میں)) Imam (امام) Sy Pehlay Apna Sar (سر) Utha (اٹھا) Leta Hai, Is Baat Sy Nahi Drta K Kehain Allah Paak Is Ka Sar (سر) Gadhay (گدھے) Ky Sar (سر) Ki Tarah Bana Dy, Ya Is Ki Surat (صورت) Ko Gadhay (گدھے) Ki Si Surat (صورت) Bana Dy.'
(Sehi Bukhari, 1:Book, Azan Ka Bayan (Namaz Ky Masail):Hadith, 691)

Hijama Ki Fazilat (حجامہ کی فضیلت)

Hazrat Abu Hurrira (R.A) Sy Rewayat (روایت) Hai K Nabi Kareem (SAW) Ny Frmaya: 'Jo Elaaj (علاج) Tum Krtay Ho, Un Main Sy Agr Kisi Main Behtri (بہتری) Ho Tu Woh Puchnay ((پچھنے(حجامہ) Laganay Main Hai.'
(Sunan Ibn-e-Majah, 3:Book, Al-Tibb:Hadith, 3476)

Aqwal Hazrat Ali (R.A) (مدد کرنا ایک بہت مہنگا تحفہ)


Madad Krna Aik Bouht Mehnga Tuhfa Hai, Is Liye Sab Is Ki Tawaqa

Nahi Krni Chahiye,Q K Bouht Kam Log Dil Ky Ameer Hotain Hain.
Hazrat Ali (Radhi Allah Anhu)

Jo Kapra Aurton Ko Pehnana Makroh Hai Is Ka Bayan (جوکپڑاعورتوں کو پہننا مکروہ ہے اس کا بیان)

Hazrat Abu Hurrira (R.A) Ny Frmaya K Jo Aurtain (عورتیں) Kapra (کپڑا) Pehnany (پہنے) Hovay Hain Lakin Nangi (ننگی) Hain, Khud Bhi Seedhi (سیدھی) Rah (راہ) Sy Hati (ہٹی) Hovai Hain Or Khawand (خاوند) Ko Bhi Hata (ہٹا) Deti Hain, Jannat Main Na Jain Gi. Bal-Ky Jannat Ki Khushbo (خوشبو) Tak Na Songain (سونگھیں) Gi, Halan-Ky Jannat Ki Khushbo Paanch So Bars (پانچ سوبرس)  Ki Rah (راہ) Sy Ati Hai.
(Muatta Al-Malik: Hadith, 2197:Safah No, 978)

Mulaqaat Tarak Krnay Ka Bayan (ملاقات ترک کرنے کا بیان)

Hazrat Atta Bin Abdullah Kharsani (R.A) (حضرت عطا بن عبد الله خرسانی رضی الله عنہ) Sy Rewayat Hai K Frmaya Rasool Allah (SAW) Ny Kaha Masafah (مصا فحہ) Kro Aik Dosray Sy, Dil Ka Keenah (دل کا کینہ) Jata Rehay Ga, Hadya (ہدیہ) Bhejo (بهیجو) Aik Dosray Ki Taraf, Dost (دوست) Ho Jao Gy Or Dushmani (دشمنی) Jati Rehay Gi.
(Muatta Al-Malik:Chapter, Mulaqaat Tarak Krnay Ka Bayan:Hadith, 2186)

Shuhrat Ka Kapra Pehnana (شہرت کا کپڑا پہننا)

Hazrat Ibn-e-Umer (R.A) (حضرت ابن عمر رضی الله عنہ) Sy Rewayat (روایت) Hai K Rasool Allah (SAW) Ny Frmaya Jis Ny Kisi Qoum (قوم) Ki Shabahat (شباہت) Ki Woh In Main Sy Hai.
(Sunan Abu Dawood, 3:Chapter, Shuhrat Ka Kapra Pehnana:Hadith No.632)

