Aqwal Hazrat Umar Farooq (R.A)


Nice Saying Hazrat Muhammad (SAW)

  1. Jis Ny Meri Qabar Ki Zayarat Ki Us Par Meri Shafa'at Wajab Hai.
  2. Jab Naiki Tumhain Masroor Kray Or Burai Afsarda Kray Tu Tum Moman Ho.
  3. Jo Dosro PAr Rahim Nahi Krta Khuda Us Par Rahim Nahi Krta.
  4. Jis Bartan Ko Dhaka Na Gaya Ho Is Ka Pani Mat Pio.
  5. Maal Daro Ky Pas Kam Jaya Kro Taky Allah Ki Nimatain Tumhari Nigah Main Zaleel-o-Khawar Na Hon.

Mah-e-Safar K Akhri Char Shanba Ky Nawafal

Safar Ky Akhri Budh (Wednesday) Ko Bad Ghusal Kray Or Chasht Ky Waqt Do Rakat Namaz Nafal Parhay K Har Rakat Main Alhamd Shareef Ky Bad Gayara Bar Sura Akhlaas Parhay Or Salam Pheer Kar Yeh Darood Shareef Satr (70) Bar Parhay:
الَلّٰھُمَّ صَلِّ عَلٰی مُحَمَّدٍنٍ النَّبِیِّ الْاُمِّیِّ وَعَلٰی اٰلِہِ وَاَصْحَابِہِ وَبَارَک وَسَلِّمْ۔
Raht-ul-Qaloob Main Hai K Is Ky Bad Yeh Dua Parhay:
الَلّٰھُمّ صَرِفْ عَنِّیْ سُوْءَ ھٰذَاالْیَوْمِ وَاعْصِمْنِیْ سُوْءِہِ وَنَجِّنِیْ عَمًا اَصَابَ فِیْہِ مِنْ الشَّرُوْرِ وَمَالِکَ النَّشُوْرِ یَااَرْحَمَ الرَّاحِمِیْنَ وَصَلَّی اللّٰہُ عَلٰی مُحَمَّدٍ وَّاٰلِہِ الْاَمْجَادِ وَبَارِکْ وَسَلِّمْ۔

Saying Data Ganj Bakhsh (R.A)

  1. Khuli Adwat Behtar Hai.Munafqana Mowafaqt Sy.
  2. Haqeeqi Taqwa Yeh Hai K Jo Kuch Tere Dil Ky Ander Hai Agr Tu Is Ko Aik Khulay Tabaq Main Rakh Kar Bazar Ka Gasht Lagai Tu Is Main Aik Chez Bhi Aisi Na Ho Jis Ko Aashkara Krnay Main Tujhay Sharam Ay.
  3. Ibadat Bil Tauba Durst Nahi Hoti.Q K Allah Ta'ala Ny Tauba Ko Ibadat Par Muqdam Kiya Hai.
  4. Nazol Bila Halakat Ky Liye Nahi Balky Imtahan Ky liye Hota Hai.
  5. Dosro Ky Maal Ka Tama Na Rakhna Bhi Dakhil Sakhawat Hai.

Aqwal Hazrat Nazamuddin Auliya (R.A)

  1. Dua Ky Waqt Kisi Gunah Ya Ataat Ka Khayal Dil Main Lanay Ki Bajai Khuda Ki Rehmat Par Nazar Rakhni Chahiye.
  2. Haq Ta'ala Par Bhrosa Rakhna Chahiye.Or Is Ky Sewa Kisi Sy Umeed Nahi Rakhni Chahiye.
  3. Admi Ka Iman Is Waqt Tak Kamal Nahi Hota.Jab Tak Is Ki Nigah Main Tamam Makhloq Machar Sy Bhi Kam Haqeeqat Maloom Ho.
  4. Jo Shakhs Rah-e-Muhabat-o-Marfat Main Kamal Hai.Is Sy Alim Batan-o-Zahar Main Koi Chez Posheeda Nahi Or Na Hi Posheeda Rehti Hai.
  5. Marfat Ka Nishan Yeh Hai K Is Main Khamoshi Bouht Ho.Agr Kisi Waqt Baat Kray Tu Baqadr Zarorat Kray.
  6. Darwesh Ky Dil Main Ajz-o-Inkassari,Tasleem-o-Raza, Khoof-o-Rija Or Sabar-o-Shukar Ky Osaaf Ka Hona Lazmi Hai.

Hazrat Khawja Sirajuddin (R.A)

  1. Sab Sy Zyda Nimat Khuda Wandi Ilm Hai.
  2. Apni Zindgi Ko Ilm Sy Mazeen Kro.
  3. Jo Lutaf Dosro Ki Diljoi Sy Hai.Woh Zaati Mufaad Main Nahi Dekha Gaya.
  4. Apnay Ap Ko Bool,K Tu Kis Ki Ulaad Hai (Muraad Hasab-o-Nasab Hai).

Mah-e-Safar Ki Nafli Ibadat

Akhri Char Shanba K Do Rakat Nafal Youn Parhna Bhi Durst Hai K Nafal Ki Har Rakat Main Sura Fatiha Ky Bad Teen (3) Teen (3) Bar Sura Akhlaas Parhay.Salam Ky Bad Sura Alam-Nashar,Sura Al-Wateen,Sura Al-Nasar Or Sura Akhlaas Assi (80) Martba Parhay Tu Allah Tabarak Wa Ta'ala Is Ki Barkat Sy Is Ky Dil Ko Ghani Kar De Ga.
(Jawahar Ghaibi)

Mah-e-Safar Ki Nafli Ibadat

Shab-e-Awal Mah-e-Safr Main Bad Az Namaz-e-Esha Har Muslaman Ko Chahiye K Char Rakat Namaz Nafal Is Tarah Parhay K Pahli Rakat Main Bad Sura Fatiha Pandra (15) Bar Sura Kafroon Or Dosri Main Sura Akhlaas Pandra (15) Bar Or Tesri Main Sura Falaq Pandra (15) Bar Or Chothi Main Sura Naas Pandra (15) Bar Parhay.
Bad Salam Ky Aik Bar ' اِیَّاکَ نَعْبُدُوَاِیَّاکَ نَسْتَعِیْن ' Kehay.Phir Satr (70) Bar Darood Shareef Parhay Tu Allah Ta'ala Is Ko Har Bala Or Har Afat Sy Mahfooz Rakhy Ga Or Swab-e-Azeem Ata Frmaye Ga.
(Raht-ul-Qaloob)

Farman Hazrat Muhammad (SAW)

  1. Insaaf Ki Ghari Barson Ki Ibadat Sy Behtar Hai.
  2. Jab Madad Mango Tu Khuda Sy Mango Or Jab Madad Chaho Tu Allah Sy Chaho.
  3. Jo Shakhs Sonay Chandi Ky Bartan Main Khata Hai Allah Us Ky Pait Ko Jahnam Ki Aag Sy Bhar Dy Ga.
  4. Jahnami Log Khud Pasandi 'Khud Parst' 'Mutkabar' Harees Or Bakheel Hotain Hain.
  5. Jo Baat Tum Ko Shak Main Daly Woh Chor Do.

Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A) Ka Shajra Nasb

Shajra Nasb 
Hazrat Abu Bakar (R.A) Ka Silsila Nasb
  • Walid Ki Tarf Sy 
Abdullah (Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)) Bin Abi Qahfa'h Usman Bin Amir Bin Umero Bin Ka'ib Bin Saad Teyam Bin Mara'h Bin Ka'ib Bin Lovi Bin Ghalib Alqarshi Alteemi.Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Mara'h Bin Ka'ib Par Hazoor Nabi Akram (SAW) Sy Ja Kar Mil Jata Hai.
  • Walida Ki Taraf Sy
Ap (R.A) Ka Silsila Nasb Is Tarha Hai.Umm-e-Aalkhair Salma Bint Sakhar Bin Ka'ib Bin Saad Bin Teyam Bin Marha.Ap (R.A) Ki Walida Majida Ki Keniyat Umm-e-Alkhair Thi Jo Ap Ky Walid Ky Chacha Ki BetiThi.
(Tabqat Ibn-e-Saad.Safeena-tul-Auliya)

For More Details . . .

Namaz K Fawaid-o-Ahmiyat

  • Namaz Ki Ahmiyat
Allah Tabark-o-Ta'ala Ny Namaz Ki Ahmiyat-o-Fazilat Ko Ojagar Krnay Ky Liye Sura Baqra Ky Pandravain Ruku Main Waziha Frman Nazal Frmaya:

"Pabandi Kro Sab Namazo Ki Or Khasos'n Darmiyani Namaz." 
(Sura Al-Baqra:238)

Hazoor Akram (SAW) Ka Frman Hai:

"K Namaz Deen Ka Satoon Hai." 
(Kinz Al-Amaal)
  • Namaz Ky Fawaid
  1. Chehrey Ki Nooraniat
  2. Dil Ka Noor
  3. Qabar Main Saathi
  4. Nuzool-e-Rehmat Ka Zariya
  5. Asmano Ki Kunji
  6. Jism ki Rahat 
  7. Mizaan-e-Hisab Ka Wazan
  8. ALLAH (Subhanahu Wa Ta'ala) Ki Raza
  9. Jannat Ki Qeemat
  10. Aag Sy Bachao Ka Zariya 
Allah (Subhanahu Wa Ta'ala) Hum Sab Ko Panch Waqt Namaz Ada Krnay Ki Toufeeq Ata Frmaaye. Ameen!

Aqwal Hazrat Imam Hasan (R.A)

Nice Quotes Of Hazrat Majdad Alif Saani (R.A)

  1. Tamam Makhloq Main Insan Hi Sab Zyda Muhtaaj Hai.
  2. Nidaamat Baad Az Gunah Bhi Dakhil Tauba Hai.
  3. Narm Kho Or Mutwaza Ky Liye Jahnam Haram Hai.
  4. Duniya Ki Musebito Ko Bardasht Kro.Q K Yeh Teri Tarqi Ka Sabab Banain Gi.
  5. Zahar Dar Asal Batan Ka Namona Hai.

Saying Of Shiekh Saadi (R.A)

  1. Dushman Sy Hamesha Bacho Or Dost Sy Is Waqt Jab Woh Tumhari Tareef Krnay Lagy.
  2. Agr Chirrio'n Main Ait'haad Ho Jaye Tu Woh Sheer Ki Khaal Utaar Sakti Hain.
  3. Sheeri Kalam Or Naram Zuban Insan Ky Ghusay Ki Aag Par Pani Ka Sa Asar Rakhti Hai.
  4. Aqal Mand Is Waqt Tak Nahi Bolta.Jab Tak Khamooshi Nahi Ho Jati.
  5. Rizq Ki Kami Or Zyadi Dono Hi Burai Ki Taraf Lay Jati Hain.

Nice Quotes Of Hazrat Luqman (A.S)

  1. Mard Kamal Wohi Hai Jo Dushman Ko Dost Bana Saky.Lakin Agr Boja Khaas Yeh Teri Dastras Sy Bahir Ho Tu Bahalat Mukhasmat Ghazab Sy Hazr Kar K Tera Ghazab Tere Liye Dushman Sy Zyda Dushman Hai.
  2. Jaha Tak Ho Saky Logo Sy Door Reh Taky Tera Dil Salamat Oe Nafs Pakeeza Rehay.
  3. Kaseer Al Faheem Or KAm Sakhan Bana Reh.Or Halat Khamoshi Main Be Fikar Mat Reh.
  4. Khuda Ky Wastay Jo Kaam Kro Is Main Bando Ka Khoof Na Kar.
  5. Zyda Suno Or Kam Bolo.
  6. Jis Nimat Main Shukar Hai Is Ko Zawal Nahi Or Jis Nimat Main Kufaran Hai Is Ki Baqa Nahi.

Saying Of Data Ganj Bakhish (R.A)

  1. Ilm Bouht Sy Hain Or Koi Insan Baik Waqt Sab Aloom Nahi Seekh Sakta.Or Na Hi Tamam Aloom Sekhna Insan Par Farz Hai.
  2. Insan Ky Paas Aqal Or Ilm Bhi Kisi Cheez Ko Jannay Or Maraft Hasil Krnay Ky Liye Agr Sirf Aqal Or Ilm Kafi Hotain Hain Tu Har Alam Arif Hota.
  3. Faqeer Woh Hai Jis Ky Pas Na Duniya Ki Koi Chez Ho.Na Isay Kisi Sy Milnay Sy Khushi Ho.Or Na Kisi Chez Ky Talaf Krnay Sy Ranj Ho.
  4. Har Arif Aam Hota Hai Lakin Har Arif Alim Nahi Hota.
  5. Dil Ki Ankh Ibadat Sy Khulti Hai.Is Ki Resai Lamukan Tak Hai.Or Kainaat Ka Koi Raaz Is Sy Panha Nahi.

Nice Saying Hazrat Ali (R.A)


Saying Of Hazrat Abdul Qadar Jilani (Rehmt Tul Alamen)

  1. Aflaas Gunaho Sy Bachata Hai.Or Tu Nagri Maishiyat Ki Jaal Hai.Aflaas Ko Apna Muhafiz Khayal Kar.
  2. Rehmat Ko Ly Kar Kiya Kray Ga,Raheem Ko Lay.
  3. Jis ka Anjaam Mout Hai Is Ky Liye Kon Khushi Hai.
  4. Tujhay Log Takbar Sy Nahi Tawaza Sy Bara Samjhain.
  5. Apnay Dil Ko Sirf Khuda Ky Liye Khali Rakh Or Aza Ky Sath Baal Bacho Ky Maash Main Masroof Reh.

Aqwal Hazrat Abu Alhasan Kharqani (Rehmt Tul Alamen)

  1. Be Kaari Or Susti Insan Ko Halaak Kar Deti Hai.
  2. Thori Si Tafheem Bouht Sy Ilm,Ayadat Or Zahid Sy Behtar Hai.
  3. Jab Tak Tum Duniya Ky Talab Reho Gy Woh Tum Par Ghalab Rehay Gi Jab Mounh Pheer Lo Gy Woh Tumhari Mutahat Ho Jay Gi.
  4. Imam Woh Hai Jo Duniya Ki Har Rawish Ka Tajarba Hasil Kar Chuka Ho.
  5. Ilm Sy Zyda Mufeed Yeh Hai K Tum Is Par Amal Kro Or Sab Sy Acha Ilm Woh Ilm Hai.Jo Tum Par Farz Hai.
  6. Elaaniya Gunah Posheeda Ki Nasbit Zyda Sakht Or Azhar-e-Gunah Dosra Gunah Hai.

Quotes Of Hazrat Majdad Alif Saani (Rehmt Tul Alamen)

  1. Ehsaan Har Jaga Behtar Hai Magr Hamsai Ky Sath Behtreen Hai.
  2. Ibadat In Amaal Ka Naam Hai Jo Insan Ko Khuda Ka Hum Ahung Bana Dy.
  3. Zikar Sy Murad Ghaflat Door Krna Hai.
  4. Kainaat Ain Zaat Nahi Balky Zul Ya Akas Zaat Hai.
  5. Hum Khuda Ko Na Ankh Sy Dekh saktay Hain Na Kashaf Sy.Is Ky Matluaq Wahid Zariya Ilm Alhaam Hai.

