Aqwal Hazrat Nazamuddin Auliya (R.A)

  1. Dua Ky Waqt Kisi Gunah Ya Ataat Ka Khayal Dil Main Lanay Ki Bajai Khuda Ki Rehmat Par Nazar Rakhni Chahiye.
  2. Haq Ta'ala Par Bhrosa Rakhna Chahiye.Or Is Ky Sewa Kisi Sy Umeed Nahi Rakhni Chahiye.
  3. Admi Ka Iman Is Waqt Tak Kamal Nahi Hota.Jab Tak Is Ki Nigah Main Tamam Makhloq Machar Sy Bhi Kam Haqeeqat Maloom Ho.
  4. Jo Shakhs Rah-e-Muhabat-o-Marfat Main Kamal Hai.Is Sy Alim Batan-o-Zahar Main Koi Chez Posheeda Nahi Or Na Hi Posheeda Rehti Hai.
  5. Marfat Ka Nishan Yeh Hai K Is Main Khamoshi Bouht Ho.Agr Kisi Waqt Baat Kray Tu Baqadr Zarorat Kray.
  6. Darwesh Ky Dil Main Ajz-o-Inkassari,Tasleem-o-Raza, Khoof-o-Rija Or Sabar-o-Shukar Ky Osaaf Ka Hona Lazmi Hai.

No comments:

Post a Comment

Popular Posts