Aqwal Hazrat Umar Farooq (R.A)


Nice Saying Hazrat Muhammad (SAW)

  1. Jis Ny Meri Qabar Ki Zayarat Ki Us Par Meri Shafa'at Wajab Hai.
  2. Jab Naiki Tumhain Masroor Kray Or Burai Afsarda Kray Tu Tum Moman Ho.
  3. Jo Dosro PAr Rahim Nahi Krta Khuda Us Par Rahim Nahi Krta.
  4. Jis Bartan Ko Dhaka Na Gaya Ho Is Ka Pani Mat Pio.
  5. Maal Daro Ky Pas Kam Jaya Kro Taky Allah Ki Nimatain Tumhari Nigah Main Zaleel-o-Khawar Na Hon.

Mah-e-Safar K Akhri Char Shanba Ky Nawafal

Safar Ky Akhri Budh (Wednesday) Ko Bad Ghusal Kray Or Chasht Ky Waqt Do Rakat Namaz Nafal Parhay K Har Rakat Main Alhamd Shareef Ky Bad Gayara Bar Sura Akhlaas Parhay Or Salam Pheer Kar Yeh Darood Shareef Satr (70) Bar Parhay:
الَلّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍنٍ النَّبِیِّ الْاُمِّیِّ وَعَلٰی اٰلِہِ وَاَصْحَابِہِ وَبَارَک وَسَلِّمْ۔
Raht-ul-Qaloob Main Hai K Is Ky Bad Yeh Dua Parhay:
الَلّٰھُمّ صَرِفْ عَنِّیْ سُوْءَ ھٰذَاالْیَوْمِ وَاعْصِمْنِیْ سُوْءِہِ وَنَجِّنِیْ عَمًا اَصَابَ فِیْہِ مِنْ الشَّرُوْرِ وَمَالِکَ النَّشُوْرِ یَااَرْحَمَ الرَّاحِمِیْنَ وَصَلَّی اللّٰہُ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّاٰلِہِ الْاَمْجَادِ وَبَارِکْ وَسَلِّمْ۔

Saying Data Ganj Bakhsh (R.A)

  1. Khuli Adwat Behtar Hai.Munafqana Mowafaqt Sy.
  2. Haqeeqi Taqwa Yeh Hai K Jo Kuch Tere Dil Ky Ander Hai Agr Tu Is Ko Aik Khulay Tabaq Main Rakh Kar Bazar Ka Gasht Lagai Tu Is Main Aik Chez Bhi Aisi Na Ho Jis Ko Aashkara Krnay Main Tujhay Sharam Ay.
  3. Ibadat Bil Tauba Durst Nahi Hoti.Q K Allah Ta'ala Ny Tauba Ko Ibadat Par Muqdam Kiya Hai.
  4. Nazol Bila Halakat Ky Liye Nahi Balky Imtahan Ky liye Hota Hai.
  5. Dosro Ky Maal Ka Tama Na Rakhna Bhi Dakhil Sakhawat Hai.

Aqwal Hazrat Nazamuddin Auliya (R.A)

  1. Dua Ky Waqt Kisi Gunah Ya Ataat Ka Khayal Dil Main Lanay Ki Bajai Khuda Ki Rehmat Par Nazar Rakhni Chahiye.
  2. Haq Ta'ala Par Bhrosa Rakhna Chahiye.Or Is Ky Sewa Kisi Sy Umeed Nahi Rakhni Chahiye.
  3. Admi Ka Iman Is Waqt Tak Kamal Nahi Hota.Jab Tak Is Ki Nigah Main Tamam Makhloq Machar Sy Bhi Kam Haqeeqat Maloom Ho.
  4. Jo Shakhs Rah-e-Muhabat-o-Marfat Main Kamal Hai.Is Sy Alim Batan-o-Zahar Main Koi Chez Posheeda Nahi Or Na Hi Posheeda Rehti Hai.
  5. Marfat Ka Nishan Yeh Hai K Is Main Khamoshi Bouht Ho.Agr Kisi Waqt Baat Kray Tu Baqadr Zarorat Kray.
  6. Darwesh Ky Dil Main Ajz-o-Inkassari,Tasleem-o-Raza, Khoof-o-Rija Or Sabar-o-Shukar Ky Osaaf Ka Hona Lazmi Hai.

Hazrat Khawja Sirajuddin (R.A)

  1. Sab Sy Zyda Nimat Khuda Wandi Ilm Hai.
  2. Apni Zindgi Ko Ilm Sy Mazeen Kro.
  3. Jo Lutaf Dosro Ki Diljoi Sy Hai.Woh Zaati Mufaad Main Nahi Dekha Gaya.
  4. Apnay Ap Ko Bool,K Tu Kis Ki Ulaad Hai (Muraad Hasab-o-Nasab Hai).

