Hazrat Umer Farooq (R.A)

Adlo Insaaf Ky Paikar,Lakab Farooq Azam,Khalifa Doom Jansheen Peghambar

Hazrat Umer Farooq (R.A)
  • Waladat Basadat
Ap (R.A) Ki Waladat Basadat Hijray Nabwi Sy Chalis Saal Pahlay Yani Waqya Feel Ky Tera Bars Baad Hovi.
  • Silsila Nasb
Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Yeh Hai K Umer Bin Khatab Bin Nafeel Bin Abdulaza'a Bin Rubha Bin Abdullah Bin Qart Bin Zarah Bin Adi Bin Ka'ib Bin Loi.
Athvi Pusht Main Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Rasool Akram (SAW) Ky Silsila Nasb Sy Ja Milta Hai.
Ap (R.A) Ki Walida Majida Ka Naam Hatmah Bint Hashim Bin Mughaira Hai.Jabky Aik Riwayat Ky Mutabik Bint Hashim Bin Mughaira Bin Abdullah Bin Umer Bin Makhzoom Hai.Is Tarha Pahlay Qoule Ky Aitbaar Sy Abu Jahal Ki Chacha Zaad Behan Or Dosray Qoule Ky Lahaz Sy Abu Jahal Ki Behan Hoti Hai.
  • Qabool-e-Islam
Hazrat Umer (R.A) Ki Umer Mubarak Taqreebb Satais Bars Thi K Hazoor Sarwar kainaat (SAW) Ki Basat Hovi.Hazoor (SAW) Ny Deen-e-Islam Ki Dawat Ka Aghaz Kiya Tu Hazrat Umer (R.A) Deen-e-Islam Ky Qabool Krnay Ki Tarf Raghab Hovy Or Is Mamla Mian Sakhti Or Shidat Qaim Rakhi.Hazoor Nabi Kareem (SAW) Apnay Akhlaaq-e-Hasna Sy Deen Haq Ki Roshani Har Tarf Philanay Main Bharpoor Koshish Frma Rehay Thy K Inhi Dino Main Hazoor (SAW) Ny Bargaah-e-Alahi Main Dua Frmai K Ya Allah!Umer Bin Khatab Ky dil Ko Islam Ki Roshni Sy Munswar Kar Dy Or Phir Woh Waqt Aya K Hazrat Umer (R.A) Islam Ki Daulat Sy Mala Maal Hovay.
  • Islam Ki Roshni Main
Ap (R.A) Chalis Mardo Or Gayara Aurato Ky Baad Islam Lay Or Islam Ki Roshni Sy Apnay Qalab Ko Munawar Kiya.Ap (R.A) Sy Pahlay Islam Qabool Krnay Walo Main Ap (R.A) Ky Behnoi Hazrat Saeed Bin Zaed (R.A) Or Behan Fatima Bint Khatab Shamil Thy.Lakin Inho Nay Hazrat Umer (R.A) Sy Apny Iman Ko Chupa Rakha Tha Ap (R.A) Ky Khandan Ky Aik Or Mard Hazrat Naeem Bin Abdullah (R.A) Bhi Islam Qabool Kar Chukay Thy.
  • Dil Ki Sakhti
