Golden Quotes Shiekh Sadi (R.A)

  1. Ahista Ahista Magr Musalsal Chalna Kamyabi Ki Zamant Hai.
  2. Kamzoor Dushman Jo Ata'at Qabool Kray Or Dost Ban Jaye Is Ka Muqsad Is Ky Sewa Or Kuch Nahi Hota K Woh Aik Zabrdast Dushman Banna Chahta Hai.
  3. Dost Ki Baat Cheet Main Ahistgi Akhtayar Kar, Kehain Kambakht Dushman Hi Na Sunta Ho.
  4. Jo Shakhs Dushmano Ky Sath Sulah Krta Hai.Isay Dosto Ko Azar Ponchnay Ka Khayal Hai.
  5. Ay Aqal Mand Aisay Dost Sy Hath Dhoo Lay Jo Dushmano Ky Sath Uthta Baithta Hai.

Beautiful Sayings Hazrat Ali (R.A)

  1. Sab Sy Behtreen Luqma Woh Hota Hai Jo Apni Mehnat Sy Hasil Kia Jay.
  2. Kisi Ka Aib Talash Krnay Walay Ki Misal Us Makhi Jaisi Hai Jo Sara Khobsorat Jism Chor Kar Sirf Zakham Par Hi Bathti Hai.
  3. Acha Dost Chahy Jitni BAr Rothay Usay Har Bar Mana Lina Chahiye Q K Tasbeeh Ky Danay Chahy Jitni Bar Bikhrain Chun Ky Liye Jatay Hain.
  4. Agr Insan Ko Takbar Ky Baray Main Allah Ki Narazgi Or Saza Ka Ilm Ho Ho Jay Tu Banda Sirf Faqeero Or Ghareebo Sy Milay Or Miti Py Baitha Kray.
  5. Zindgi Ky Har Morr Par Sulah Krna Sekho Q K Jhukta Wohi Hai Jis Main Jaan Hoti Hai.Akrna Tu Murday Ki Pahchan Hoti Hai.

Youm-e-Wafat Shiekh Abdul Qadir Jilani (R.A)

Sayings Hazrat Muhammad (SAW)

  1. Tamam Amaal Ki Qaboliyat Ka Medar Niyat Ki Sehat-o-Salamti Par Hai (Yani Is Ka Khalis Allah Ta'ala Ky Liye Hona Zarori Hai).
  2. Do Adat Aisi Hain K In Sy Behtar Koi Adat Nahi 1.Allah Ta'ala Par Iman Laana 2.Muslmano Ko Nafa Ponchana.
  3. Do Adatain Is Qadar Buri Hain K In Sy Buri Koi Adat Nahi 1.Allah Ta'ala Ky Sath Shirk Krna 2.Kisi Muslman Ko Zarar Ponchana.
  4. Tamam Gunaho Ki Jarr Duniya Hai Or Tamam fitno Ki Jarr Ashar Or Zkat Na Ada Krna Hai.
  5. Jo Shakhs Subha Uthtay Hi Deenvi Afkaar Or Ghum Main Mubtla Ho Jata Hai Woh Dar Asal Apnay Rab Sy Naraz Hai.

Shiekh Abdul Qadir Jilani (R.A) Ka Silsila Nasb

  • Walid Ki Tarf Sy
Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Walid Ki Tarf Sy Kuch Is Tarha Hai.

'Syedna Shiekh Abdul Qadir Jilani' Bin 'Syed Abi Saliha Mousa Jungi Dost' Bin 'Syed Abi Abdullah' Bin 'Syed Mousa Al-Joon' Bin 'Syed Abdullah Al-Mehz' Bin 'Syed Hasan Al-Musna' Bin 'Ameer Al-Momaneen Abu Muhammad Hasan (R.A)' Bin 'Ameer Al-Momaneen Ali Ibn-e-Abi Talib (R.A)'.
  • Walida Ki Tarf Sy
Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Walida Ki Tarf Sy Kuch Is Tarha Hai.

