Hazrat Usman Ghani (R.A)

Ameer Al Momaneen ,Imam Al Mutaqeen Munbha Jodo Sakha, Khalifa Sooim Hazrat Syedna Usman Zulnoreen (R.A)

''Har Nabi Ka Dost Hota Hai Or Mere Jannat Ky Dost Usman Ghani (R.A) Hain''. (Ibn e Majha)

Khalifa Soom Hazrat Usman Ghani (R.A) Ka Taluq Quresh Ky Muziz Qabeely Sy Tha.Qabeela Quresh Main Ap Ky Walid Muhtram Ko Qadar Ki Nigah Sy Dekha Jata Tha.Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Abdul Munaf Par Rasool Allah (SAW) Sy Ja Milta Hai.
Hazrat Usman Zulnoreen (R.A) Ki Nani Nabi Pak (SAW) Ki Phophi Thein.
Ap (R.A) Ka Naam Usman (R.A) Or Lakab Zulnoreen (R.A) Hai.Islam Qabool Krnay Walo Main Ap R.A) Alsabqoon Alawaloon Ki Fahrast Main Shamil Thy.Ap (R.A) Ny Khalifa Awal Syedna Hazrat Abu Bakar Siddqiue (R.A) Ki Dawat Par Islam Qabool Kiya Tha.Tabqat Abn Saad (R.A) Ky Mutabiq Ap (R.A) Ny Chothay Namber Par Iman Lanay Or Kalma Haq Parhnay Ky Jurm Main Hazrat Usman Ghani (R.A) Ko In Ky Chacha Hukam Bin Abi Alaas Ny Lohay Ki Zanjeero Sy Bandh Kar Dhoop Main Daal Diya, Kai Rooz Tak Alaida Makan Main Band Rakha Gyay,Chacha Ny Ap (R.A) Sy Kaha K Jab Tak Tum Naiy Muzhab (Islam) Ko Nahi Choro Gy Azad Nahi Kro'n Ga.Yeh Sun Kar Ap (R.A) Ny Jawab Main Frmaya K Chacha!Allah Ki Qasm Main Muzhab-e-Islam Ko Kabhi Nahi Chor Sakta Or Is Iman Ki Daulat Sy Kabhi Dastbardar Nahi Ho'n Ga.
Hazrat Usman Ghani (R.A) Aala'a Seerat-o-Kardar Ky Sath Sarwat-o-Sakhwat Main Mashhoor Thy.Rasool Allah (SAW) Ny Frmaya Har Nabi (A.S) Ka Sathi-o-Rafeeq Hota Hai Mera Sathi Usman (R.A) Ho Ga.Hazrat Usman (R.A) Ky Daira Islam Main Anay Ky Baad Nabi Akram (SAW) Ny Kuch Arsa'h Baad Apni Sahib Zadi Hazrat Ruqayya (R.A) Ka Nikah Ap (R.A) Sy Kar Diya.JAb Kafar Makkah Ki Aziyato Sy Tang Aakar Muslmanoo Ny Nabi Kareem (SAW) Ki Ijazat Or Hukam-e-Alahi Ky Mutabiq Hijrat Habsha Ki Tu Hazrat Usman (R.A) Ma'a Apni ahliya Hazrat Ruqayya (R.A) Habsha Hijrat Farma Gy,Jab Hijrat Madina Ka Hukam Hova Tu Hazrat Usman (R.A) Apnay Ihlo Ayar Ky Sath Madina Munwara Tashreef Lay Gy,Waha Bhi Ap (R.A) Tajarat Ki Or Kamyab Tajar Sabit Hovay.In Dino Madina Munwara Main Pani Ki Qilat Thi Jis Par Hazrat Usman (R.A) Ny Nabi Pak (SAW) Ki Ijazat Sy Kun'wa Khared Kar Muslmano Ky Liye Waqaf Frmaya.Ghazwa'h Badar Main Hazrat Ruqayya (R.A) Ki Alalat Ky Sabab Nabi Akram (SAW) Ki Ijazat Sy Na Ja Saky.Ghazwa'h Uhud Or Khandaq Main Shareek Hovay.Jab Hazrat Ruqayya (R.A) Ka Intaqaal Hova Tu Piyaray Aaqa (SAW) Ny Apni Dosri Sahib Zadi Hazrat Umm-e-Kulsoom (R.A) Ko Ap (R.A) Ki Zojyat Main Dy Di.Is Tarha Ap (R.A) Ka Lakab Zulnoreen Mauroof Hova.
Jab Rassol Akram (SAW) Zayrat Khana Kaba Ka Iradha Frmaya Tu Hadebya Ky Muqam Par Yeh Ilm Hova K Quresh Makkah Amadha Jung Hain.Is Par Ap (SAW) Ny Hazrat Usman Ghani (R.A) Ko Safeer Bana Kar Makkah Bejha.Qureesh Makkah Ny Hazrat Usman (R.A) Ko Rokay Rakha Tu Afwaha Phail Gi K Ap (R.A) Ko Shaheed Kar Diya Gaya Hai.Is Mauqa Par Chodha So (1400) Sahaba (R.A) Sy Nabi Akram (SAW) Ny Bait Li K Hazrat Usman (R.A) KA Qasas Liya Jay Ga.Yeh Bait Tareekh Islam Main Bait Rizwan Ky Naam Sy Mauroof Hai.Qureesh Makkah Ko Jab Sahi Sorat Ahwal Ka Ilm Hova Tu Amadha Sulha Ho Gy Or Hazrat Usman (R.A) Wapis Aagy.
Ghazwah'a Tabook Main Jab Rasool Allah (SAW) Mali Enant Ki Apeal Farmai Tu Hazrat Usman Ghani (R.A) Ny Tees Hazar (30,000) Fooj Ky Aik Tahai Akhrajat Ki Zimadari Lay Li.