Hazrat Umer (R.A) Islam Qabool Krnay Walo Ky Sath Sakhti Sy Paish Aya Krtay Thy.Aik Din Apni Talwar Hamail Kiye Hovay Rasool Kareem (SAW) Or Sahaba Karam (R.A) Ki Aik Jamaat Ky Pas Tang Krnay Ky Araday Sy Niklay.Jin Ky Baray Main Ap (R.A) Ko Maloom Tha K Koh-e-Safa Ky Qareeb Dar-e-Arqam Main Jama Hain.Rastay Main Naeem Bin Abdulaah (R.A) Sy Mulaqaat Hovi Tu Inho Ny Kaha,Umer (R.A)!Kaha Ka Arada Hai?Jawab Diya K Muhammad (SAW) Ky Qatal Krnay Ki Gharz Sy Ja Raha Hon.Naeem Bin Abdullah (R.A) Ny Kaha,Ay Umer (R.A)!Tumharay Nafs Ny Tumhay Dhoka Diya Hai Kiya Tum Samjhtay Ho K Tum Ny Agr Muhammad (SAW) Ko Qatal Kar Diya Tu Bani Abid Munaf Tumhain Chor Dain Gy K Tum Zameen Par Chal Bhi Sako?Tum Pahlay Apnay Behnoi Or Behan Ki Khabar Tu Lo K Dono Ny Apna Aabai Deen Tark Kar Ky Islam Qabool Kar Liya Hai Or Muhammad (SAW) Ki Parvi  Akhtayar Kar Li Hai.Yeh Sun Kar Hazrat Umer (R.A) Wohain Sy Wapis Ho Kar Apni Behan Ky Ghar Ki Tarf Rawana Hovay.
  • Quran Paak Ka Sun'na
Is Waqt Hazrat Khabab Bin Alarat (R.A) Quran Paak Parhany Ki Gharz Sy Hazrat Saeed Bin Zaed (R.A) Ky Han Majood Thy.In Ky Pas Sura Tah'a Likhi Hovi Thi Or Woh Inhain Sura Tah'a Parha Rehy Thy.Jab In Sab Ny Hazrat Umer (R.A) Ki Ahat Suni Tu Hazrat Khabab (R.A) Ghar Ky Kisi Hissa Ya Hijary Ky Andoorni Hissay Main Chup Gy.Hazrat Umer (R.A) Ny Ghar Main Dakhal Hoty Hi Daryaft Kiya K Tum Log Kiya Parh Rehy Thy?Behan Or Behnoi Ny Kaha Kuch Nahi.Ap (R.A) Ny Kaha Nahi,Wallah!Mainy Suna Hai Or Mujhy Yeh Bhi Maloom Hova Hai K Tum Dono Ny Muhammad (SAW) Ky Deen Ki Parvi Akhtayar Kar Li Hai.Is Ky Sath Hi Apnay Behnoi Ko Aik Tamancha Mara.Yeh Dekh Kar Ap (R.A) Ki Behan Fatima Apnay Shohar Ko Bachany Ki Gharz Sy Uthain Tu Hazrat Umer (R.A) Ny Is Zoor Sy In Ko Bhi Mara K Inka Sar Zakhmi Ho Gaya Is PAr Ap (R.A) Ki Behan Or Behnoi Ny Kaha,Han Hum Ny Islam Qabool Kar Liya Or Allah Or Is Ky Rasool (SAW) Par Iman La Chukay Hain Tum Jo Chaho Kro.Ap (R.A) Ny Jab Apni Behan Ka Khoon Dekha Tu Inko Marnay Sy Ruk Gy Or Thoray Sharminda Bhi Hovay.Kaha!Acha Mujhy Woh Kitaab Do Jo Tumhary Pas Hai Taky Main Bhi Isko Parho.Behan Ny Kaha,Humain Is Ky Mautaq Tum Sy Darr Lagta Hai.Umer (R.A) Ny Frmaya Tum Log Daro nahi Main Isay Parh Kar Zaroor Wapis Kar Don Ga.Yeh Baat Sun Kar behan Ny Kaha,Is Kitaab Ko Tu Paak Shakhs Ky Seewa Dosra Chu Bhi Nahi Sakta.Pahlay Ghusal Kro.Behan Ky Kehnay Par Hazrat Umer (R.A) Ny Ghusal Kiya Tu Brhan Ny Ap (R.A) Ko Kitaab Di.Is Main Sura Tah'a Likhi Hovi Thi Ap (R.A) Is Ko Parhny Lagy Or Jis Waqt Is Ayat Par Ponchay:

"Beshak Main Hi Allah Hon Or Mere Seewa Koi Dosra Mabood Nahi Is Liye Tum Meri Ibadat Kro Or Meri Hi Yaad Main Namaz Parho." (Sura Tah'a:14.Page 16)

Tu Frmaya K Kalaam Kis Qadar Acha Hai Or Kis Qadar Azmat Wala Hai. (Seerat-ul-Nabi.Tareekh Alkhulfa)
  • Deegar Rawayaat
Aik Rawayat Main Ata Hai K Yeh Surat Alhadeed Thi Jo Kitaab Mian Likhi Hovi Thi:

"Zameen-o-Asman Main Jo Kuch Hai Sab Allah Ta'ala Ki Tasbeeh Parhty Hain,Woh Ghalib Hikmat Wala Hai." (Sura Alhadeed:1.Page 27)

Hazrat Umer (R.A) Jab Yeh Kalaam Parhty Hovay Is Ayat Mubaraka Par Ponchy:

"Iman Lao Allah Or Is Ky Rasool Par." (Sura Alhadeed)

Tu Be Akhtayar Pukar Uthay:

"Main Gawhi Deta Hon K Allah Ky Seewa Koi Mabood Nahi Or Main Gawahi Deta Hon K Muhammad (SAW) Allah Ky Rasool Hain." (Kalma Shahadat)

Hazrat Umer (R.A) Ki Zuban Sy Yeh Kalma Sun Kar Hazrat Khabab (R.A) Ap (R.A) Ky Samnay Nikal Kar Bahir Aa Gy Or Frmaya,Ay Umer (R.A)!Wallah!Mujhay Umeed Ho Gai K Allah Ta'ala Ny Apny Nabi (SAW) Ki Dua Sy Tumhain Muntkhab Kar Liya Hai Q K Main Ny Kal Hazoor (SAW) Ko Yeh Dua Kartay Hovay Suna Hai:

"Ay Allah!Abu Alhukam Bin Hashaam Ya Umer Bin Khataab Sy Islam Ki Taid Frma."

Is Liye Ay Umer (R.A) Allah Ta'ala Sy Daro.Hazrat Umer (R.A) Ky Qalab Par Riqat Tari Or Dil Main Islam Ki Muhbat Paida Ho Chuki Thi.Frmaya,Mujhay Muhammad (SAW) Ki Khidmat Main Lay Chalo K Main Wahan Ponch Kar Islam Qabool Kar Lon.Hazrat Khabab (R.A) Ny Ap (R.A) Sy Frmaya K Hazoor Nabi Kareem (SAW) Is Waqt Koh-e-Safa Ky Pas Dar-e-Arqam Main Majood Hain Or Ap (SAW) Ky Sath Sahaba Karam (R.A) Bhi Hain.
(Seerat-ul-Nabi.Tareekh Kamal Ibn-e-Alaseer.Tareekh Alkhulfa)
  • Wasaal Mubarak
Ameer Al-Momaneen Hazart Umar Farooq (R.A) Baroz Budh (Wednesday) 27 Zilhaj Ko Zakhmi Hovay Or Yakam Muharram 24 Hijri Baroz Hafta (Saturday) Ko Wasaal Frma Gy,Phir Ap (R.A) Ky Janaza Ko Tayar Kar Ky Hazrat Ayesha (R.A) Ky Hijra Aqdas Ky Samnay La Kar Rakha Gaya Or Ba Awaz Buland Arz Kiya Gaya K Ay Umme-e-Almomaneen (R.A)!Yeh Janaza Umar (R.A) Ka Hazir Hai Or Ab Phir Ap Sy Ijazat Mangta Hai K Agr Hukam Ho Tu Hijra Anwar Main Dafan Kiya Jaye.Umme-e-Almomaneen Hazart Ayesha (R.A) Roti Thein Or Farmati Thein K Main Khushi Sy Aj Phir Hazrat Umar (R.A) Ko Ijazat Deti Hon.Chunacha Ap Ko Hijra Anwar Main Hazoor Sarwar-e-Kainaat (SAW) Ky Qadmo Main Dafan Kiya Gaya,Ap Ki Nimaz-e-Janaza Hazrat Sohaib (R.A) Ny Parhai.Hazart Usman Ghani (R.A),Hazart Ali (R.A),Hazart Zubair (R.A),Hazart Abdul Rehman Bin Aof (R.A) Or Hazart Abdullah Bin Umar (R.A) Ny Qabar Main Utara.
(Tareekh-e-Islam, Seerat Alsalaheen)


9 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. I need a full history of hazrat Umar (r.a).

    ReplyDelete
  4. SUBHAN ALLAH
    JAZZAK ALLAH khair

    ReplyDelete
  5. Plz full history

    ReplyDelete
  6. Ek baat to btao Qabool e islam ke waqt umar thi 28 baras to ali a.s ke damad kese huy.??

    ReplyDelete
  7. No 26 zulhajj ko shaheed howe te

    ReplyDelete

Popular Posts