Umm-ul-Momaneen Hazrat Ayesha Siddiqa (R.A) Farmati Hain "Jis Tarha Tum Log Muslsal Or Mutwatar Guftagu Krtay Ho Or Rasool Allah (SAW) Is Tarha Guftagu Na Farmaty Thy Balky Baat Krtay Waqt Agr Koi Shakhs Ap (SAW) Ky Alfaaz Shumar (Ginna) Krna Chahta Tu Shumar Kar Sakta Tha."
Allah Ta'ala Hum Sab Ko Hazoor Akram (SAW) Ki Sunnaton Ky Mutabik Zindgi Guzarnay Ki Taufeeq Ata Frmaye.Ameen
(Bukhar Or Muslim Shareef)
Hazrat Ayesha Siddiqa (R.A) Farmati Hain "Main Ny Nabi Kareem (SAW) Ko Kabhi Bhi Is Tarha Khul Khula Kar Hanstay Hovay Nahi Dekha Ka Ap (SAW) Ka Talu Mubarak Nazar Anay Lagy Balky Ap (SAW) Sirf Muskuraya Krtay Thy."
(Bukhari Shareef)
Humain Jab Bhi Kisi Sy Guftagu Krnai Ho Tu Ahista Sy Bolna Chahiye Taky Jis Sy Baat Ki Jaye Woh Humari Baat Ko Asaani Sy Samjh Sakay Or Guftagu Ky Doraan Hath Per Hath Nahi Marna Chahiye Or Apni Guftagu Main Narmi Or Sabr-o-Tahammul Sy Kaam Lena Chahiye.Allah Ta'ala Hum Sab Ko Hazoor Akram (SAW) Ki Sunnaton Ky Mutabik Zindgi Guzarnay Ki Taufeeq Ata Frmaye.Ameen
Good👍👍
ReplyDelete
ReplyDelete