Mah-e-Safar Ki Nafli Ibadat

Akhri Char Shanba K Do Rakat Nafal Youn Parhna Bhi Durst Hai K Nafal Ki Har Rakat Main Sura Fatiha Ky Bad Teen (3) Teen (3) Bar Sura Akhlaas Parhay.Salam Ky Bad Sura Alam-Nashar,Sura Al-Wateen,Sura Al-Nasar Or Sura Akhlaas Assi (80) Martba Parhay Tu Allah Tabarak Wa Ta'ala Is Ki Barkat Sy Is Ky Dil Ko Ghani Kar De Ga.
(Jawahar Ghaibi)

Mah-e-Safar Ki Nafli Ibadat

Shab-e-Awal Mah-e-Safr Main Bad Az Namaz-e-Esha Har Muslaman Ko Chahiye K Char Rakat Namaz Nafal Is Tarah Parhay K Pahli Rakat Main Bad Sura Fatiha Pandra (15) Bar Sura Kafroon Or Dosri Main Sura Akhlaas Pandra (15) Bar Or Tesri Main Sura Falaq Pandra (15) Bar Or Chothi Main Sura Naas Pandra (15) Bar Parhay.
Bad Salam Ky Aik Bar ' اِیَّاکَ نَعْبُدُوَاِیَّاکَ نَسْتَعِیْن ' Kehay.Phir Satr (70) Bar Darood Shareef Parhay Tu Allah Ta'ala Is Ko Har Bala Or Har Afat Sy Mahfooz Rakhy Ga Or Swab-e-Azeem Ata Frmaye Ga.
(Raht-ul-Qaloob)

Farman Hazrat Muhammad (SAW)

  1. Insaaf Ki Ghari Barson Ki Ibadat Sy Behtar Hai.
  2. Jab Madad Mango Tu Khuda Sy Mango Or Jab Madad Chaho Tu Allah Sy Chaho.
  3. Jo Shakhs Sonay Chandi Ky Bartan Main Khata Hai Allah Us Ky Pait Ko Jahnam Ki Aag Sy Bhar Dy Ga.
  4. Jahnami Log Khud Pasandi 'Khud Parst' 'Mutkabar' Harees Or Bakheel Hotain Hain.
  5. Jo Baat Tum Ko Shak Main Daly Woh Chor Do.

Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Ka Shajra Nasb

Shajra Nasb 
Hazrat Abu Bakar (R.A) Ka Silsila Nasb
  • Walid Ki Tarf Sy 
Abdullah (Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)) Bin Abi Qahfa'h Usman Bin Amir Bin Umero Bin Ka'ib Bin Saad Teyam Bin Mara'h Bin Ka'ib Bin Lovi Bin Ghalib Alqarshi Alteemi.Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Mara'h Bin Ka'ib Par Hazoor Nabi Akram (SAW) Sy Ja Kar Mil Jata Hai.
  • Walida Ki Taraf Sy
Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Is Tarha Hai.Umm-e-Aalkhair Salma Bint Sakhar Bin Ka'ib Bin Saad Bin Teyam Bin Marha.Ap (R.A) Ki Walida Majida Ki Keniyat Umm-e-Alkhair Thi Jo Ap Ky Walid Ky Chacha Ki BetiThi.
(Tabqat Ibn-e-Saad.Safeena-tul-Auliya)

For More Details . . .

Namaz K Fawaid-o-Ahmiyat

  • Namaz Ki Ahmiyat
Allah Tabark-o-Ta'ala Ny Namaz Ki Ahmiyat-o-Fazilat Ko Ojagar Krnay Ky Liye Sura Baqra Ky Pandravain Ruku Main Waziha Frman Nazal Frmaya:

"Pabandi Kro Sab Namazo Ki Or Khasos'n Darmiyani Namaz." 
(Sura Al-Baqra:238)

Hazoor Akram (SAW) Ka Frman Hai:

"K Namaz Deen Ka Satoon Hai." 
(Kinz Al-Amaal)
  • Namaz Ky Fawaid
  1. Chehrey Ki Nooraniat
  2. Dil Ka Noor
  3. Qabar Main Saathi
  4. Nuzool-e-Rehmat Ka Zariya
  5. Asmano Ki Kunji
  6. Jism ki Rahat 
  7. Mizaan-e-Hisab Ka Wazan
  8. ALLAH (Subhanahu Wa Ta'ala) Ki Raza
  9. Jannat Ki Qeemat
  10. Aag Sy Bachao Ka Zariya 
Allah (Subhanahu Wa Ta'ala) Hum Sab Ko Panch Waqt Namaz Ada Krnay Ki Toufeeq Ata Frmaaye. Ameen!