Farman Hazrat Ali (R.A)


Aqwal Shiekh Saadi Sherazi (Rehmt Tul Alamen)

  1. Zindgi Ki Drazi Ka Raaz Sabar Main Posheeda Hai.
  2. Agr Tum Chahtay Ho K Tumhara Naam Baqi Rehay Tu Ulaad Ko Achay Akhlaaq Sekhao.
  3. Agrcha Insan Ko Muqdar Sy Zyda Rizq Nahi Milta.Lakin Rizq Ki Talash Main Susti Nahi Krni Chahiye.
  4. Sheer Sy Panja Azmai Krna Or Talwar Par Muka Marna Aqal Mando Ka Kaam Nahi.
  5. Moti Agr Kechar Main Bhi Girr Jaye Tu Bhi Qameti Hai,Or Gard Agr Asman Par Bhi Charh Jaye Tu Bhi Be Qamet Hai.
  6. Jo Dosro Ky Ghum Sy Be Ghum Hai Admi Kahlany Ka Mustahiq Nahi.

Saying Of Hazrat Dawood (A.S)

  1. Jo Shakhs Ilm Rakhta Hai,Is Par Amal Nahi Krta.Woh Is Bemari Ki Maand Hai Jis Ky Pas Dua Hai Or Woh Isay Istamaal Nahi Krta.
  2. Dana Woh Hai Jo Kam Bolay Or Zyda Sunay.
  3. Jab Tumhari Rozi Dosro Ki Rozi Sy Alag Hai Tu Phir Yeh Be Sabri Or Preshani Q.
  4. Hikmat Aik Mubarak Drakht Hai Jo Dil Sy Ugta Hai.Or Zuban Sy Phelta Hai.
  5. Apni Zarorto Ko Mahdood Kar Lena Hi Daulat Mandi Hai. 

Aqwal Hazrat Data Ganj Bakhish (R.A)

  1. Ulma Ka Kaam Ghor-o-Fikar Krna Hai.Jahla Ka Kaam Sirf Suni Sunai Baat Ka Biyyan Krna Hai.
  2. Ilm Ka Kamal Yeh Hai K Parhtay Parhtay Is Muqam Par Ponch Jao K Bila Akhir Tumhain Yeh Kehna Paray K Hum Kuch Bhi Nahi Janty.
  3. Jo Shakhs Khuda Ki Ibadat Zaati Aghraaz Ky Liye Krta Hai.Woh Apni Parstish Krta Hai Khuda Ki Nahi.
  4. Sab Nabi Wali Hotain Hain.Magr Walio Main Koi Nabi nahi Ho Sakta.
  5. Aaf Alam Bhi Hota Hai Magr Yeh Zarori Nahi K Alam Bhi Araf Ho.

Farman Hazrat Usman (R.A)


Hazrat Luqman (A.S) Quotes

  1. Jab Khalqat Ky Paas Ao Tu Zuban Ki Negihydasht Kro.
  2. Masaib Sy Mat Ghabrao.Q K Sitary Andhray Main Hi Chamktain Hain.
  3. Hikmat-o-Danai Muflas Ko Badshah Bana Deti Hai.
  4. Jo Baat Dushman Sy Posheeda Rakhna Chahty Ho.Woh Dost Sy Bhi Posheeda Rakho.Ho Skta Hai Kabhi Wohi Dost Tumhara Dushman Ho Jay.
  5. Waqt Ki Agr Qeemat Hai.Tu Woh Iska Sehi Istmaal Hai.
  6. Jedo Jahd Na Krna Muhtaji Ka Bais Hota Hai.Or Muhtaji Deen Ko Tang,Aqal Ko Zaeef Or Marwat Ko Zail Kar Deti Hai.

Aqwal Hazrat Sulman (A.S)

  1. Bewaqoof Ky Hath Peghaam Bhejawana Apnay Paon Par Kulhari Marnay Ky Mutradaf Hai.
  2. Hasd Badan Ko Gala Deta Hai Jabke Qannat Badan Ko Tazeegi Bakhshti Hai.
  3. such Kabhi Jhoot Sy Shiksat Nahi Khata.
  4. Humsai Ko Kal Par Mat Tarrkha Balke Is Ki Zarorat Isi Waqt Puri Kar Do.
  5. Jo Shakhs Khamoosh Rehta Hai Woh Bouht Dana'a Hai Q K Kasrat Kalam Sy Kuch Na Kuch Gunah Sar Zad Ho Jata Hai.

Farman Hazrat Imam Hussain (R.A)


Hazrat Umer Farooq (R.A) Quotes

  1. Iman Is Ka Naam Hai K Khud-e-Wahid Ko Dil Sy Pahchany Or Zuban Sy Iqrar Kray Or Hukam Sara Par Amal Kray.
  2. Tum Ny Logo Ko Q Ghulam Bana Rakha Hai.Halaky In Ki Mao Ny Inhain Azad Jina Tha.
  3. Khash-o-Khazu Ka Taluq Dil Sy Hai Na K Zahri Harkaat Sy.
  4. Muqdmaat Ka Jald Tasfiya Krna Chahiye Ta'ky Dawa Krnay Wala Deer Ky Sabab Kehain Apnay Dawa Sy MAjborr'n Dastbrdar Na Ho Jay.
  5. Bad Khu Dosti Sy Ahtraz Lazim Hai.Q K Woh Agr Bhalai Bhi Krna Chahta Hai Tu Bhi Is Sy Burai Sar Zad Ho Jati Hai.

Nice Saying Hazart Usman Ghani (R.A)

  1. Mat Rakh Umeed Kisi Sy Magr Apnay Rab Sy Or Mat Darr Kisi Sy Magr Apnay Gunah Sy.
  2. Insan Zuban Ky Parday Main Chupa Hai.
  3. Duniya Ky Liye Preshan Hona Qalab Ki Bemari Hai Jabke Akhrat Ky Liye Preshan Hona Dil Ka Noor Hai.
  4. Gunah Kisi Na Kisi Surat Dil Ko Be Chain Rakhta Hai.
  5. Meri Das Khobiya Allah Ky Pas Mahfooz Hain Jin Min Sy Aik Yeh Hai K Mainy Ganay Bajanay Ki Mahfal Main Kabhi Shirkat Nahi Ki.
  6. Ayal Dar Ky Amal Mujahideen Ky Amal Ky Sath Asman Par Jatain Hain.

Farman Hazrat Ali (R.A)

  1. Jis Ki Nazar Main Khud Apnay Nafs Ki Izat Ho Gi,Woh Apni Nafsani Khawhisho Ko Be-waqt Samjhy Ga.
  2. Barish Ka Qatra Sanp Or Saip Dono Ky Munh Main Jata Hai Lakin Sanp Isay Zahr Or Saip Isay Moti Bana Deta Hai.Yeh Har Aik Ki Apni Takhleeq Hai.
  3. Jis Ny Kisi Ko Akele Main Nasihat Ki Us Nay Usay Sunwaar Diya Or Jis Nay Kisi Ko Sab Ky Samny Nasihat Ki Us Nay Usay Mazeed Be-gaar Diya.
  4. Jhoot Bol Kar Jeet Janay Sy Behtar Hai Sach Bol Kar Haar Jao.
  5. Be-hoda Mazaq Ahamqo Ki Tafreeh Hai Or Jahilo'n Ka Hunar.