'Ume Al-Khair Al-Jabar Fatima' Bint 'Syed Abdullah Al-Somai Al-Zahid' Bin 'Syed Abu Jamal' Bin 'Syed Muhammad' Bin 'Syed Mahmood' Bin 'Syed Tahir' Bin 'Abi Al-Ata' Bin 'Syed Abdullah' Bin 'Kamal Al-Deen' Bin 'Syed Essa' Bin 'Syed Syedani Alauddin' Bin 'Syed Muhammad' Bin 'Syed Ali Al-Arezi' Bin 'Jafar Sadiq' Bin 'Imam Muhammad Baqar' Bin 'Imam Zain-ul-Abideen' Bin 'Imam Hussain (R.A)' Bin 'Hazrat Ali (R.A)' Bin 'Abi Talib (Karam Allah Waj'ha)'.

Rabi-ul-Sani Ky Wazaif

Jo Shakhs Pora Mah Bad Nimaz-e-Esha Yeh Wazifa Rozzana (Everyday) 1,111 Martaba Parhay Ga Woh Mout Ky Waqt Kalma Parhta Hova Is Duniya Sy Rukhsat Ho Ga.Baaz Buzargo Ka Kehna Hai K Is Wazifay Main Khatama Bilkhair Ki Be-Had Taseer Hai.Is Wazifa Sy Khatama Bilkhair Hota Hai.
Wazifa Yeh Hai.
فَاطِرَالسَّمٰوَاتِ وَالْاَرْضِ قف اَنْتَ وَلِیِّ فِی الدُنْیَاوَالْاٰخِرَۃِ ج تَوَفَّنِیْ مُسْلِمًا وَّاَلْحِقْنِیْ بِالصّٰلِِحِیْنَ ہ
Tarjma:
"Ay Aasmano Or Zameeno Ky Paida Krnay Walay!Duniya Or Akhrat Main Tu Hi Mera Rafeeq Hai,Tu Mujh Ko Apni Frmanbardari Ki Halat Main Duniya Sy Utha Ly Or Mujh Ko Apnay Naik Bandon Main Dakhal Kar Ly."

For More Wazaif's & Ibadaat . . .

Nice Quote Hazrat Abdul Qadir Jilani (R.A)

Rabi-ul-Sani Ki Nafli Ibadat

Shab-e-Awal Ky Nawafal
Mah-e-Rabi-ul-Saani Ki 1, 15 Or 29 Tareekho'n Main Char Rakat Nafal Parhay.Har Rakat Main Surah Fatiha Ky Bad Surah Ikhlaas 5 Bar Parhay.Is Nimaz Ky Fazal Sy Parhnay Waly Ky Liye 1000 Naikiyan Lekhi Jati Hain Or 1000 buraayan Mahu Ki Jati Hain.
(Jawahar Ghaibi)

Golden Words Hazrat Luqman (A.S)

  1. Har Shakhs Ko Is Ky Hunar-o-Johar Ky Mutabik Jaga Deni Chahiye.
  2. Kameeno Ky Muqblay Main  Khamosh Raha Kro.
  3. Nimaz Main Qalab Ki, Majlas Main Zuban Ki, Ghazab Main Hath Ki Or Dastrkhawan Par Pait Ki Hifazat Kro.
  4. Sehat-o-Jismaani Sy Behtar Koi Tu-Nagri Or Astaghna Sy Behtar Koi Nimat Nahi.
  5. Aaqlo Ki Suhbat Akhtyar Kro,Yeh Mushkil Waqt Main Teri Madid Krain Gy.

Rabi-ul-Sani Ky Nawafal

Is Mah Ky Nawafal Yeh Hain Jo Aksar sofia Karam Parhtay Rehain Hain.
  • Shab-e-Awal Ky Nawafal
Abido Ka Kehna Hai K Jab Rabi Saani Ka Chand Nazar Aa Jaye Tu Is Ki Shab-e-Awal Main Bad Nimaz-e-Mughrib 8 Rakat Nafal 2,2 Ki Niyat Sy Parhay Or Is Main Surah Fatiha Ky Bad Surah Kousar 3 Bar Or Dosri Rakat Main Surah Kafroon 3 Bar, Phir Tesri, Chothi, Panchvi, Chhati, Saatveen, Aathveen Rakat Main Surah Fatiha Ky Bad Surah Ikhlaas 3,3 Bar Har Rakat Main Parhay.Insha Allah Is Nimaz Ky Parhnay Walay Ko Beshumaar Nimazo Ka Swab Milay Ga.

