Hazoor Akram (SAW) Farmatain Hain K Mah-e-Ramdan Allah Ta'ala Ka Mahina Hai.Bouht Hi Ba-Barkat Or Fazailat Wala Mahina Hai Or Sabr-o-Shukar Or Ibadat Ka Mahina Hai.Is Mah-e-Mubarak Ki Ibadat Ka Swab 70 Guna Zyda Ata Hota Hai.Jo Koi Apnay Rab Ki Ibadat Kar Ky Is Ki Khush Nodi Hasil Kray Ga Is Ki Bari Jaza Khuda Wand-e-Ta'ala Ata Farmaye Ga.
Zakat Denay Ky Fawaid
- Zakat Samaji Falah-o-Bahbood Ka Behtreen Zariya Hai.
- Zakat Ki Zariye Mashray Ky Mahroom Or Muflas Ki Kafalat Ho Jati Hai.
- Zakat Sy Mashray Main Nafrat-o-Intaqam Ky Bajay
- Humdardi-o-Ihtaraam Or Bahami Muhbat Ky Jazbaat Ko Faroogh Hasil Hota Hai.
- Zakat Denay Walay Ky Dil Sy Maal Ki Muhabt Mit Jati Hai Or Allah
- Ta'ala Ki Raza Hasil Krnay Ka Jazba Ghalab Aa Jata Hai.
- Ghareebo Sy Humdardi Paida Ho Jati Hai.
- Daulat Ky Gardash Main Anay Sy Mashrzy Ky Afraad Ki Mali Halat Behtar Ho Jati Hai.
Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat
Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:
"Jis Ny Iman Or Ihtasaab Sy Ramdan Ky Mahinay Main Rozay Rakhay Tu Is Ky Pichlay Tamam Gunah Mauf Kar Diye Jain Gain."
"Roza Mere Liye Hai Main Hi Is Ka Badla Don Ga."
"Jo Shakhs Ramdan Main Kisi Roza Dar Ko Raza Iftar Krai Ga,Is Ky Gunaho Ky Liye Maufi Hai Or Woh Khud Ko Jahnam Ki Aag Sy Bachai Ga Or Usay Roza Dar Jitna Hi Swab Milay Ga Jab Ky Is Roza Dar Ky Liye Apnay Swab Main Koi Kami Waqiya Nahi Ho Gi."
"Jis Ny Iman Or Ihtasaab Sy Ramdan Ky Mahinay Main Rozay Rakhay Tu Is Ky Pichlay Tamam Gunah Mauf Kar Diye Jain Gain."
"Roza Mere Liye Hai Main Hi Is Ka Badla Don Ga."
(Sehi Bukhari)
"Jo Shakhs Ramdan Main Kisi Roza Dar Ko Raza Iftar Krai Ga,Is Ky Gunaho Ky Liye Maufi Hai Or Woh Khud Ko Jahnam Ki Aag Sy Bachai Ga Or Usay Roza Dar Jitna Hi Swab Milay Ga Jab Ky Is Roza Dar Ky Liye Apnay Swab Main Koi Kami Waqiya Nahi Ho Gi."
(Tarmzi-Ibn-e-Majha)
Quran Majeed Main Rozay Ki Ahmiyat
Arshad-e-Bari Ta'ala Hai:
"Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gaye Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gaye Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."
Mazkora Bala Ayat Main Jahan Rozay Ka Farz Hona Sabat Hota Hai,Waha Is Ko Farz Krnay Ki Hikmat Bhi Maloom Hoti Hai Or Woh Hai Taqwa Ka Hasool.
Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.
"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Paye Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay."
"Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gaye Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gaye Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."
(Surah Al-Baqra: 183)
Mazkora Bala Ayat Main Jahan Rozay Ka Farz Hona Sabat Hota Hai,Waha Is Ko Farz Krnay Ki Hikmat Bhi Maloom Hoti Hai Or Woh Hai Taqwa Ka Hasool.
Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.
"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Paye Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay."
(Surah Al-Baqra: 185)
Hadiths Main Rozay Ki AhmiyatIslam Main Rozay Ka Mafhoom
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krna Or Chup Rehna.Istalah-e-Deen Main "Soom" Sy Muraad Hai K Subah Sadaq Sy Gharoob-e-Aftab Tak Khanay Peenay Or Mubashrat Sy Rukay Rehna.
Subscribe to:
Posts (Atom)
Popular Posts
-
Lughat Main Sunnat Is Rastay Ko Kehtay Hain Jis Par "Chala Jaye, Khawa Woh Rasta Acha Ho Ya Bura.Lakin Shari Istalah Main Sunnat Sy Mu...
-
Ameer Al-Momaneen Hazart Umar Farooq (R.A) Baroz Budh (Wednesday) 27 Zilhaj Ko Zakhmi Hovay Or Yakam Muharram 24 Hijri Baroz Hafta (Saturda...
-
Rasool Allah (S.A.W) Ny Frmaya K Rajab Ka Mahina Allah Ta'ala Ka Mahina Hai Or Shaban Ka Mahina Mera Mahina Hai Or Ramdan Meri Umat K...
-
Is Mahinay Ki Yakam (1) Tareekh Ko Syedna Nooh (A.S) Keshti Par Sawar Hovay. Is Mah Ki 4 Tareekh Ko Jung-e-Safain Ka Waqia Paish Aya. ...
-
Rozay Ka Mafhoom Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz ...