Hazrat Bar'a Bin Aaz'ab (R.A) (حضرت برا بن عازب رضی اللہ عنہ) Sy Rewayat (روایت) Hai K Hum Logon Ko Rasool Allah (SAW) Ny Saat (سات) Cheezon (چیزوں) Ka Hukam (حکم) Frmaya:
- Janazon (جنازوں) Ky Pechay Chalna
- Be-Maron (بیماروں) Ki Mizaaj Pursi (مزاج پرسی) Ky Liye Jana
- Ch'heenk (چھینک) Ka Jawab Dena (Yani Jis Waqat Koi Cheenknay (چھینکنے) Wala Shakhs Cheenk (چھینک) Kar Alhumdullah (الحمداللہ) Kehay Tu Is Waqt Ya-Rehmkullah (یرحمک اللہ) Kehay)
- Or Jab Koi Shakhs Dawat (دعوت) Kray Tu Is Ko Qabool Krna
- Jis Shakhs Par Zulim (ظلم) Hova Ho, Ya Ho Raha Ho, Tu Is Ki Madid (مدد) Krna, Jis Tareeqay (طریقے) Sy Mumkin (ممکن) Ho Sakay
- Qasamon (قسموں) Ko Sacha Krna (Jaiz (جائز) Qasam Khanay Ky Baad Us Ko Pura Krna)
- Salam (سلام) Ka Jawab Dena
(Sunan Nisai 3:Book Qasam Or Nazar:Hadith 3812)
No comments:
Post a Comment