Rabi-ul-Sani Ky Mashhoor Waqayat

Is Mahinay Ki Tesri Tareekh Ko Hajaaj Ny Kabbah Mazuma Par Aag Phenki Thi Jabky Sydna Hazart Ibn-e-Zubair (R.A) Wahan Mahsoor Thy.Jis Sy Khana Kabbah Jal Gaya,Isi Mah Main Hazrat Sydna Abdul Qadar Jilani (R.A) Ka Wasaal Bhi Hova.

Rabi-ul-Sani Ky Fazail

Yeh Islami Saal Ka Chotha Mahina Hai.Isay Rabi-ul-Akhir Kaha Jata Hai.Is Ka Naam Rakhtay Waqt Rabi Ka Mousam Tha Yani Rabi Ka Akheer Tha Is Liye Is Ka Naam Rabi-ul-Akhir Rakha Gaya Hai.Magr Rabi-ul-Awal Ki Munasabt Sy Rabi-ul-Saani Mashhoor Ho Gaya.

Nice Quotes Shiekh Saadi Sherazi (R.A)

  1. Bhook Or Maskeeni Main Zindgi Guzarna Kisi Kamenay Ky Samnay Dast Sawal Draz Krnay Sy Behtar Hai.
  2. Jo Koi Apni Kamai Sy Roti Khata Hai Isay Hatam Tai Ka Ehsaan Uthana Nahi Parta.
  3. Jab Tak Tumhari Halat Hum Jaisi Na Ho Jaye.Humari Halat Tumhary Samnay Afsana Si Ho Gi.
  4. Khuda Ky Dosto Ki Andheri Raat Bhi Rooz Roshan Ki Tarha Chamkti Hai.
  5. Jahloo Ka Tareeqa Yeh Hai K Jab In Ki Koi Daleel Muqabal Ky Agay Nahi Chal Sakti Tu Jhagra Shuro Kar Detain Hain.

Sayings Hazrat Abdul Qadir Jilani (R.A)

  1. Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamam Bemario Ki Dua Hai.
  2. Hansany Walo Ky Sath Mat Hansa Kro.Balky Ronay Walo Ky Sath Rotain Raha Kro.
  3. Jab Alim Zahid Na Ho Tu Woh Apnay Zamany Walo Par Azaab Hai.
  4. Momin Jis Qadar Bordha Hota Hai.Is Ka Iman Taqat War Hota Hai.
  5. Jis Ny Makhlooq Sy Kuch Manga Woh Khaliq Ky Darwazay Sy Andha Hai.

Beautiful Words Hazrat Imam Hussain (R.A)

  1. Zindgi Ka Koi Aitbaar Nahi Jis Qadar Mumkin Ho Dosro Ky Kaam Ao.
  2. Ala'a Darjay Ka Fiaz Woh Hai Jo Aisay Logo Sy Husan Salook Kray Jin Sy Isay Koi Umeed Ya Asra Na Ho.
  3. Zalimo Ky Sath Zinda Rehna Bajay Khud Aik Zulim Hai.
  4. Allah Ky Sewa Kabhi Bhi Kisi Sy Koi Sawal Nahi Krna Chahiye.
  5. Jis Ka Madad Gaar Khuda Ky Elawa Koi Na Ho, Khabar Daar Is Par Zulim Na Krna.

Golden Word Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)

Sunnat Ki Ahmiyat Hadith Ki Roshni Main

Lughat Main Sunnat Is Rastay Ko Kehtay Hain Jis Par "Chala Jaye, Khawa Woh Rasta Acha Ho Ya Bura.Lakin Shari Istalah Main Sunnat Sy Muraad Hazoor Akram (SAW) Ky Afa'al-o-Aqwal Hain Ya Aisay Kaam Jo Sarwar-e-Kainaat (SAW) Ky Samnay Kiye Gy Hon Or Ap (SAW) Ny Inhain Pasind Frmaya Ho.Sunnat Ka Atlaaq Aisay Amoor Par Bhi Hota Hai Jo Khulfa-e-Rashideen (R.A) Ny Kiye Hon Ya In Ky Krnay Ka Hukam Ho.
  • Hadith Ki Roshni Main Sunnat Ki Ahmiyat
Hazoor Akram (SAW) Ka Arshad Paak Hai:

