Hazrat Ali Almurtaza (R.A)

Ashiq-e-Rasool (SAW),Mahboob-e-Rasool Khuda (SAW),Damad-e-Rassol (SAW), Zooj-e-Batool (R.A), Ameer Almomaneen, Imam Almutaqeen,Sher-e-Khuda Hazrat Syedna Ali Almurtaza (R.A)

"Main (SAW) ilm Ka Shehar Hon Or Ali (R.A) Is Ka Darwazah Hai" (Sahi Bukhari)

Khalifa Chahram Jansheen Rasool Allah (SAW) Zooj-e-Batool (R.A) Hazrat Ali Bin Abi Talab (R.A) Ki Kinyat ''Abu Al Hasan'' Or "Abu Tarab" Hai.Ap (R.A) Hazoor Aqdas (SAW) Ky Chach Abu Talab Ky Farznd-e-Arjamnd Hain.Am Alfeel Ky Tees (30) Bars Baad Jabky Hazoor Akram (SAW) Ki Umer Shareef Tees (30) Bars Thi.13 Rajab Ko Juma Ky Din Hazrat Ali (R.A) Khana Kaba Ky Andar Paida Hovay.Ap (R.A) Ki Walida Majda Ka Naam Hazrat Fatima Bint-e-Asad Hai.Ap (R.A) Ny Apnay Bachpan Hi Main Islam Qabool Kar Liya Tha Or Hazoor Akram (SAW) Ky Zair Tarbyat Har Waqt Ap (SAW) Ki Imdad-o-Nusrat Main Lagy Rehty Thy.Ap (R.A) Mahjreen Awaleen Or Ashra Mubshra Main Apnay Baaz Khusosi Darjaat Ky Lahaz Sy Buht Zyda Mumtaz Hain.Jung Badar,Jung uhud,Jung Khandaq Waghera Tamam Islami Larayou Main Apni Bepna'h Shuja'at Ky Sath Jung Frmaty Rehay Or Sorma Ap (R.A) Ki Muqdas Talwaar-e-Zilfiqar Ki Maar Sy Qatal Hovay.Ameer Al Momaneen Hazrat Usman Ghani (R.A) Ki Shahdat Ky Baad Insar-o-Mahjreen Ny Ap (R.A) Ky Dast Haq Par Bait Kar Ky Ap (R.A) Ko Ameer Al Momaneen Muntkhab Kiya Or Char (4) Bars Ath (8) Mah No (9) Din Tak Ap (R.A) Masnd Khalfat Ko Sarfraz Frmatay Rehay.17 Ramadan 40 Hijri Ko Abdul Rehman bin Maljam Maradi Kharji Mardood Ny Namaz Fajar Ko Jatay Hovay Ap (R.A) Ki Muqdas Paishani Or Norani Chehray Par Aisi Talwar Mari Jis Sy Ap (R.A) Shadeed Tor Par Zakhmi Ho Gy Or Do Din Zinda Reh Kar Jam-e-Shahdat Sy Seraab Ho Gy.Or Baaz Kitaboo Main Lekha Hai 19 Ramadan Juma Ki Raat Main Ap (R.A) Zakhmi Hovay Or 21 Ramadan Shab Yakshanba'h Ap (R.A) Ki Shahdat Hovi.(Walluha Ta'ala ilm).Ap (R.A) Ky Baray Frznad Arjmand Hazrat Imam Hassan (R.A) Ny Ap (R.A) Ki Namaz Janaza Pahai Or Ap (R.A) Ko Dafan Frmaya.
(Tareekh Alkhulfa,Wazaltah Alkhulfa)