Aqwal Hazrat Abdul Qadar Jilani (Rehmat Tul Alameen)

  1. Shikasta Qabro Par Ghoor Kar!Kaisay Kaisay Hasseno Ki Miti Kharab Ho Rehi Hai.
  2. Shoro Krna Tera Kaam Hai Or Takmeel Krna Khuda Ka Kaam.
  3. Behtreen Amal Dosro Ko Kuch Dena Hai.
  4. Jahan Tak Ho Saky Luqma Ki Islah Kar K Amal Salah Ki Baniyad Yeh Hi Hai.
  5. Samjhdaar Kisi Chez Main Khushi Nahi Pata Q K Is Ka Halal Hisaab Hai Or Haram Azaab Hai.
  6. Be Adab Khaliq-o-Makhlooq Dono Ka Matob Hai.

Hazrat Syedna Aisha (R.A) Quotes

  1. Zuban Ki Hafazat Kro Q K Izat-o-Zilat Ki Yehi Zima Dari Hai.
  2. Mahman Ky Wastay Zyda Kharch Kro Q K Yeh Israaf Main Sy Nahi.
  3. Kam Khana Tamam Bemario Ka Elaaj Hai Or Shikam Seeri Bemari Ki Jarr Hai.
  4. Jab Maida Bhar Jay Tu Qowat-e-Fikar Kamzor Par Jati Hai.Or Hikmat-o-Danish Ki Salahtain Gongi Ho Jati Hain.
  5. Zuban Ki Hafazat Kro K Yeh Aik Behtreen Khaslat Hai.

Farman Hazrat Imam Hasan (R.A)

  1. Danayo Main Ala Darja Ki Danai Taqwa Or Kamzorio Main Sab Sy Bari Kamzori Bad Akhlaqi Or Bad Amaali Hai.
  2. Bahadar Woh Hai Jo Musebat Ky Waqt Sabr-o-Tahmal Sy Kaam Ly Or Aray Waqt Main Parosi Ki Madad Kray.
  3. Allah Ta'ala Behtreen Badla Leny Wala Hai.
  4. Woh Shakhs Sab Sy Behtreen Zindgi Basar Krta Hai.Jo Apni Zaroryat Ky Liye Kisi Ghair Par Bharosa Nahi Krta.
  5. Tumhari Umer Brabar Ghtatti Ja Rehi Hai Bas Jo Kuch Tumhary Hath Main Hai.Is Sy Kisi Ki Madad Kro.

Aqwal Hazrat Sulman (A.S) Quotes

  1. Behtreen Khairaat Taleem Hai.
  2. Aqal Mand ilm Dost Or Kam Go Hota Hai Or Ahmaq Bhi Jab Tak Khamosh Rehta Hai Aqal Mand Shumar Hota Hai.
  3. ilm Or Khoof-e-Khuda Sy Izat Milti Hai.
  4. Kisi Shakhs Ka Taleem Yafta Hona Is Ki Behtreen Maliyat Hai.
  5. Aqal Mand Woh Hai Jisay Ghusa Dair Sy Ata Hai.

Jis Kaam Sy Tumhain Mana Kar Don Hadith Nabwi (SAW)

حدیثِ مُبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)فرماتے ہیں کہ’’جس کام سے تمہیں منع کردوںاس سے اجتناب کرواور جس کام کا تمہیں حکم دوں اسے بقدر استطاعت بجا لاؤ تم سے پہلے لوگوں کوان کے کثرت سے سوالات کرنے اور انبیاء سے اختلاف رکھنے نے انہیں تباہ وبرباد کردیا۔‘‘
(بخاری و مسلم)

Raat Or Din Ky Waqt Ky Firshtay

حدیثِ مُبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
نبی کریم(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے ارشاد فرمایا:’’رات اور دن کے وقت فرشتے جو زمین کے انتظام پر مامور ہیں،وہ اپنی ڈیوٹی بدلتے ہیں اورفجروعصرکی نماز میں اکٹھا ہوتے ہیں۔پھر جو فرشتے تمہارے اندر ہیں،وہ اپنے رب کے حضور جاتے ہیں تو وہ ان سے پوچھتا ہے،کہ’’تم نے میرے بندوں کو کس حال میں چھوڑا۔‘‘تو وہ عرض کرتے ہیں کہ’’جب ہم ان کے پاس پہنچے تھے تو انہیں نماز پڑھتے پایا تھا،اور جب ہم نے انہیں چھوڑا ہے تو نمازپڑھتے ہوئے چھوڑا ہے۔‘‘
   (بخاری،مسلم عن ابوہریرہرضی اﷲعنہ)

Hadith Mubarak (SAW) Shuhad-e-Uhud Par Ge

حدیثِ مُبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضرت عقبہ بن عامر (رضی اﷲعنہ)سے روایت ہے کہ نبی کریم(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) ایک روز باہر نکلے اور شُہدائے اُحد پرِ اس طرح نماز پڑھی جیسے میت کی نمازِجنازہ پڑھی جاتی ہے ۔ پھر آپ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) منبر پر جَلوہ اَفروز ہوئے اور فرمایا میں پہلے جا کر تمہارے کام درست کرنے والا ہوں۔اور تمہارے اوپر گواہ ہوں اور میں اپنے حوض کوثرکواب بھی دیکھ رہا ہوں۔مجھے زمین کے خزانوں کی چَابیاں مرحمت فرمائی گئی ہیں ۔خدا کی قسم مجھے یہ مطلقًا ڈرنہیں کہ میرے بعد تم شرک کرنے لگ جاؤگے بلکہ ڈر تو اس بات کا ہے کہ تم کہیں دنیا میں نہ پھنس جاؤ۔
(صحیح بخاری شریف:جلد ۲،کتاب المغازی،باب۴۹۵،صفحہ۵۷۲ حدیث۱۲۵۴)

Golden Words (Best Quotes)

  1. Pani Bno Jo Apna Rasta Khud Banata Hai Pathar Na Bno Jo Dosro Ka Rasta Rook Laita Hai.
  2. Achi Baat Ko Kisi Jhejak Ky Baghair Qabool Kro Khawa Is Ka Batanay Wala Muflas Or Nadar Hi Q Na Ho.
  3. Jin Logo Ky Khayalat Achay Hoty Hain Woh Kabhi Tanha Nahi Hoty.
  4. Hamesha Muskrao Q K Duniya Hamesha Muskrany Walo Ka Sath Deti Hai.
  5. Hamesha Sach Bolo Ta K Qasm Khanay Ki Zarorat Na Pary.
  6. Fazool Bahs Behtreen Dost Sy Juda Kr Deti Hai.

Hazrat Umer Farooq (R.A) Best Quotes

  1. Jo Aeb Sy Waqif Kray Woh Dost Hai Or Jo Us Par Tareef Kray Woh Aisa Hai Jaisay Dosray Ko Zib'haa Kar Diya Jaye.
  2. Bur'hapay Sy Pahle Jawani Or Mout Sy Pahle Bur'hapay Ko Ghanimat Jano.
  3. Sab Sy Buri Awazein 2 Hain- Noha (Rona Peetna) Or Raag (Gana).
  4. Toba Ki Takleef Sy Gunah Ka Chorna Asaan Hai.
  5. Bura Chahnay Walo'n Ki Dosti Sy Perhaiz Krna Zarori Hai.
  6. Salamti Gum'naami Main Hai.