Jo Shakhs Sota Rehay Or Subah Ki Namaz Na Parhay(جوشخص صبح تک پڑا سوتا رہے اور صبح کی نماز نہ پڑ سے)

Hazrat Abdullah Bin Masood (Radhi Allah Anhu) Sy Rewayat (روا یت) Hai K Nabi Kareem (Sallallaho Alaihy Waslam) Ky Samnay Aik Shakhs Ka Zikar Aya K Woh Subah Tak Para Sota Raha (صبح تک پڑا سوتا رہا) Or Farz Namaz (فرض نماز) Ky Liye Bhi Na Utha (اٹھا).Is Par Ap (SAW) Ny Frmaya: 'K Shaitan (شیطان) Ny Is Ky Kaan (کان) Main Paishaab (پِشاب) Kar Diya Hai.
(Sehi Bukhari, 2:Book Tuhjad Ka Bayan:Chapter, Jo Shakhs Sota Rehay Or Subah Ki Namaz Na Parhay:Hadith 1144)

Sonay Ki Angothi Pehnany Walay Mard Ky Baray Main Waeed (سونے کی انگوٹھی پہننے والے مرد کے بارے میں وعید)

Hazrat Abdullah Bin Abbas (R.A) Kehtain Hain K Rasool Allah (SAW) Ny Aik Shakhs Ky Hath Main Sonay Ki Angothi (سونے کی انگوٹھی) Dekhi Ap (SAW) Ny Is Angothi (انگوٹھی) Ko Is Ky Hath Sy Utar (اتار) Liya Or Pheenk (پھینک) Di Or Phir Frmaya "Tum Main Sy Koi Shakhs Dozikh (دوزخ) Ki Aag (آ گ) Ky Angaray (آ نگا ڑے) Ka Arada (ارادہ) Krta Or Is Ko Hath Ki Ungli (انگلی) Main Pehan (پہن) Leta Hai. Jab Rasool Allah (SAW) Tashreef (تشریف) Ly Gy Tu Is Shakhs Sy Kaha Gaya Tu Apni Angothi (انگوٹھی) Utha Ly (اٹھا لے ) Or Is Sy Faida (فائدہ) Utha. Us Ny Kaha Nahi Khuda Ki Qasam Main Kabhi Nahi Uthaon Ga, Jab Ky Rasool Allah (SAW) Ny Is Ko Pheenk (پھینک) Diya Hai.
(Mishkat Shareef 2:Chapter Angothi Or Muhar Ka Bayan:Hadith 4188)

Qasam Ka Pura Krna (قسموں کا پورا کرنا)

Hazrat Bar'a Bin Aaz'ab (R.A) (حضرت برا بن عازب رضی اللہ عنہ) Sy Rewayat (روایت) Hai K Hum Logon Ko Rasool Allah (SAW) Ny Saat (سات) Cheezon (چیزوں) Ka Hukam (حکم) Frmaya:
  1. Janazon (جنازوں) Ky Pechay Chalna
  2. Be-Maron (بیماروں) Ki Mizaaj Pursi (مزاج پرسی) Ky Liye Jana
  3. Ch'heenk (چھینک) Ka Jawab Dena (Yani Jis Waqat Koi Cheenknay (چھینکنے) Wala Shakhs Cheenk (چھینک) Kar Alhumdullah (الحمداللہ) Kehay Tu Is Waqt Ya-Rehmkullah (یرحمک اللہ) Kehay)
  4. Or Jab Koi Shakhs Dawat (دعوت) Kray Tu Is Ko Qabool Krna
  5. Jis Shakhs Par Zulim (ظلم) Hova Ho, Ya Ho Raha Ho, Tu Is Ki Madid (مدد) Krna, Jis Tareeqay (طریقے) Sy Mumkin (ممکن) Ho Sakay
  6. Qasamon (قسموں) Ko Sacha Krna (Jaiz (جائز) Qasam Khanay Ky Baad Us Ko Pura Krna)
  7. Salam (سلام) Ka Jawab Dena
(Sunan Nisai 3:Book Qasam Or Nazar:Hadith 3812)