Karamaat
  • Qabar Walo Sy Sawal-o-Jawab
Hazrat Saad Bin (R.A) Kehtay Hain K Hum Log Ameer Almomneen Hazrat Ali (R.A) Ky Sath Madina Munwara Ky Qabarsatan Jannat-tul-Baaqi Main Gy Tu Waha Ap (R.A) Ny Qabaro Ky Samnay Kharay Ho Kar Ba Awaz Buland Frmaya K Ay Qabar Walo! Asslam Alaikum Wa Rehmatullah! Kiya Tum Log Apni Khabrain Humain Sunao Gy Ya Hum Tum Logo Ko Tumhari Khabrain Sunain?Is Ky Jawab Main Qabro Ky Andar Sy Awaz Ai:"Walaikum Salam Wa Rehmatullah-o-Wabarkaat"Ay Ameer Almomneen (R.A) Ap (R.A) Hi Humain Sunaye K Humari Moot Ky Baad Humaray Gharo Main Kiya Kiya Mamlaat Hovay.Hazrat Ameer Almomneen (R.A) Ny Frmaya K Ay Qabar Walo! Tumhary Baad Tumhary Gharo Ki Khabar Yeh Hai K Tumhary Maal-o-Dualat Ko Tumhary Wariso Ny Apis Main Taqseem Kar Liya Or Tumhary Chotay Chotay Bachy Yateem Ho Kar Darbadar Phir Rehy Hain Or Tumhary Mazboot Or Onchay Onchay Mahlo Main Tumhary Dushman Araam Or Chain Ky Sath Zindgi Basar Kar Rehy Hain.Is Ky Jawab Main Qabro main Aik Murda Ki Yeh Dard Naak Awaz Ai K Ay Ameer Al Momneen (R.A) Haumri Khabar Yeh Hai K Hamray Kafan Puranay Ho Kar Phat Chukay Hain Or Jo Kuch Hum Ny Yaha Pa Liya Hai Or Jo Kuch Hum Ny Duniya Main Chor Ay Thy Is Main Humay Ghata Hi Khana Para Hai.
(Haj-tullah Ala Alameen Jilad 2,Safha 368)
  • Girti Hovi Dewaar Tham Gai
Hazrat Imam Jafar Sadiq (R.A) Ravi Hain K Aik Martba Ameer Almomineen Hazrat Ali (R.A) Aik Dewaar Ky Saye Main Aik Muqdma Ka Faisla Frmanay Ky Liye Baith Ge.Muqdma Ky Darmyan Main Logo Ny Shor Machaya K Ay Ameer Almomineen (R.A) Yahan Sy Uth Jain Yeh Dewaar Gir Rehi Hai.Ap (R.A) Ny Nahait Sakoon-o-Itemnan Ky Sath Frmaya K Muqdma Ki Karwai Jari Rakho.Allah Ta'ala Behtreen Hafiz-o-Nasir-o-Negihban Hai.Chunacha Itemnan Ky Sath Ap (R.A) Is Muqdma Ka Faisla Frma Kar Jab Wahan Sy Chal Diye Tu Foorr'n Hi Dewaar Gir Gai.
(Azal-Tul-Khafa,Muqsad 2,Safah,273)
  • Dar-e-Khyber Ka Wazan
Jung-e-Khyber Main Jab Gumsan Ki Jung Hony Lagi Tu Hazrat Ali (R.A) Ki Dhaal Kat Kar Gir Pari Tu Ap (R.A) Ny Joosh-e-Jahad Main Agay Bharh Kar Qila Khyber Ka Phatik Ukhaar Dala Or Is Ky Aik Kawaar Ko Dhaal Bana Kar Is Par Dushmano Ki Talwaro Ko Roktay Thy.Yeh Kawaar Itna Bhari Or Wazani Tha K Jung Ky Khatmay Ky Baad Chalis Admi Mil Kar Bhi Is Ko Na Utha Saky.
(Zarqani,Jilad 2,Safah 230)
  • Shahadat 
Ap (R.A) Shahdat Uzma Kharjeo Ki Mazmoom Or Ganawni Sazish Ka Nateja Hai Thi.Kharjeo Ka Yeh Fitna Traz Gro Agrcha Apnay Aghraz-o-Muqasad Sayasi Toweet Ky Rakhta Tha Ta Hum Zahri Toor Par In Ky Eqaid-o-Nazaryat Par Deeni Rang Ki Taha Chari Hovi Thi.Yeh Gro Majoda Door Ky Fitna Parwaro Sy Milta Julta Hai Tha Jis Ky Log Kofha,Damishq Or Misar Ki Hakumato Ky Sakht Khalaf Thy.Inho Ny In Hakumato Ko Khatam Krnay Ky Liye