Best Quotes

  1. Hamesha Apni Choti Choti Ghaltiyo'n Sy Bachnay Ki Koshish Kro Q K Insan Paharo'n Sy Nahi Chotay Chotay Pathar Sy Hi Thokar Khata Hai.
  2. So Meal Ka Safar Krnay Ky Liye Pahla Qadam Uthana Hi Ibtada Hai.Ibtada Kro Or Datt Kar Mehnat Kro Allah Kamyabi Aata Kray Ga.
  3. Jab Tak Koi Shakhs Qabliyet Sy Zyda Krnay Ki Nahi Thanta Woh Apni Qabliyet Ka Sahi Istmal Nahi Krta,Mehnat Kro Taky Kamyabi Pa Sako.
  4. Ghalt Fahmiya Door Na Ki Jain Tu Woh Nafrato'n Main Tabdeel Ho Jati Hain.
  5. Jo Shakhs Tum Sy Dosro Ky Aib Bayan Krta Hai Woh Yaqeen'n Dosro Sy Tumhara Bura Bhi Bayan Krta Hai.

Farman Ali Maula (R.A)

  1. Jis KI Nazar Main Khud Apnay Nafs Ki Izat Ho Gi,Woh Apni Nafsani Khawhisho Ko Be-waqt Samjhy Ga.
  2. Barish Ka Qatra Sanp Or Saip Dono Ky Munh Main Jata Hai Lakin Sanp Isay Zahr Or Saip Isay Moti Bana Deta Hai.Yeh Har Aik Ki Apni Takhleeq Hai.
  3. Jis Ny Kisi Ko Akele Main Nasihat Ki Us Nay Usay Sunwaar Diya Or Jis Nay Kisi Ko Sab Ky Samny Nasihat Ki Us Nay Usay Mazeed Be-gar Diya.
  4. Jhoot Bol Kar Jeet Janay Sy Behtar Hai Sach Bol Kar Haar Jao.
  5. Be-hoda Mazaq Ahamqo Ki Tafreeh Hai Or Jahilo'n Ka Hunar.
  6. Agr Tawkal Sekhna Hai Tu Parindo'n Sy Sekho K Jab Woh Sham Ko Wapis Ghar Jatay Hain Tu Un Ki Chonch Main Kal Ky Liye Koi Dana Nahi Hota.

Farman Hazart Abu Bakar Siddique (R.A)

  1. Zuban Ko Shikway Sy Rook Lay,Khushi Aata Ho Gi.
  2. Us Din Par Ansoo Baha Jo Teri Umar Sy Kam Ho Gaya Or Us Main Naiki Na Thi.
  3. Zuban Ko Shikayat Sy Band Kro,Khushi Ki Zindgi Aata Ho Gi.
  4. Dosro Ko Be Sakoon Krnay Wala Kabhi Sakoon Nahi Pa Sakta.
  5. Agr Koi Tum Sy Nasihat Mangy Tu Isay Sahi Or Mukhlas Mashwara (Nasihat) Do.

Hazrat Usman Ghani (R.A) Quotes

  1. Tajab Hai Us Par Jo Dozikh Ko Haq Janta Hai Or Phor Gunha Krta Hai.
  2. Behtar Hai K Duniya Tujh Ko Gunhgar Janay Ba Nisbat Is Ky Tu Khuda Ta'ala Ky Nazdeek Raya Kar Ho.
  3. Kisi Shakhs Par Is Waqt Tak Itmaad Nahi Krna Chahiye Jab Tak Is Ky Ghusay Ko Azma na Lay.
  4. Zindgi Ka Maqsad Bana Lijye Phir Apni Sari Taqat Us Ky Hasool Par Lga Dijye Tab Yaqeen'n Kamyab Hon Gay.

Farman -e- Hazrat Ali (R.A)

  1. Dost Ko Daulat Ki Niga Sy Mat Dekho,Wafa Krnay Walay Dost Aksar Ghareeb Hotay Hain.
  2. Dosti Krna Itna Asan Hai Jaisay Miti Sy Miti Par Miti Likhna Lakin Dosti Nibhana Itna Mushkal Hai Jaisay Pani Sy Pani Par Pani Likhna.
  3. Safar Sy Pahlay Hamsafar Or Ghar Khardnay Sy Pahlay Apny Parosi Ky Baray Main Maloom Kar Lo.
  4. Kisi Ki Khamoshi Ko Is Ka Takbar Na Samjho Kia Pata Woh Khud Apni Hi Zaat Sy Jang Kar Raha Ho.
  5. Main Jannat Ky Lalich Ya Dozikh Ky Darr Sy Us Ki Ibadat Nahi Krta Balky Is Liye Karta Ho'n K Woh Hai Hi Ibadat Ky Like.
  6. Agr Koi Tum Sy Naraz Hai Or Usy Is Baat Ka Gharoor Hai K Tum Usy Mana Lo Gey Tu Us Ky Gharoor Ko Totnay Mat Dena.
  7. Aqal Ky Zariye Khawhish Nafsani Ka Muqbala Kro.

Mah-e-Muharram Ul Haram My Nafli Rozay Ka Swab (Bukhari Shareef)

ماہِ محرم کے نفلی روزے
حضرت ابن عباس(رضی اﷲعنہ) روایت کرتے ہیں کہ رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)جب مدینہ تشریف لائے تو دیکھا کہ یہودی عاشورہ کے روزہ رکھتے ہیں۔آپ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے ان سے دریافت فرمایاکہ تم اس دن کیوں روزہ رکھتے ہو؟توانہوں نے کہا یہ تو بہت بڑادن ہے اس دن اﷲ تعالیٰ نےموسٰی علیہ السلام اوران کی قوم کوفرعون کے مظالم سے نجات دلائی اور فرعون اوراس کے لشکر کو غرق کیاتھا۔اس موقع پرموسیٰ علیہ السلام نے شکر الٰہی کے طورپرروزہ رکھاتھااس لیے اس دن ہم روزہ رکھتے ہیں۔رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)نے فرمایا:حضرت موسٰی علیہ السلام کی سنت پرعمل کرنے کے ہم تم سے زیادہ حقدار ہیں۔لٰہذاآپ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے عاشورہ کے دن روزہ رکھااور صحابہ(رضی اﷲعنہ) کو بھی روزہ رکھنے کا حکم فرمایا۔
                                                                                  (بخاری شریف)

Mah-e-Muarram Ky Nafli Rozay Ka Swab (Sahi Muslim)

ماہِ محرم کے نفلی روزے
حضرت ابن عباس(رضی اﷲعنہ) روایت کرتے ہیں کہ جب رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)نے عاشورہ کا روزہ رکھااوردوسروں کو بھی اس دن روزہ رکھنے کاحکم دیاتوصحابہ(رضی اﷲعنہ) 
نے عرض کیا:’’یارسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)!اس دن یہودونصاریٰ عظمت کرتے ہیں۔تورسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)نے فرمایااگرآئیندہ سال اﷲنے باقی رکھا تو نویں تاریخ کا بھی روزہ رکھوں گا۔‘‘
                                                                       (مسلم شریف)

Mah-e-Muharram Ky Nafli Rozay Ka Swab (Sahi Bikhari)

ماہِ محرم کے نفلی روزے
حضرت ابن عباس(رضی اﷲعنہ) روایت کرتے ہیں کہ میں نے رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)کو سوائے یوم عاشورہ کے روزہ کے سوا کسی روزہ کا قصد کرتے نہیں دیکھااورسوائے رمضان کے کسی پورے مہینے کے روزے رکھتے ہوئے نہیں دیکھا۔
                                                                        (بخاری شریف)

