Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)

Mazhar Kardar Mustfa (SAW),Paishway Kamleen,Khalifa Almuslmeen,Ameer Almomneen,Imam Almutqeen ,Alsadaq Alsadqeen,Jansheen-e-Rassol (SAW),Sultan Almuqrbeen,Imam Alashiqeen,Jalwa Jamal-e-Mustfa (SAW),Wafa Dar-e-Rasool (SAW),Rafeeq Ghar-o-Mazar,Ashiqan-e-Rasool (SAW) Ky Qafla Salaar,Sadaqat Ky ilm Bardar,Sani Asnain Or Walid Umm-e-Almomneen

Hazrat Syedna Abu Bakar Siddique (R.A)
  • Ism-e-Mubarak
Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Ka Ism-e-Paak Abdullah Hai.Ghar Walo Ny Ap (R.A) Ka Naam Abdullah Rakha Tha Magr Ap (R.A) Apni Kiniyat Abu Bakar Sy Zyda Mash'hor Hain.
  • Waladat Basadat
Hazrat Abu Bakar Sadeeq (R.A) Ki Waladat Basadat Ki Babat Allma Jalal-ul-Deen Syuti (Rehmat-ul-Alameen) Tahreer Frmaty Hain.K Ap (R.A) Ki Waladat Hazoor Akram (SAW) Ki Waladat Basadat Sy Do Bars Do Mah Qabil Makkah Makrma Main Hovi Is Hawalay Sy "Safeena-tul-Auliya" Ky Masnaf Dar Shikwa Main Tahreer Frmaty Hain K Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Ki Waladat Basadat Waqiya Feel Ky Do Saal Char Mahinay Baad Hovi.
  • Shajra Nasb 
Hazrat Abu Bakar (R.A) Ka Silsila Nasb Walid KI Tarf Sy Youn Hai:
Abdullah (Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)) Bin Abi Qahfa'h Usman Bin Amir Bin Umero Bin Ka'ib Bin Saad Teyam Bin Mara'h Bin Ka'ib Bin Lovi Bin Ghalib Alqarshi Alteemi.Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Mara'h Bin Ka'ib Par Hazoor Nabi Akram (SAW) Sy Ja Kar Mil Jata Hai.
Walida Ki Taraf Sy
Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Is Tarha Hai.Umm-e-Aalkhair Salma Bint Sakhar Bin Ka'ib Bin Saad Bin Teyam Bin Marha.Ap (R.A) Ki Walida Majida Ki Keniyat Umm-e-Alkhair Thi Jo Ap Ky Walid Ky Chacha Ki Beti Thi.
(Tabqat Ibn-e-Saad.Safeena-tul-Auliya)
  • Akhlaq-o-Kardar
Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Jahlyat Ky Zamanz Sy Hi Ala Akhlaq-o-Kardar Ky Maalik Thy.Hazrat Ayesha (R.A) Farmati Hain K Walid Majid Ny Jahliyat Or Islam Dono Zamano Main Sharab Ka Aik Qatra Tak Na Chakha Tha Halanky Makkah Walay Sharab Ky Na Sirf Aadi Balky Shoqeen Thy.
Ap (R.A) Narm Dil Or Sharifana Tabiyat Rakhtay Thy Allah Ta'ala Ny Ap (R.A) Ko Qalab-e-Saleem Ki Daulat Ata Ki Hovi Thi Yehi Waja Thi K Apni Qoum Ky Aksar Gumraha Kun Atqadaat Or Rassom Waghira Sy Apnay Ap Ko Door Rakhtay Thy.Ap (R.A) Ky Akhlaq-o-Kardar Ky Hawalay Sy Ibn-e-Hashaam Tahreer Frmaty Hain K
"Abu Bakar Siddique (R.A) Apni Qoum Main Bouht Talaqaat Rakhnay Walay Mahboob,Narm Akhlaq,Quresh Main Behtreen Nasb Walay Thy,Quresh Ky Ansaab Ka Inhain Tamam Quresh Sy Zyda ilm Tha Or In Ki Achai Barai Ko Sab Sy Zyda Jantay Thy,Tajarat Krtay Thy,Khush Mazaj Thy.Husan Mamlaat Ky Sabab Sy Qoum Ky Tamam Afraad Ap (R.A) Ky Paas Atay Or Ap (R.A) Sy Talaqaat Rakhtay Thy."
(Seerat Ibn-e-Hashaam)

15 comments:

  1. i Feel happy when I read about the SAHABA's Seerat. I am proud to be a muslim

    ReplyDelete
  2. i Feel happy when I read about the SAHABA's Seerat. I am proud to be a muslim

    ReplyDelete
  3. isalm Qabool krny SY Pehly Hazarat Abu bakar (R.A) ka Kia Name Tha

    ReplyDelete
  4. Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Ka Naam-e-Mubarak 'Abdullah Bin Abi Qahafa'h Tha.
    (Tabqat Ibn-e-Saad, 3: Chapter, Khulfa-e-Rashideen (R.A) Or Sahaba Karaam (R.A): Page, 15)

    ReplyDelete
  5. Hazrath Abu Bakr SIDDIQUE RTA KE kithney Betey aur betian the aur pun KE nam Kia the

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aap apne ghar me tarikh ki kitabein pada kariye

      Delete
  6. Both ache main Muslim history ka student hu itni knowlge class mn in mlti jitni net sent leta hu shukriya

    ReplyDelete
  7. Oxam i proud to be Muslim....

    ReplyDelete
  8. Assalam-O-Alaikum
    Allah has made it obligatory for all the Muslims to perform Hajj at-least once in their lifetime. As mentioned by Allah in the holy Quran “And pilgrimage to the House is a duty unto Allah for mankind, for him who can find a way thither” (Aal Imran 3:97).
    if you are from Muslim Community of UK and want to make your journey comfort towards MAKKAH for Umrah or Hajj then choose our
    . Cheap Hajj & Umrah Packages 2017.

    ReplyDelete
  9. Hazrat Abu bakr Siddiqui ki talimat say mutasir hu ker Islam qabool kernay walu k naaam Kya Hy?

    ReplyDelete
  10. Qissa or Waqia Wafat Hazrat Abu Bakar Siddique RA a Heart Touching Story
    https://youtu.be/h254jZuiaBg

    ReplyDelete
  11. Neem ka pata karwa ha Abu bakr Bharwa ha

    ReplyDelete
  12. Gret..... Alhamdulillah i proud to be muslim

    ReplyDelete

Popular Posts