Makkah Main Yeh Sazish Tayar Ki K Tareekh-e-Islam Ky Bahtay Hovay Dharay Ka Munh Moor Diya Jaye.Martab Honay Wali Tareekh Ka Z=Naqsha Or Huliya Badal Diya Jaye.Chunacha In Kharjeo Ny Teen Bad Kardar Insano Ka Intakhab Kiya.In Main Pahlay Ka Naam Umero Bin Tameemi Tha Jid=s Ny Hakim Misar Hazrat Umer Bin Aas (R.A) Ko Shaheed Krnay Ki Hami Bhari.Dosra Bark Bin Abdul Tameemi Tha Jis Ny Hazrat Ameer Mawaya (R.A) Ko Shaheed Krnay Ki Hami Bhari Or Tesary  Maloon Ka Naam Abdul Rehman Maljum Hai Jis Ny Khalifa-Tul-Muslimeen Hazrat Ali Ibn-e-Talab (R.A) Ko Qatal Krnay Ka Halaf Uthaya.Chunach In Holnaak Or Insaniyat Kash Muhamo Ky Liye Inho Ny 17 Ramdan Ki Tareekh Muqrar Ki.Awal Or Doom Kharji Tu Apnay Mazmoom Or Shaitani Muqasad Main Kamyab Na Ho Saky Magr Tesra Kharji Apnay Muqsad Main Kamyab Ho Gaya.Is Ny Khufia War Kar Ky Ap (R.A) Ko Shaheed Tu Kar Diya Lakin Is Ka Aisa Krna Hazrat Ali (R.A) Ki Zahiri Jismaani Zindgi ko Khatam Krnay Ka Bais Bana Magr Ap (R.A) Ki Rohani-o-Maini,Ilmi-o-Amli Fikri Or Etqadi Zindgi Ka Koi Gosha Khatam Na Ho Saka.Lahaza Aaj Bhi In Sy Ishq-o-Muhbat Rakhnay Walay Har Rang Main Ap (R.A) Ka Bargah Main Dil Ki Gahraio  Sy Karaj-e-Tahseen Ky Gul Hay Rang Barang Paish Krtain Hain.
  • Chand Mashhoor Aqwaal
  1. Dost Ko Daulat Ki Niga Sy Mat Dekho,Wafa Krnay Walay Dost Aksar Ghareeb Hotay Hain.
  2. Dosti Krna Itna Asan Hai Jaisay Miti Sy Miti Par Miti Likhna Lakin Dosti Nibhana Itna Mushkal Hai Jaisay Pani Sy Pani Par Pani Likhna.
  3. Safar Sy Pahlay Hamsafar Or Ghar Khardnay Sy Pahlay Apny Parosi Ky Baray Main Maloom Kar Lo.
  4. Kisi Ki Khamoshi Ko Is Ka Takbar Na Samjho Kia Pata Woh Khud Apni Hi Zaat Sy Jang Kar Raha Ho.
  5. Main Jannat Ky Lalich Ya Dozikh Ky Darr Sy Us Ki Ibadat Nahi Krta Balky Is Liye Karta Ho'n K Woh Hai Hi Ibadat Ky Like.
  6. Agr Koi Tum Sy Naraz Hai Or Usy Is Baat Ka Gharoor Hai K Tum Usy Mana Lo Gey Tu Us Ky Gharoor Ko Totnay Mat Dena.

Allah Ta'ala Humray Hakumrano Ko Bhi Serat Hazrat Ali (R.A) Sy Sabiq Hasil Krnay Ki Taufeeq De.Ameen   


6 comments:

  1. Ameen! the life of Ali R.A is the best for every muslim as a model

    ReplyDelete
  2. It's really nice knowledge to know about Our Khalifa Rashideen!

    hazrataliqutoes

    ReplyDelete
    Replies
    1. G Han! 'KHALIFA'H RASHIDEEN (R.A)' Ki Zindgiyoun Per Hi Amal Paiar Ho Kar Hum Kamyaab Zindgi Guzaar Saktay Hain.

      Delete
    2. ameen or hma in k nakshay kadam pa chalny ki tufeeq daa amee

      Delete
  3. Alif Allah Chambey dhi booti
    Mere Mann vich Murshid laee Hu

    ReplyDelete
  4. G nahi. ... just 1 & only... ALI as k asool o hikmat pr amal pera hony sy. ..
    Ali as haq hain. .. bs wohi such hain...

    ReplyDelete

Popular Posts