Hadith Mubarak:Muharram ul Haram Ki Nafli Ibadat

ماہِ محرم کی نفلی عبادات
حضرت ابوہریرہ(رضی اﷲعنہ) سے مروی ہے کہ جس نے عاشورہ کے دن چار رکعت نماز اس طرح پڑھی کہ ہررکعت میں ایک دفعہ سورہ فاتحہ اور پچاس بار سورہ اخلاص پڑھی۔اﷲ تعالیٰ نے اس کے پچاس برس گذشتہ کے اورپچاس برس آئیندہ کے گناہ معاف فرمائے۔ ملاء اعلٰی میں اس کے لیے نور کے ہزار محل تعمیر کرائے گا۔
                                        (نزہتہ المجالس: ج۱ص۱۴۲)

Yakam Muharram ul Haram Ki Dua


Mah e Muharram ul Haram Ki Nafli Ibadat Ka Swab


Hadith Mubarak (SAW):Raat Or Din Ky Waqt Ky Farshty Jo Zameen

حدیثِ نبوی(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
نبی کریم(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے ارشاد فرمایا:’’رات اور دن کے وقت فرشتے جو زمین کے انتظام پر مامور ہیں،وہ اپنی ڈیوٹی بدلتے ہیں اورفجروعصرکی نماز میں اکٹھاہوتے ہیں۔پھر جو فرشتے تمہارے اندر ہیں،وہ اپنے رب کے حضور جاتے ہیں تو وہ ان سے پوچھتا ہے،کہ’’تم نے میرے بندوں کو کس حال میں چھوڑا۔‘‘تو وہ عرض کرتے ہیں کہ’’جب ہم ان کے پاس پہنچے تھے تو انہیں نماز پڑھتے پایا تھا،اور جب ہم نے انہیں چھوڑاہے تو نمازپڑھتے ہوئے چھوڑا ہے۔‘‘
                           (بخاری،مسلم عن ابوہریرہ رضی اﷲعنہ)

Allah Ta'ala Us Par Rahm Nahi Krta Jo Logo Par Rahm Nahi Krta

حدیثِ مُبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضرت جریربِن عبداﷲ(رضی اﷲعنہ) سے مَروی ہے کہ رسول ا ﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)نے فرمایا:
’’اﷲتعالیٰ اس پررحم نہیں کرتا جو لوگوں پر رحم نہیں کرتا۔‘‘
(صحیح بخاری و مسلم)

Jab Tum Juma Ki Namaz Parh Lo Tu Is Ky Bad Char Raktain

حدیثِ مبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
ابوبکربن ابی شیبہ،عبداﷲبن ادریس،سہیل،ابوہریرہ رضی اﷲعنہ سے روایت ہے کہ رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے ارشاد فرمایا:’’جب تم جمعہ کی نماز پڑھ لو تو اس کے بعد چار رکعتیں پڑھو حضرت عمررضی اﷲعنہ نے اپنی روایت میں اتنا زائد کہاکہ اگر تجھے جلد ہوتو دو رکعتیں مسجد میں پڑھو تو دو رکعتیں جب واپس جاؤ توپڑھو۔‘‘
                                            (صحیح مسلم :حدیث نمبر ۲۰۳۱)

Main Khalqat Ky Aitbar Sy Pahla Nabi Hon

حدیث مُبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضوراکرم(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے اَرشاد فرمایا:’’میں خَلقت کے اعتبار سے تَمام اَنبیاء علیہ السلام سے پہلانبی ہوں اور بَعثت کے اعتبار سے سب سے آخری نبی ہوں۔‘‘
(امام بخاری(رحمۃالعالمین) تاریخ،امام احمدبن حنبل(رحمۃالعالمین) مسند،امام حاکم مستدرک،امام البونعیم دلائل النبوۃابن حاتم تفسیراور قاضی عیاض الشفاء)

Hadith Mubarak (SAW):Kab Farz Ki Gy Aap (SAW) Par

حدیث مبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضرت سیدناابوہریرہ(رضی اﷲعنہ) روایت کرتے ہیں’’فرماتے ہیں کہ صحابہ کرام(رضی اﷲعنہ) نے حضور(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)سے عرض کیایا رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)آپ کے لیے نبوت کب واجب کر دی گئی تھی۔حضور(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے فرمایا:جب (سیدنا)آدم علیہ السلام روح اور جسم کے مرحلے میں تھے۔‘‘
                                    (جامع ترمذی شریف،مستدرک الحاکم،مشکوۃالمصابیح)

Juma Mian Aik Gari Aisi Hoti Hai Jis Main Allah Ta'ala Sab Kuch Ata Krta Hai

حدیثِ مُبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
عبدالرحمٰن بن سلام جمحی، ابنِ مسلم، محمد بن زیاد، ابوہریرہ سے روایت ہے کہ نبی کریم(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے فرمایاکہ جمعہ میں ایک گھڑی ایسیہوتی ہے کہ مسلمان اس گھڑی میں اﷲ تعالیٰ جو بھلائی بھی مانگے گا اﷲ تعالیٰ اسے عطا فرما دیں گے اور وہ گھڑی بہت تھوڑی دیررہتی ہے۔
                                                                             (صحیح مسلم)

Best Aqwal e Zareen

  1. Hasd Or Nafrat Dil Ki Bemarya Hain.
  2. Moman Ki dil Azari krna Gunha -e- Kabeera Hai.
  3. Bakheel Abid Ki Nasbit Jahil Sakhi Allah Ko Pasnd Hai.
  4. Gharib Ko Bura janna Nafrat Or Ameer Ko Bura Janna Hasd Hai.
  5. Rah -e- Haq Main Ana Ko Mita Kar chalnay Walay Hi Shaitan Ky Shar Sy Mahfoz Reh Saktay Hain.
  6. Zuban Ky Iqrar Ky Sath Dil Ki Taid Bhi Ho Tu Shukar Ka Haq Ada Ho Jata Hai.

Aqwal-e-Zareen (Best)

  1. Majooda Door Main Insan Ki Preshani Ki Banyadi Waja Mada Parsti Hai.
  2. Haqeqi Muslman Woh Hai Jo Dosray Insano Ka Khayal Rakhta Hai.
  3. Jo Haqoq Al Ibad Ka Hi Khayal Na Rakhy Woh Khuda Ta'ala Ko Kaisay Yaad Rakh Sakta Hai.
  4. Nafs Or Shaitan Ky Sath Jihad Ki Waja Sy Insan Ka Martba Firshtoo Sy Bhi Afzal Ho Jata Hai.
  5. Jab Allah Walo Ky Pas JaoTu Dil -o- Damagh (Eqeeda) Dursat Kar Ky Or Jab Duniya Daaro Ky pas Jao Tu Libas Dursat Kar Ky Jao K Woh Zahar Ko Dekhtay Hain. 

Aqwal Hazrat Ameer Al Momineen Hazrat Umar Farooq Azam (R.A)

  1. Jo Admi Zyda Hansta Hai,Is Ka Rob Kam Ho Jata Hai.
  2. Jo Mazaq Zyda Krta Hai,Log Isay Kam Rutba Or Bay Hisyat Samjhtay Hain.
  3. Jo Batain Zyda Krta Hai,Is Ki Laghzshain Zyda Ho Jati hain.
  4. Jis Ki Laghzshain Zyda Ho Jati Hain,Is Ki Haya Kam Jati Hai.
  5. Jis Ki Haya Kam Ho Jati Hai,Is Ki Parehizgari Kam Ho Jati Hai.
  6. Or Jis Ki Parehizgari Kam Ho Jati Hai,Is Ka Dil Murda Ho Jata Hai.