Rasool Akram (SAW) Ky Hajj Alwida Ky Mouqa Par Hazrat Usman (R.A) Hamrah Thy.Khalifa Awal Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Ki Majlas Mashwarat Ky Aham Rukan Thy.Hazrat Umer (R.A) Ki Khilafat Ka Wasyat Nama'h Ap (R.A) Ny Hi Tahreer Frmaya.

Deeni Mamlaat Par Ap (R.A) Ki Rahnamai Ko Puri Ahmyat Di Jati.Hazrat Usman (R.A) Katab Wohi Hi Nahi Thy Balky Quran Majeed Ap (R.A) Ky Seenay Main Mahfooz Tha.Ayat-e-Qurani Ky Shan-e-Nazool Sy Khoob Waqaf Thy.Batoor Tajar Diyanat-o-Imanat Ap (R.A) Ka Tar'a Imtayaz Tha.Naram Kho Thy Or Fikar Akhrat Har Dam Paish-e-Nazar Rakhtay Thy.Nabi Akram (SAW) Ka Arshad Hai Usman (R.A) Ki Haya Sy Farshtay Bhi Sharmaty Hain,Tableegh-o-Ishaat Islam Ky Liye Fraakh Dili Sy Daulat Kharch Farmaty.
Aam Tor Par Din Ko Roza Rakhty,Raat Riyazat-o-Ibadat Main Guzarty.Har Juma Ko Aik Ghulam Azad Karty.Yatimoo, Bawaoo Or Maskeeno Ki Maslsal Khabr Geeri Farmaty.Ibn-e-Asakar Ny Zaid Bin Sabit (R.A) Sy Riwayat Ki Hai K Anhazrat (SAW) Ny Frmaya:Mere Pas Sy Jab Usman (R.A) Guzray Tu Mere Pas Firshta Baitha Hova Tha.Is Firshtay Ny Kaha K Yeh Shaheed Hain In Ko Qoum Shaheed Kar Dy Gi Mujhay In Sy Sharm Ati Hai.Um-e-Almominen Hazrat Ayesha (R.A) Sy Riwayat Hai K Jab Hazrat Usman (R.A) Hamray Pas Aaty Tu Allah Ky Nabi (SAW) Apnay Libaas Ko Dursat Frma Lety Or Frmatay Thy K Is Sy Kis Tarha Sharm Na Kro Jis Sy Firshtay Bhi Sharm Krty Hain.
Ap (SAW) Ny Frmaya:K Ay Usman (R.A) Allah Ta'ala Tujhay khilafat Ki Qameez Pahnai Gain,Jab Munafaq Isay Utarnay Ki Koshish Krain Tu Isay Mat Utarna Yahan Tak K Tum Mujhay Aa Milo.Chunacha Jis Rooz Ap (R.A) Ny Frmaya K Mujhay Hazoor (SAW) Ny Ehad Liya Tha K Munafaq Khilafat Ki Qameez Utarany Ki Koshish Krain Gain Tum Na Utarna Is Liye Main Is Par Qaim Hon Or Sabr Kar Raha Hon.35 Hijri Main Ziqad Ky Pahlay Eshar Main Baghyou Ny