Taharat-o-Safai

Islam Main Taharat-o-Pakeezgi Par Bouht Zoor Diya Hai.Allah Ta'ala Quran-e-Majeed Main Irshad Frmatain Hain:

"Apnay Kaproo Ko Paak Rakh Or Napaaki Sy Door Reh." (Al-Mudsar:4-5)

Nabi Kareem (SAW) Ka Arshad Paak Hai:

"Tahrat-o-Pakeezgi Iman Ka Hissa Hai"

Taharat Ky Laghvi Maini Paak Honay Ky Hain.Aj Ky Door Main Safai Ka Khayal Tu Rakha Jata Hai Or Shariyat Ky Isoloo Ko Apnaai Beghair Aam Ghusal Krnay Ko Taharat Ky Mafhoom Main Ly Atay Hain.Hala'n Ky Tahrat Ka Shari Mafhoom Bilkul Muhtlaf Hai Or Shariyat Ky Batai Hovay Isoloo Or Is Ki Sharait Ky Mutabik Safai Na Ki Jay Tu Taharat Nahi Ho Gi Or Taharat Ky Na Honay Ki Waja Sy Koi Ibadat Qabool Na Ho Gi.
  • Taharat Main Do Cheezain Shamil Hain.
1.Wozu
2.Ghusal

Namaz Sy Pahlay Wozu Krna Wajab Hai Basharty Ky Jism Or Libas Paak Ho Or Agr Jism-o-Libas Paak Nahi Tu Wozu Sy Pahlay Ghusal Krna Or Libas Ko Paak Krna Lazmi Hai.

  • Wozu

Wozu Ky Chaar Fraiz Hain.
1.Chehray Ko Dhoona
2.Kahniyou Smeet Hatho Ko Dhoona
3.Sar Ka Mas'ha Krna
4.Tukhnoo Smait Pao'n Dhoona
           In Ky Alawa Baaki Cheezain Sunat Or Mustajab Hain.

  • Wozu Krnay Ka Tareeqa 
Wozu Ka Masnoon Tareeqa Hasb-e-Zeel Hai.
1.Achi Tarha Hathoo Ko Dhoona
2.Teen Baar Kuli Krna
3.Teen Baar Naak Main Achi Tarha Pani Dalna
4.Chehray Ko Paishani Ky Baalo Sy Thorri Ky Neechy Tak Or Aik Kaan Ki Lu'u Sy Dosray Kaan Ki Lu'u Tak Achi Tarha dhoona
5.Kahniyou Smeet Bazo'o Ko Dhoona
6.Sar Ka Mas'ha Krna
7.Tukhnoo Smeet Dono Pao'n Ko Dhoona
8.Wozu Krtay Hovy Yeh Khayal Krna K Pahlay Jism Ka Daya (Right) Hissa Or Phir Baya (Left) Hissa Dhooya Jay.
9.Jism Ky Aza'a Ko Teen Baar dhoona

  • Ghusal


Urdu Zuban Main Ghusal Ky Maini Nahany Ky Hain.Agr Jism paak Na Ho Tu Wozu Sy Pahlay Ghusal Krna Wajab Hai.Alwa Azain Insan Ko saf Suthra Rakhnay Ky Liye Nahany Ki Targheeb Di Gi Hai.Chunacha Nabi Kareem (SAW) Ny Juma Ky Din Ghusal Krnay Ko Har Muslman Ky Liye Masnoon Qarar Diya Hai.Isi Tarha Eidain (Eid-ul-Diter Or Eid-ul-Adha) Or Hajj-o-Umera Ky Liye Ihraam Bhandnay Sy pahlay Nahany Ko Bhi Apni Sunat Main Shamil Kiya Hai.In Tamam Muqay Par Nahana Behtar Or Masnoon Hai.

  • Ghusal Krnay Ka Tareeqa

Nahany Sy Pahlay Zarori Hai K Jism ka Jo Hissa Ganda Hai Isay Dhoo Liya Jay Or Is Ky Baad Agr Ho Saky Tu Wozu Kar Lena Behtar Hai Warna Teen Baar Kuli Is Tarha Krna K Pani Halq Tak Ponchay Or Phir Naak Main Pani Teen Baar Jahan Tak Mumkin Ho Aagy Tak Ly Jy.Akhar Main Poray Jism Par Teen Baar Pani Bahaya Jay Or Jism Ko Achi Tarha Mal Kar saaf Kar Liya Jay.
Baharhaal Mard Or Aurat Ky Liye Zarori Hai K Is Tarha Nahai K Jism Ka Koi Hissa Or Koi Baal Khushk Na Rehay.Pani Etadaal Ky Sath Istamaal Kiya jay.Khwa Mukhwa Pani Zaya Na Kiya Jay.Ghusal Khanay Main Nahaya Jay Or agr Ghusal Khana Mayasir Na Ho Tu Kapray Pahn Kar Mard Ky Liye Nahany Ki Ijazat Hai.Albata Aurat Ky Liye Zarori Hai K Parday Main Nahay.Ghusal Krtay Waqt Gunganany Or Batain Krnay Sy Manna Kiya Gaya Hai.

  • Wozu Or Ghusal Krnay Ky Faiday

1.Har Namaz Sy Pahlay Wozu Krnay Sy Zahni Or Jismaani Sakoon Milta Hai.
2.Insan Saaf Suthra Rehta Hai Or Is Ki Thakawat Door Ho Jati Hai.
3.Nahany Sy Pura Jism Saaf Ho Jata Hai Or Is Tarha Safai Ky Baais 4.Bamariyou Sy Kafi Had Tak Mahfooz Rehta Hai.
5.Wozu Krnay Or Nahany Sy Zahri Safai Bhi Hasil Hoti Hai Or Rohani Bhi.
6.Ibadat Or Kaam Krnay Main Lutaf Aata Hai Or Is Tarha Ibadat Bhi Qabool Hoti Hai Or Kaam Krnay Ki Salahyat Bhi Bhar Jati Hai.

Jazak Allah! Allah Humay Paak Saaf Rehnay Ki Toufeeq Ata Frmay.(Ameen)

3 comments:

  1. Your Rabbinically approved guide to Mikvah observance Receive email and SMS reminders Ashkenazic, Chabad, and Sephardic Customs
    Taharat

    ReplyDelete

Popular Posts