Hazrat Imam Ghazali (Rihmat Alamem) Quotes

  1. Duniya Ko Duniya Ky Kamo Sy Talab Kar,Or Allah Ka Naam Allah Ky Wastay  Lay.
  2. Bad Khalqi Sy Dushmani Paida Hoti Hai,Or Dushmani Sy Jafa Kari.
  3. Geri Hovi Cheez Ka Baghir  Atl'aha Qabzy Main Kar Lena,Lotnay Ki Mand Hai.
  4. Namaz Main Hazor Qalib Ki Tadbeer Yeh Hai K Alfaz Ky Maini Par Khayal Rakhay.
  5. Logo Ki Naikyo Ko Zahir Krna Chahiye Or Bariyou Sy Chasham Poshi Lazim Hai.

Hadith Mubarak (SAW):Us Zaat Ki Qasm Jis Ky Qabzay Main Meri Jaan


Hadith Mubarak (SAW):Rastay Main Pari Rukawat Ko Hutana

حدیث مبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضرت ابو ہریرہ(رضی اﷲعنہ) سے روایت ہے کہ رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم) نے فرمایا:’’ایک شخص نے کسی (خاردار)درخت کی ٹہنی پڑی ہوئی دیکھی تو کہنے لگا،اﷲ کی قسم !میں اسے راستے سے ہٹا کررہوں گا تا کہ مسلمانوں کو تکلیف نہ ہو،اﷲ نے اس کی اس نیکی کی بدولت اسے جنت میں داخل فرما دیا۔‘‘
                                                                                                    (مسلم شریف)

Hadith Mubarak (SAW) Juma Ki Mubarak Garri Ky Baray Main

حدیث مبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضرت ابو موسیٰ اشعری (رضی اﷲعنہ)فرماتے ہیں کہ میں نے رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)کو جمعہ کی گھڑی کے بَارے میں ارشاد فرماتے ہوئے سُنا:’’وہ گھڑی خُطبہ شروع ہونے سے لے کرنماز کے ختم ہونے تک کا درمیانی وقت ہے۔‘‘
                                                                                               (رواہ مسلم)

Hadith Mubarak (SAW):Juma Ki Namaz Ky Liye Paidal Jana

حدیث مُبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضرت یذید بن ابی مریم(رحمۃالعالمین) فرما تے ہیں کہ میں جُمعہ کی نَماز کے لیے پَیدل جا رہا تھاکہ حضرت عبایہ بِن رافع(رحمۃالعالمین)مجھے مِل گئے اور فرمانے لگے تُمہیں خوشخبری ہو کہ تمہارے یہ قدم اﷲتعالیٰ کے راستہ میں ہیں۔ میں نے ابوعبس کو یہ فرماتے ہوئے سُنا ہے کہ رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)نے ارشاد فرمایا:’’جِس کے قدم اﷲتعالیٰ کے راستہ میں غَبار آلود ہوئے تو وہ قدم دُوزخ کی آگ پر حَرام ہیں۔‘‘
                           (راوہ الترمذی وقال:ھذا حدیث حسن صحیح غریب ،رقم ۱۶۳۲)

Istat Rakhnay Ky Bawajood Hajj Na Krnay Walo Ky Khalaf Waeed

Hajj Sahib -e- Istat Par Farz Hai........

Aqwal Hazrat Imam Jafar Sadiq (Rimatul Alamen)

  1. Ibadat Bila Durast Nahi Hoti,Kiun Ky Allah Ta'ala Nay Tauba Ko Ibadat Par Muqdam Kiya Hai.
  2. Dusroo Ka Maal Tamaa Na Krna Bhi Dakhil Sukhawat Hai.
  3. Nafs Allah Ta'ala Ka Mukhlaf Hai Or Nafs Ki Mukhalaft Allah Ta'ala Ki Dosti Hai.
  4. Shikayat Ka Tark Krna Sabar Hai.
  5. Haqeqi Taqwa Yeh Hai K Jo Kuch Tere Dil Ky Andr Hai,Agr Tu IS Ko Khulay Hovay Taubaq Main Rakh Day Or Is Ko Lay Kar Bazar Ka Gasht Lagai,Tu Is Main Aik Cheez Bhi Aisi Na Ho,Jis Ko Is Tarha Aashakara Krnay Main Tujhay Sharm Aye,Ya Koi Is Par Harf Geeri, Nukta Cheni Ya Ingsht Nemai Kar Saky.

Hadith Mubaraka (SAW):Halal -o- Haram Maal Sy Hajj Krny

Halal -o- Hram Maal Sy Hajj Krna Jaiz Nahi Hai..

Aqwal Hazrat Ali (R.A)

  1. Khanda Roi Sy Paish Aana  Sab Sy Pahli Naiki Hai.
  2. Kaarkhana Qudrat Main Fikar Krna Bhi Ibadat Hai.
  3. Aqeedha Main Shak Rakhna Shirk Ky Brabar Hai.
  4. Bay Mauqa Haya Bhi Baisy Mahromi Hai Or Qabil Suhabat Bouht Kam Log Hain.
  5. Shukar Nemat Hasool Nemat Ka Bais Hai Or Na Shukri Hasol Zihmat Ka Bais Hai.
  6. Adab Behtreen Kamalat Or Khairaat Azal Tareen Ibadat Main Sy Hai.    

Hazrat Abu Alhasan Kharqani (Rihmatul Alamen) Quotes

  1. Allah Ta'ala Ki Dosti Is shakhs Ky Dil Main Nahi Hoti Jis Ko Khalq Par Shafqat Nahi.
  2. Jo Shakhs Zameen Ka Safar Kray,Is Ky Pa'on Main Aablay Prtay Hain Or Jo Asman ka Safar Kray Is Ky Dil Main Aablay Prtay Hain.
  3. Jis Shakhs Ki Raat Or Din Billa Kisi Momen Ky Azar Denay Main Basar Ho,Go Woh Raat Hazoor (SAW) Ky Hazor Main Basar Ki.
  4. Aik Lamha Ky Wastay Allah Ta'ala Ka Ho Rihna,Khalaiq Zameen Asman Ky Amal Sy Behtar hai.
  5. Sadq Yeh Hai K Dil Batain Kray.Yani Woh Baat Kihay Jo Dil Main Ho. 

Aqwal Hazrat Syedna Siddique Akbar (R.A)

  1. Jo Allah Ky Kammo Main Lag Jata Hai,Allah IS Ky Kammo Main Lag Jata Hai.
  2. Jihad Kifaar, Jihad Asghar Hai Or Jihad Nafs, Jihad Akbar Hai.
  3. Hazrat Abu Bakar Siddiue (R.A) Nay Khilafat  Ko Baar Azeem Qarar Diya Hai.Or Kisi Ko Is Ki Talab nahi Krni Chahiye.
  4. Khalifa Ko Apni Taqat Par Gamand Krnay Ki Bajaye Allah Ki Madid Par Zyda Bharosa Krna Chahiye.
  5. Nai Rahain Talash Krnay Ki Bajaye Allah Or Rassol (SAW) Ky Bataye Hovay Rastay Par Chalnay Main Behtri Hai.
  6. Mazloom Ki Dad Rasi Khalifa Ki Awalain Farz Hai. 