Hazrat Usman Zolnoreen (R.A) Ky Ghar Ka Mahsra'h Kiya or Ap (R.A) Ny Sabr Or Istaqamat Ka Damen Nahi Chora,Mahsara'h Ky Duran Ap (R.A) Ka Khana Or Pani Band Kar Diya Gaya Taqreeban Chalis (40) Rooz Bhokay Piyasay 82 Sala'h Mazloom Madina Hazrat Usman (R.A) Ko Juma Mubarak 18 Zulhaj Ko Inthai Bedardi Ky Sath Roza Ki Halat Main Quran Pak Ki Talwat Krtay Hovay Shaheed Kar Diya Gaya.
  • Karamaat
Hath Main Cancer
Hazrat Abdullah Bin Umer (R.A) Rawi Hain K Ameer Al Momaneen Hazrat Usman Ghani (R.A) Masjid Nabi Shareef My Minbar Aqdas Main Khutba Parh Rehay Thy K Bilkul Hi Achanak Aik Bad Naseeb Or Khabees Alnafs Insan Jis Ka Naam Jihja'h Ghafaretha Khara Ho Gaya Or Ap (R.A) Ky Dast Mubarak Sy Assa'a Cheen Kar Toor Dala.Ap (R.A) Ny Apnay Ilm-o-Haya Ki Waja Sy Is Sy Koi Mowakhaza Nahi Frmaya Lakin Khuda Ta'ala Ki Qahar-o-Jabari Ny Is Be Adabi Or Gustakhi Par Is Mardood Ko Yeh Saza Di k Iskay Hath Main Cancer Ka Marz Ho Gaya Or Is Ka Hath Gal Sarr Kar Gir Para Or Woh Yeh Saza Pa Kar Aik Saal Ky Andar Hi Mar Gaya.
(Hajj Ala Alameen Jilad,So Tareekh Alkhulfa, Safha )


To Be Continued . . . . . 

4 comments:

  1. Ye bagi Kon thay? On ka Kia mutalba tha?
    Wo Khalifa ko q hatana chatay thay?
    40 days k muhasra k waqat
    Talha
    Zubair
    Ali

    Ye log khan chlay Gaye thay???

    ReplyDelete
  2. Assalam-O-Alikum
    Al Hijaz Tours is working as one of the top Hajj Umrah Company in UK. We have complete Hajj and Umrah Packages inclusive of every needed facility.

    ReplyDelete
  3. This hadees belongs to which book.
    & Hadees no.

    "Ayesha (R.A) Sy Riwayat Hai K Jab Hazrat Usman (R.A) Hamray Pas Aaty Tu Allah Ky Nabi (SAW) Apnay Libaas Ko Dursat Frma Lety Or Frmatay Thy K Is Sy Kis Tarha Sharm Na Kro Jis Sy Firshtay Bhi Sharm Krty Hain."

    ReplyDelete

Popular Posts