Nice Words Shiekh Saadi Sherazi (R.A)
- Jab Aamdni Na Ho Tu Kharch Thora Thora Kar.Q K Malah Gaya Krtain Hain K Agr Pahroo Par Barish Na Ho Tu Drya-e-Dajla Bhi Aik Saal Main Khushk Ho jaye.
- Bhura Ho Janay Par Bachpan Ko Chor Do Or Hansi-o-Mizaq-o-Dil Lagi Jawano Ky Liye Rehnay Do.
- Jo Shakhs Bachpan Main Adab Krna Nahi Sekhta.Bari Umer Main Is Sy Bhalai Ki Koi Umeed Nahi.
- Har Woh Larka Jo Ustaad Ki Sakhti Nai Jhelta.Isay Zamany Ki Sakhtiya Jhelna Hoti Hain.
Aqwal Hazrat Majdid Alif Sani (R.A)
- Duniya Main Araam Ka Khawhish Mand Bewaqof Or Kam Aqal Hai.
- Kalaam Ki Afat Tuwalat Or Kaam Ki Afat Firaaght Hai.
- Khuda Ky dushmano Sy Ulfat Krna Khuda Sy Dushmani Krna Hai.
- Ajab Yeh Hai K Apnay Amaal Salha Apni Nazar Main Pasindeeda Dekhai Dain.
- Daulat Mand Har Peghambar Ko Jhutlaty Rehy Or Ghareeb-o-Maskeen In Ki Tasdeeq Krtay Rehay.
Quotes Hazrat Abu Bakr Siddique (R.A)
- Tauba Borhay Sy Khoob Or Jawan Sy Khoob Tar Hai.
- Jisay Ronay Ki Taqat Na Ho Woh Ronay Walo Par Reham Kiya Kray.
- Har Cheez Ky Swab Ka Aik Asar Hai, Sewai Sabr Ky K, Sabr Ka Swab Be-Andaza Hai.
- Shukar Guzar Moman Afiyat Sy Qareeb Tar Hai.
- Kash Main Kisi Moman Ky Seenay Ka Aik Baal Hi Hota.
Aqwal Hazrat Abdul Qadir Jilani (R.A)
- Tu Nafs Ki Tamna Puri Krnay Main Masroof Hai Or Woh Tujh Ko Barbad Krnay Main.
- Amal-e-Salah Woh Hai Jis Par Logo Ki Sana (Tareef) Ki Umeed Na Rakhi Jay.
- Be-Zarorat Mardo Ko Bhi Bazar Main Nahi Jana Chahiye.
- Duniya Jaib (Pocket) Main Rakhnay Ki Chez Hai,Hath Main Rakhnay Ki Chez Hai.Lakin Dil Main Rakhnay Ki Chez Har-Gaz Nahi.
- Tere Sab Sy Baray Dushman Tere Buray Hum Nasheen (Bad Company) Hain.
Shaban Ki Nafli Ibadaat
Riwayat Main Hai K Mah-e-Shaban Ki Pehli Shab Baad Nimaz-e-Esha 12 Rakat Nimaz 6 Salam Sy Parhay.Har Rakat Main Bad Surah Fatiha Ky Surah Ikhlaas 15,15 Martba Parhay.Bad Salam Ky Baad 70 Martba Darood Paak Parh Kar Apnay Gunahon Ki Tauba Krain.Insha Allah Ta'ala Is Nimaz Ki Barkat Sy Allah Paak Is Gunaha Mauf Farma Kar Behshat Main Dakhil Kray Gay.
Shaban Ki Ibadaat
Hazoor Akram (SAW) Ny Farmaya K Shaban Al-Muazam Bari Azmat Wala Mahina Hai Q K Yeh Mera Mahina Hai Lahazah Bargah-e-Rab Ezat Main Is Mah Ka Be Had Swab Or Ajar Hai.
Hadith Paak Main Hai Ky Hazoor (SAW) Ny Arshad Farmaya Hai K Jo Pehli Tareekh Shaban Ki Raat 12 Rakat Nafal Parhay,Har Rakat Main ''Alhamdullah Shareef'' Ky Baad ''Surah Ikhlaas'' 5 Martba Parhay Tu Allah Tabarak-o-Ta'ala Is Ko 12,000 Shaheedon Ka Swab Ata Farmata Hai Or 12 Saal Ki Ibadat Ka Swab Is Ky Liye Lekha Jata Hai.Gunahon Sy Aisa Paak Ho Jata Hai K Goya Abhi Woh Apni Maa Ky Pait Sy Paida Hova Hai Or 80 Din Tak Is Ky Gunah Nahi Lekhay Jatain Hain.
Hadith Paak Main Hai Ky Hazoor (SAW) Ny Arshad Farmaya Hai K Jo Pehli Tareekh Shaban Ki Raat 12 Rakat Nafal Parhay,Har Rakat Main ''Alhamdullah Shareef'' Ky Baad ''Surah Ikhlaas'' 5 Martba Parhay Tu Allah Tabarak-o-Ta'ala Is Ko 12,000 Shaheedon Ka Swab Ata Farmata Hai Or 12 Saal Ki Ibadat Ka Swab Is Ky Liye Lekha Jata Hai.Gunahon Sy Aisa Paak Ho Jata Hai K Goya Abhi Woh Apni Maa Ky Pait Sy Paida Hova Hai Or 80 Din Tak Is Ky Gunah Nahi Lekhay Jatain Hain.
Mah-e-Shaban Ki Fazeelat
Shaban Islami Saal Ka 8th Mahina Hai.Shaban Ka Lafz Tashaib Sy Bana Hai Jis Ky Maini (Mean) Tafraq Ky Hain.Is Mahinay Main Khair Kaseer Mautfarq Hoti Hai.Bandon Ko Is Mahinay Main Rizq Taqseem Kiya Jata Hai Is Liye Isay Shaban Kaha Jata Hai.Hadith Main Hai K Shaban Ko Is lIye Shaban Kaha Jata Hai K Is Main Roza Dar Ky Liye Khair Kaseer Taqseem Hoti Hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)
Popular Posts
-
Lughat Main Sunnat Is Rastay Ko Kehtay Hain Jis Par "Chala Jaye, Khawa Woh Rasta Acha Ho Ya Bura.Lakin Shari Istalah Main Sunnat Sy Mu...
-
Rasool Allah (S.A.W) Ny Frmaya K Rajab Ka Mahina Allah Ta'ala Ka Mahina Hai Or Shaban Ka Mahina Mera Mahina Hai Or Ramdan Meri Umat K...
-
Ameer Al-Momaneen Hazart Umar Farooq (R.A) Baroz Budh (Wednesday) 27 Zilhaj Ko Zakhmi Hovay Or Yakam Muharram 24 Hijri Baroz Hafta (Saturda...
-
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krn...
-
Hazrat Abdullah Ibn-e-Abbas (R.A) Rewayat Krtain Hain K Hazoor Akram (SAW) Ny Frmaya: 'Mujhay Dozikh Dekhlai Gai Tu Is Main Zyda Ta...