- Main Apnay Sy Baro'n Ka Ihtraam Is Liye Krta Hon K Un Ky Suwaab Mujh Sy Zyda Hain Or Apnay Sy Choto'n Ka Ihtraam Is Liye Krta Hon K Un Ky Gunah Mujh Sy Kam Hain.
- Achi zndgi Guzarnay Ky Do Tareke Hain 1.Jo Pasind Hai Usay Hasil Kar Lo.Ya 2.Jo Hasil Hai Usay Pasind Kar Lo.
- Jo Tumhari Qadar Nahi Krta,Tum Uski Qadar Kro Q K Zindgi Ky Kisi Mor Par Usay Tumhari Qadar Ka Ehsas Zaror Ho Ga.
- Insan Ko Achi Sooch Pe Woh Inaam Milta Hai, Jo Usay Achay Amal Pe Bhi Nahi Milta Q K Sooch Main Dekhawa Nahi Hota.
Fablious Words Hazrat Ali (R.A)
Shiekh Saadi (Rihmat tul Alameen) Quotes
- Jo Dukh Day Usay Chor Do Mgr Jisay Chor Do Usay Dukh Na Do.
- Din Ki Roshni Main Rizq Talash Kro Raat Ko Usay Talash Kro Jo Rizq Deta Hai.
- Agr Tum Allah Ki Ibadat Nahi Kar Sktay Tu Gunha Krna Chor Do.
- Asman Par Niga Zaror Rakho Mgr Yeh Mat Bholo K Pao'n Zameen Par Hi Rakhay Jatay Hain.
- Kisi Ko Achay Amal Sy Dili Khushi Dena Hazar Sajday Krnay Sy Behtar Hai.
Quotes Hazrat Luqman (A.S)
- Agr Tum Badtaneet Ko Raaz Do Gy Tu Woh Faash Kar Dy Ga.Yeh Badtaneet Ko Pohchn'ny Ki Elamat Hai.
- Bewaqofo Sy Dosti Mat Kro.Q K Yeh Mushkil Waqt Main Teri Mushkilo Main Azafa Krain Ge.
- Aqal Adab Ky Sath Aisi Hai Jaisa K Drakht Samar Ky Sath Or Aqal Beghair Adab Aisi Hai Jaisa K Drakht Be Samar.
- Jis Tarha Barish Khushk Zameen Ko Zinda Kar Deti Hai.Isi Tarha Suhbat Ulma Sy Dil Zinda Hota Hai.
Quran-o-Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat
Rozay Ka Mafhoom
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krna Or Chup Rehna.
Istalah-e-Deen Main "Soom" Sy Muraad Hai K Subah Sadaq Sy Gharoob-e-Aftab Tak Khanay Peenay Or Mubashrat Sy Rukay Rehna.
Quran Majeed Main Rozay Ki Ahmiyat:
"Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gai Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gai Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."
Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.
"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Pai Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay."
Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat:
"Jis Ny Iman Or Ihtasaab Sy Ramdan Ky Mahinay Main Rozay Rakhay Tu Is Ky Pichlay Tamam Gunah Mauf Kar Diye Jain Gain."
"Roza Mere Liye Hai Main Hi Is Ka Badla Don Ga."
"Jo Shakhs Ramdan Main Kisi Roza Dar Ko Raza Iftar Krai Ga,Is Ky Gunaho Ky Liye Maufi Hai Or Woh Khud Ko Jahnam Ki Aag Sy Bachai Ga Or Usay Roza Dar Jitna Hi Swab Milay Ga Jab Ky Is Roza Dar Ky Liye Apnay Swab Main Koi Kami Waqiya Nahi Ho Gi."
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krna Or Chup Rehna.
Istalah-e-Deen Main "Soom" Sy Muraad Hai K Subah Sadaq Sy Gharoob-e-Aftab Tak Khanay Peenay Or Mubashrat Sy Rukay Rehna.
Quran Majeed Main Rozay Ki Ahmiyat:
- Irshad-e-Bari Ta'ala Hai:
"Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gai Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gai Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."
(Surah Al-Baqra: 183)
Mazkora Bala Ayat Main Jaha Rozay Ka Farz Hona Sabat Hota Hai,Waha Is Ko Farz Krnay Ki Hikmat Bhi Maloom Hoti Hai Or Woh Hai Taqwa Ka Hasool.Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.
- Irshad-e-Bari Ta'ala Hai:
"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Pai Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay."
(Surah Al-Baqra: 185)
Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat:
- Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:
"Jis Ny Iman Or Ihtasaab Sy Ramdan Ky Mahinay Main Rozay Rakhay Tu Is Ky Pichlay Tamam Gunah Mauf Kar Diye Jain Gain."
- Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:
"Roza Mere Liye Hai Main Hi Is Ka Badla Don Ga."
(Sehi Bukhari)
- Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:
"Jo Shakhs Ramdan Main Kisi Roza Dar Ko Raza Iftar Krai Ga,Is Ky Gunaho Ky Liye Maufi Hai Or Woh Khud Ko Jahnam Ki Aag Sy Bachai Ga Or Usay Roza Dar Jitna Hi Swab Milay Ga Jab Ky Is Roza Dar Ky Liye Apnay Swab Main Koi Kami Waqiya Nahi Ho Gi."
(Tarmzi-Ibn-e-Majha)
Subscribe to:
Posts (Atom)
Popular Posts
-
Lughat Main Sunnat Is Rastay Ko Kehtay Hain Jis Par "Chala Jaye, Khawa Woh Rasta Acha Ho Ya Bura.Lakin Shari Istalah Main Sunnat Sy Mu...
-
Rasool Allah (S.A.W) Ny Frmaya K Rajab Ka Mahina Allah Ta'ala Ka Mahina Hai Or Shaban Ka Mahina Mera Mahina Hai Or Ramdan Meri Umat K...
-
Ameer Al-Momaneen Hazart Umar Farooq (R.A) Baroz Budh (Wednesday) 27 Zilhaj Ko Zakhmi Hovay Or Yakam Muharram 24 Hijri Baroz Hafta (Saturda...
-
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krn...
-
Hazrat Abdullah Ibn-e-Abbas (R.A) Rewayat Krtain Hain K Hazoor Akram (SAW) Ny Frmaya: 'Mujhay Dozikh Dekhlai Gai Tu Is Main Zyda Ta...