Hazrat Umer Farooq (R.A) Ka Adalati Nizaam Or Nazam-e-Zindgi Ka Qayam

    عدالتی نظام اوردیگرنظام ہانےزندگی کاقیام
Sydna Farooq-e-Azam (R.A) Ny Adlo-Isaaf (عدل وانصاف) Ky Qayam Ky Liye Ba-Qaida Toor (باقاعدہ طور) Par Adalati Nazaam (عدالتی نظام) Qaim Kiya Or Qazyou Ka Taqrar Kia.Qazyou Ky Liye Ba-Zabta Asool (باضاطه اصول) Tayar Kiye Gy, Tamam Muqdmaat (مقدمات) Ky Faislay Quran-o-Sunat Ky Mutabik Karany Ka Paband Kia Gaya.
Alaqay (علاقے) Main Aman-o-Amaan Ko Qaim Krnay Ky Liye Police Mehkmay (پولیس محکمے) Qaim Kiye Gy, Mujarm'on (مجرموں) Ky Liye Jail Khanay Banaye Gy.
Zakat Or Tax Wasool Krnay Ky Liye Aik Alag Mehkma (الگ محکمہ) Qaim Kia Gaya.
Taleem Ky Liye Her Jaga Madaras (مدارس) Qaim Kiye Gy Or Teachers (اساتذہ) Ky Liye Tankhwa (تنخواہ) Muqrar (مقرر) Ki.
Ibadat-o-Nimaz (عبادت ونماز) Ky Liye Her Shehar Main Mosques (مساجد) Qaim Ki Gain.
Musafr'on (مسافروں) Ky Rehnay Or Khanay Ky Liye Jaga Jaga Musafar Khanay (مسافرخانے) (Saraye) Qaim Kiye Gy.
Zar'raat (زراعت) Ki Tarqi Ky Liye Nehri Nazaam (نہری نظام) Ka Qayam Kia Gaya.

See More . . .

No comments:

Post a Comment

Popular Posts