Hazrat Ali (R.A) Quotes

  1. Logo Ky Dil Sahrai Janwar Hain,Jo K In Ko Sudhaai Ga ,Is Ki Taraf Jhukain Gain.
  2. Jab Tak Tumharay Naseeb Yawar Hain Tumharay Aib Dhakay Hovay Hain.
  3. Mauf Krna Sab Sy Zyda Isay Zaib Deta Hai Jo Saza Denay Par Qadar Ho.
  4. Sukhwat Woh Hai Jo Bin Mangy Ho Or Mangay Sy Dena Ya Sharm Hai Ya Bad Goi Sy Bachata Hai.
  5. Aqal Sy Barh Kar Koi Sarwat Nahi Or Jahalat Sy Barh Kr Koi Bay Maigi Nahi.Adab Sy Barh Kr Koi Miraas naih Or Mushwary Sy Zyda Koi Cheez-o-Madid Gaar Nahi. 

Mah -e- Zilhajj Ky Nafli Rozay Ka Suwaab (Hadth Alshahoor)


Ilm (Ilm Aisa Khazana Hai)

  1. Ilm  Aisa Khazana,Hai Jis Ka Zakhera Bharta Hi Rahta Hai.
  2. Ilm Aisi Daulat Hai,Jisay Chiraya Nahi Ja Sakta.
  3. Ilm Dil Ko Aisay Zinda Krta Hai Jaisay Barish Khushk Zameen Ko.
  4. Ilm Aisa Noor Hai,Jo Jahalat Ky Andhhray Ko Door Krta Hai.
  5. Ilm Aisi Naiki Hai,Jo Insaan Ka Naam Hamesha Ky Liye Zinda Rakhti Hai.
  6. Ilm Zavior Hai,Jis Ki Chamk Kabhi Mand Nahi Parti.
  7. Ilm Or Daulat Ki Piyaas Kabhi Nahi Bujhti. 

Aqwal-e-Zareen

  1. Ghareeb Woh Nahin Jis Ky Pas Daulat Nakin Balky Ghareeb Woh Hai Jis Ky Pas Dost Nahi.
  2. Dosti Ky Mazay Ko Aik Dafa Ki Ranjash Hamesha Ky Liye Zahr Alod Kar Deti Hai.
  3. Talwaar Ka Kaam Zakham Mitt Jata Hai Magr Zuban Ka Nahi
  4. Dua Par Itmaad Iman Ka Ala'a Darja Hai.
  5. Guzra Waqt Apnay Pechay Koi Pegham zaror Chor jata Hai.
  6. Apnay Gunaho Ka Ehsas Hi Tauba Hai.
  7. Kisi Ka Raaz Chupana Imanat Hai.

Mah-e-Zilhaj Ky Nafli Rozay Raknay Ka Suwaab


Zilhaj Ka Mahina Barkat Wala Mahina Kiun Ky Yeh Humay Hazrat Abrahim (A.S) Ki Sunat Or Apni Sab Sy Piyari Cheez Allah Ta'ala Ky Rastay Main Qurban Krnay Ka Dars Dyta Hai..... 

Best Aqwal-e-Zareen

  1. Kitabain Jalti Hovi Mashal Ki Tarha Hain, Inhain Har Wwaqt Apnay Sath Rakhna Chahiye.
  2. Insan Ko Haya Buland Karti Hai Or Gharoor Necha'a Dekhata Hai.
  3. Musibatain Isan Ko Baydar Krnay Ky Liye Aati Hain Na K Parshan Krnay Ky Liye.
  4. Bay Amal  Alam Ki Misaal Aisay Hai Jaisay Andhay Ky Hath Main Mashal Log Is Sy Roshni Hasil Krtain Hain Or Woh Khud Roshni Sy Mahrrom Rahta Hai.  

Aqwaal -e- Zareen (Best)

  1. Admi Sy Pahlay Admi Ky Khasail Shahr Main Atay Hain.
  2. Ilm Isan Ki Ghaibi Aankh Hai Jis Ky Zariya Woh bouht Kuch Dekh Laita Hai.
  3. Nasihat Ka Bahtreen Musraf Yeh Hai K Is Ko Suna Jay, Is Par Amal Kiya Jay Or Isay Aagay Barhaya Jay.
  4. Khud Wohi Krain Jo Dosro Sy Aap Chahty Hon.

Hazrat Syedna Ali Al-Murtaza (R.A) Quotes

  1. Eqeeda Main Shak Rakhna Shirk K Brabar Hai.
  2. Dosti Aik Khud Paida Krda Rishta Hai.
  3. Adat Par Ghalib Aana Kamal Fazailat Hai.
  4. Gunaho Par Nadam Hona, In Ko Mitta Dayta Hai Or Nakiyou Par Maghroor Hona In Ko Barabd Kar Dayta Hai.
  5. Aqal Mand Hamesha Ghum -o- Fikar Main Rahta Hai.

Aqwal Hazrat Syedna Siddique Akbar (R.A)

  1. Islami Mumalkt main Dastoor Sazi Or Qanoon  Sazi Ka Banyadi Makhaz Quran -o- Sunat Hain.In Sy Rahnamai Hasil Ki Jay.
  2.  Mumalkt -e- Islamia Ky Hukmrano Ki Hasiyat Naib ki Hai.Hakumat Ky Tamam Ikhtyarat Or Sarkari Quwat Allah Ta'ala Ki Imanat Hai.
  3. Islami Riyasat Ky Har Shahri Ka Farz hai K Tamam Muqrar Karda Ikhalaki Hadood Ki Pabandi Krain Or Hakumat Ka Farz Hai K Is Baat Ki Nagraani Kary K Log Apnay FRaiz Or Zima Dariyou Ko Pura Kar Rahy Hain K Nahin.
  4. Islami Mumalkat Main Sarbraha Mumalkat Ka Ehada Or Degar Tamam Kaleedi Ehaday Sirf Diyantdar Muslmano Ko Diye Jain.

Hazrat Syedna Abu Bakar Siddique (R.A) Quotes

  1. Islami Hakumat Ko Fihashi Ka Sad -e- Bab Krna Chahiye.
  2. Jihad Ky Liye Har Waqt Tayar Rahna Momen Ki Shan Hai.
  3. Jihad Ko Tark Krnay Ka Injaam Zilat -o- Riswai Hai.
  4. Allah Ta'ala Ki Wahdaniyat Ko Puri Tarha Tasleem kiya Jay Or Aisay Qool -o- Amal Sy Ijtanab Kiya Jay K Nazriya Toheed Ko Thais Pohnchay.
  5. Allah Ta'ala Ky Ektadar -e- Ala Ko Tasleem Kiya Jay.
  6. Muqrar Krda Islami Hadood -o- Waqued Ko Pamaal Na Kiya Jay.  

Mah -e- Zil Hajj K Fourth Day K Nafli Rozay K Fazail

Mah -e- Zil Hajj K Nafli Rozay K Fazail....

Hadith Mubarak (SAW) Juma K Din Aik Gharri Aisi Hai K Muslman Is Main Allah Sy jo Mangta Hai


Hazoor Akram (SAW) Ka Arshad Pak:Jab Tum Main Sy Koi Juma K Din Onghay


Beshak Allah Apnay Bandy Sy Sirf itni Si Baat Par Raazi

حدیث مبارکہ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)
حضرت انس بن مالک(رضی اﷲُعَنہ) سے روایت ہے رسول اﷲ(صَلی اﷲُعَلیہِ وَسلم)نے فرمایا:’’ بے شک اﷲ تعالیٰ بندے سے (صرف اتنی سی بات پر)راضی ہوجاتاہے کہ وہ کھانا کھائے اور پھر اس پر (اﷲکا شکر ادا کرتے ہوئے)الحمداﷲکہے۔اور پانی پیئے اور اس پر (اﷲکا شکر اداکرتے ہوئے)الحمداﷲکہے۔‘‘
                                                                                                      (مسلم)

Popular Posts