Aqwal Hazrat Imam Hasan (R.A)

Nice Quotes Of Hazrat Majdad Alif Saani (R.A)

  1. Tamam Makhloq Main Insan Hi Sab Zyda Muhtaaj Hai.
  2. Nidaamat Baad Az Gunah Bhi Dakhil Tauba Hai.
  3. Narm Kho Or Mutwaza Ky Liye Jahnam Haram Hai.
  4. Duniya Ki Musebito Ko Bardasht Kro.Q K Yeh Teri Tarqi Ka Sabab Banain Gi.
  5. Zahar Dar Asal Batan Ka Namona Hai.

Saying Of Shiekh Saadi (R.A)

  1. Dushman Sy Hamesha Bacho Or Dost Sy Is Waqt Jab Woh Tumhari Tareef Krnay Lagy.
  2. Agr Chirrio'n Main Ait'haad Ho Jaye Tu Woh Sheer Ki Khaal Utaar Sakti Hain.
  3. Sheeri Kalam Or Naram Zuban Insan Ky Ghusay Ki Aag Par Pani Ka Sa Asar Rakhti Hai.
  4. Aqal Mand Is Waqt Tak Nahi Bolta.Jab Tak Khamooshi Nahi Ho Jati.
  5. Rizq Ki Kami Or Zyadi Dono Hi Burai Ki Taraf Lay Jati Hain.

Nice Quotes Of Hazrat Luqman (A.S)

  1. Mard Kamal Wohi Hai Jo Dushman Ko Dost Bana Saky.Lakin Agr Boja Khaas Yeh Teri Dastras Sy Bahir Ho Tu Bahalat Mukhasmat Ghazab Sy Hazr Kar K Tera Ghazab Tere Liye Dushman Sy Zyda Dushman Hai.
  2. Jaha Tak Ho Saky Logo Sy Door Reh Taky Tera Dil Salamat Oe Nafs Pakeeza Rehay.
  3. Kaseer Al Faheem Or KAm Sakhan Bana Reh.Or Halat Khamoshi Main Be Fikar Mat Reh.
  4. Khuda Ky Wastay Jo Kaam Kro Is Main Bando Ka Khoof Na Kar.
  5. Zyda Suno Or Kam Bolo.
  6. Jis Nimat Main Shukar Hai Is Ko Zawal Nahi Or Jis Nimat Main Kufaran Hai Is Ki Baqa Nahi.

Saying Of Data Ganj Bakhish (R.A)

  1. Ilm Bouht Sy Hain Or Koi Insan Baik Waqt Sab Aloom Nahi Seekh Sakta.Or Na Hi Tamam Aloom Sekhna Insan Par Farz Hai.
  2. Insan Ky Paas Aqal Or Ilm Bhi Kisi Cheez Ko Jannay Or Maraft Hasil Krnay Ky Liye Agr Sirf Aqal Or Ilm Kafi Hotain Hain Tu Har Alam Arif Hota.
  3. Faqeer Woh Hai Jis Ky Pas Na Duniya Ki Koi Chez Ho.Na Isay Kisi Sy Milnay Sy Khushi Ho.Or Na Kisi Chez Ky Talaf Krnay Sy Ranj Ho.
  4. Har Arif Aam Hota Hai Lakin Har Arif Alim Nahi Hota.
  5. Dil Ki Ankh Ibadat Sy Khulti Hai.Is Ki Resai Lamukan Tak Hai.Or Kainaat Ka Koi Raaz Is Sy Panha Nahi.

Nice Saying Hazrat Ali (R.A)


Saying Of Hazrat Abdul Qadar Jilani (Rehmt Tul Alamen)

  1. Aflaas Gunaho Sy Bachata Hai.Or Tu Nagri Maishiyat Ki Jaal Hai.Aflaas Ko Apna Muhafiz Khayal Kar.
  2. Rehmat Ko Ly Kar Kiya Kray Ga,Raheem Ko Lay.
  3. Jis ka Anjaam Mout Hai Is Ky Liye Kon Khushi Hai.
  4. Tujhay Log Takbar Sy Nahi Tawaza Sy Bara Samjhain.
  5. Apnay Dil Ko Sirf Khuda Ky Liye Khali Rakh Or Aza Ky Sath Baal Bacho Ky Maash Main Masroof Reh.