"Jo Meri Sunnat Par Amal Na Kray Woh Mujh Sy Nahi."
(Ibn-e-Majah)

"Jo Humaray Ghairon Ki Sunnat Par Amal Kray Ga Woh Humaray Growh Main Sy Nahi Hai."
(Masnd Al-Firdoos)
Quran Pak Main Sunnat Ki Ahmiyat

Sunnat Ki Ahmiyat

Lughat Main Sunnat Is Rastay Ko Kehtay Hain Jis Par "Chala Jaye, Khawa Woh Rasta Acha Ho Ya Bura.Lakin Shari Istalah Main Sunnat Sy Muraad Hazoor Akram (SAW) Ky Afa'al-o-Aqwal Hain Ya Aisay Kaam Jo Sarwar-e-Kainaat (SAW) Ky Samnay Kiye Gy Hon Or Ap (SAW) Ny Inhain Pasind Frmaya Ho.Sunnat Ka Atlaaq Aisay Amoor Par Bhi Hota Hai Jo Khulfa-e-Rashideen (R.A) Ny Kiye Hon Ya In Ky Krnay Ka Hukam Ho.
  • Quran Pak Main Sunnat Ki Ahmiyat
Allah Ta'ala Ka Arshad Hai:

"Jis Ny Rasool (SAW) Ki Itaat Ki Tu IS Ny Allah Ta'ala Ki Itaat Ki."
(Surah Al-Nisa'ah:80)
 "Beshak Tumhare Liye Rasool Kareem (SAW) Ki Zaat Main Behtreen Namoona Majood Hai."
(Surah Al-Ihzaab:21)
"Hum Ny Kisi Rasool Ko Nahi Bheja Magr Is Liye K Allah Ta'ala Ky Hukam Sy Is Ki Itaat Ki Jaye."
(Surah Al-Nisa'ah:64)
"Agr Tum Rasool (SAW) Ki Itaat Kro Gy Tu Hadaiyat Pao Gy."
(Surah Al-Noor:54)
"Humara Rasool (SAW) Jo Kuch Tumhain Dy Woh Ly Lo Or Jis Baat Sy Mana Kray Is Sy Baaz Reho."

Hazart Umar Farooq (R.A) Ki Nimaz-e-Janaza

Ameer Al-Momaneen Hazart Umar Farooq (R.A) Baroz Budh (Wednesday) 27 Zilhaj Ko Zakhmi Hovay Or Yakam Muharram 24 Hijri Baroz Hafta (Saturday) Ko Wasaal Frma Gy,Phir Ap (R.A) Ky Janaza Ko Tayar Kar Ky Hazrat Ayesha (R.A) Ky Hijra Aqdas Ky Samnay La Kar Rakha Gaya Or Ba Awaz Buland Arz Kiya Gaya K Ay Umme-e-Almomaneen (R.A)!Yeh Janaza Umar (R.A) Ka Hazir Hai Or Ab Phir Ap Sy Ijazat Mangta Hai K Agr Hukam Ho Tu Hijra Anwar Main Dafan Kiya Jaye.Umme-e-Almomaneen Hazart Ayesha (R.A) Roti Thein Or Farmati Thein K Main Khushi Sy Aj Phir Hazrat Umar (R.A) Ko Ijazat Deti Hon.Chunacha Ap Ko Hijra Anwar Main Hazoor Sarwar-e-Kainaat (SAW) Ky Qadmo Main Dafan Kiya Gaya,Ap Ki Nimaz-e-Janaza Hazrat Sohaib (R.A) Ny Parhai.Hazart Usman Ghani (R.A),Hazart Ali (R.A),Hazart Zubair (R.A),Hazart Abdul Rehman Bin Aof (R.A) Or Hazart Abdullah Bin Umar (R.A) Ny Qabar Main Utara.
(Tareekh-e-Islam,Seerat Alsalaheen)

Popular Posts