Fablous Words Hazrat Muhammad (SAW)

  1. Gunah-e-Sagheera (گناہ صغیرہ) Bar Bar Krnay Sy Sagheera (صغیرہ) Nahi Rehta Bal-ky Kabeera (کبیرہ) Ho Jata Hai Or Gunah-e-Kabeera (گناہ کبیرہ) Istaghfar (استغفار) Ky Bad Baqi Nahi Rehta Bal-ky Mahu (محو) Ho Jata Hai.
  2. Do Kalmay (کلمے) Aisay Hain Jo Zuban (زبان) Par Hal-kay Hain Tarrazo (ترازو) Main Bhari (بھاری) Hain, Rehman (رحمان) Ko Pasind (پسند) Hain: 1.Subhan Allah Wabi Humdihi (سبحان الله وبحمدہ). Subhan Allah Al Azeem (سبحان الله آلعظیم).
  3. Jo Shakhs Subha-o-Shaam (صبح وشام) Tangi Maish (تنگی معاش) Ki Shikayat (شکایت) Krta Rehta Hai Woh Dar Haqeeqat (درحقیقت) Apnay Rab Ki Shikayat (شکایت) Krta Hai.
  4. Jo Shakhs (شخص) Kisi Maal Dar (مالدار) Ki Mahz (محض) Is Ky Maal Dar (مالدار) Honay Ki Waja Sy Izat (عزت) Krta Hai Is Ka Do Tehai Deen (دو تہائی دین) Gharat (غیرت) Ho Jata Hai.

Hazrat Abu Bakar Siddiue (R.A) Ky Akhlaaq-o-Kardar (اخلاق وکردار)

HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE (R.A) Jahlyat (جاہلیٹ) Ky Zamanay (زمانے) Sy Hi Ala Akhlaq-o-Kardar (اعلی اخلاق وکردار) Ky Maalik Thy. HAZRAT AYESHA (R.A) Farmati Hain K Walid Majid (والد ماجد) Ny Jahliyat Or Islam Dono Zamanon Main Sharab (شراب) Ka Aik Qatra (قطرہ) Tak Na Chakha (چکھا) Tha Halan-ky Makkah Walay Sharab Ky Na Sirf Aadi (عادی) Bal-ky Shoqeen (شوقین) Thy.
AP (R.A) Narm Dil Or Sharifana (شریفانہ) Tabiyat (طبعیت) Rakhtay Thy ALLAH TA'ALA Ny AP (R.A) Ko Qalab-e-Saleem (قلب سلیم) Ki Daulat Ata Ki Hovi Thi Yehi Wajah Thi K Apni Qoum (قوم) Ky Aksar Gumraha Kun Atqadaat (گمراہ کن اعتقادات) Or Rassom (رسوم) Waghira Sy Apnay Ap Ko Door Rakhtay Thy. AP (R.A) Ky Akhlaq-o-Kardar (اخلاق وکردار) Ky Hawalay Sy Ibn-e-Hashaam Tahreer Frmaty Hain K

"ABU BAKAR SIDDIQUE (R.A) Apni Qoum (قوم) Main Bouht Talaqaat (تعلقات) Rakhnay Walay Mahboob (محبوب), Narm Akhlaq, Quresh (قریش) Main Behtreen Nasb (نسب) Walay Thy, Quresh Ky Ansaab (انساب) Ka Inhain Tamam Quresh Sy Zyda Ilm (علم) Tha Or In Ki Achai Barai Ko Sab Sy Zyda Jantay Thy, Tajarat Krtay Thy, Khush Mazaj Thy.Husan Mamlaat (حسن معاملات) Ky Sabab Sy Qoum Ky Tamam Afraad (افراد) AP (R.A) Ky Paas Atay Or Ap (R.A) Sy Talaqaat (تعلقات) Rakhtay Thy."
(Seerat Ibn-e-Hashaam)