Aqwal Hazrat Abu Alhasan Kharqani (Rehmt Tul Alamen)

  1. Be Kaari Or Susti Insan Ko Halaak Kar Deti Hai.
  2. Thori Si Tafheem Bouht Sy Ilm,Ayadat Or Zahid Sy Behtar Hai.
  3. Jab Tak Tum Duniya Ky Talab Reho Gy Woh Tum Par Ghalab Rehay Gi Jab Mounh Pheer Lo Gy Woh Tumhari Mutahat Ho Jay Gi.
  4. Imam Woh Hai Jo Duniya Ki Har Rawish Ka Tajarba Hasil Kar Chuka Ho.
  5. Ilm Sy Zyda Mufeed Yeh Hai K Tum Is Par Amal Kro Or Sab Sy Acha Ilm Woh Ilm Hai.Jo Tum Par Farz Hai.
  6. Elaaniya Gunah Posheeda Ki Nasbit Zyda Sakht Or Azhar-e-Gunah Dosra Gunah Hai.

Quotes Of Hazrat Majdad Alif Saani (Rehmt Tul Alamen)

  1. Ehsaan Har Jaga Behtar Hai Magr Hamsai Ky Sath Behtreen Hai.
  2. Ibadat In Amaal Ka Naam Hai Jo Insan Ko Khuda Ka Hum Ahung Bana Dy.
  3. Zikar Sy Murad Ghaflat Door Krna Hai.
  4. Kainaat Ain Zaat Nahi Balky Zul Ya Akas Zaat Hai.
  5. Hum Khuda Ko Na Ankh Sy Dekh saktay Hain Na Kashaf Sy.Is Ky Matluaq Wahid Zariya Ilm Alhaam Hai.

Farman Hazrat Ali (R.A)


Aqwal Shiekh Saadi Sherazi (Rehmt Tul Alamen)

  1. Zindgi Ki Drazi Ka Raaz Sabar Main Posheeda Hai.
  2. Agr Tum Chahtay Ho K Tumhara Naam Baqi Rehay Tu Ulaad Ko Achay Akhlaaq Sekhao.
  3. Agrcha Insan Ko Muqdar Sy Zyda Rizq Nahi Milta.Lakin Rizq Ki Talash Main Susti Nahi Krni Chahiye.
  4. Sheer Sy Panja Azmai Krna Or Talwar Par Muka Marna Aqal Mando Ka Kaam Nahi.
  5. Moti Agr Kechar Main Bhi Girr Jaye Tu Bhi Qameti Hai,Or Gard Agr Asman Par Bhi Charh Jaye Tu Bhi Be Qamet Hai.
  6. Jo Dosro Ky Ghum Sy Be Ghum Hai Admi Kahlany Ka Mustahiq Nahi.

Saying Of Hazrat Dawood (A.S)

  1. Jo Shakhs Ilm Rakhta Hai,Is Par Amal Nahi Krta.Woh Is Bemari Ki Maand Hai Jis Ky Pas Dua Hai Or Woh Isay Istamaal Nahi Krta.
  2. Dana Woh Hai Jo Kam Bolay Or Zyda Sunay.
  3. Jab Tumhari Rozi Dosro Ki Rozi Sy Alag Hai Tu Phir Yeh Be Sabri Or Preshani Q.
  4. Hikmat Aik Mubarak Drakht Hai Jo Dil Sy Ugta Hai.Or Zuban Sy Phelta Hai.
  5. Apni Zarorto Ko Mahdood Kar Lena Hi Daulat Mandi Hai. 

Aqwal Hazrat Data Ganj Bakhish (R.A)

  1. Ulma Ka Kaam Ghor-o-Fikar Krna Hai.Jahla Ka Kaam Sirf Suni Sunai Baat Ka Biyyan Krna Hai.
  2. Ilm Ka Kamal Yeh Hai K Parhtay Parhtay Is Muqam Par Ponch Jao K Bila Akhir Tumhain Yeh Kehna Paray K Hum Kuch Bhi Nahi Janty.
  3. Jo Shakhs Khuda Ki Ibadat Zaati Aghraaz Ky Liye Krta Hai.Woh Apni Parstish Krta Hai Khuda Ki Nahi.
  4. Sab Nabi Wali Hotain Hain.Magr Walio Main Koi Nabi nahi Ho Sakta.
  5. Aaf Alam Bhi Hota Hai Magr Yeh Zarori Nahi K Alam Bhi Araf Ho.

Popular Posts