- Gunah Sy Tauba Krna Wajab Magr Gunah Sy Bachna Wajab Tar Hai.
- Mujhay Kaprron Main Dafan Na Kiya Jaye,Kaprron Ky Zyda Mustahiq Woh Hain Jo Zinda Or Barhna Hain.
- Parheez Kro, Parheez Nafa Deta Hai, Amal Kro, Amal Qabool Kiya Jata Hai.
- Mewa Dar Drakht Ko Mat Katna.
- Jis Par Nasihat Asar Na Kray, Woh Jan Ly K Mera Dil Iman Sy Khali Hai.
Golden Words Hazrat Abu Bakar Siddique (R.A)
Fabulous Words Hazrat Ali (R.A)
- Jism Aik Dukan Hai Or Zuban Is Ka Ta'ala Hai Jab Ta'ala Khulta Hai Tu Maloom Hota Hai K Dukan Sonay Ki Hai Ya Koilay Ki.
- Jis Darakht Ki Lakarri Naram Ho Gi Is Ki Shakhain Zyda Hon Gi,Bus Nram Tabiyat Or Naram Guftar Ban Jao Ta Ky Tumhare Chahnay Walay Zyda Hon.
- Kabhi Kisi Ky Samnay Apni Safai Paish Na Kro Q K Jisay Tum Par Yaqeen Hai Isay Zarorat Nahi Or Jisay Tum Par Yaqeen Nahi Woh Manay Ga Nahi.
- Dosti Ki Zeenat Aik Dosray Ki Baat Ko Bardaasht Krna Hai.
- Be-Aib Dost Talash Mat Kro Warna Akilay Reh Jao'n Gy.
Mah-e-Rajab Ki Nafli Ibadat
Shab-e-Miraaj Ko 8 Rakat Nawafal 2,2 Kar Ky Parhain.Har Rakat Main Surah Fatiha Ky Baad 3 Martba Surat Bani Israil Ki Pehli 3 Ayaat Parhi Jain.In Nawafal Ky Parhnay Sy Qalbi Pakeezgi Paida Ho Gi Or Allah Ki Hamd-o-Sana Ki Taraf Dil Khoob Mail Ho Ga Or Allah Ki Bandgi Main Kaif-o-Saroor Paida Ho Ga.
Rajab-ul-Murajjab Ki Fezailat
- Islami Saal Ky 7 Mahinay Ka Naam Rajab-ul-Murajjab Hai.
- Rajab Ka Matlab Hai Izat Krna Ya Tazeem Krna Hai.
- Ahl-e-Arab Is Mahinay Ko Allah Ka Mahina Kehtay Thy Jis Ki Bina Par Is Ki Tazeem Krtay.Isi Waja Sy Is Ka Naam Raja Par Gaya.
- Is Mahinay Ko "Asab" Bhi Kaha Jata Hai.Q K Is Main Allah Ta'ala Apnay Bandon Par Rehmat-o-Maghfrat Krta Hai.
- Is Mah Main Ibadatain Maqbol Or Dua'ain Qabool Hoti Hain.
- Rajab Ka Mahina In 4 Mahino Main Sy Hai Jin Ko Ashehar Al-Haram Kaha Gaya Hai.Hurmat Ky Mahinay Hain
- Muharram
- Rajab
- Ze-Qad
- Zil-Hajj
Darood Sharif Parhnay Ki Fezailat
- Darood Sharif Parhnay Sy Allah Ky Hukam Ki Tameel Ho Jati Hai.
- Darood Sharif Parhnay Sy Allah Ta'ala Ki Mowafaqt Hoti Hai.
- Nabi Kareem (SAW) Ki Khawab Main Zayarat Naseeb Hoti Hai.
- Kassrat Sy Darood-o-Paak Parhnay Walay Ko Rasool Allah (SAW) Ki Zayarat Bedari Main Honay Lagti Hai.
- Jo Shakhs Subah Shaam 10,10 Bar Darood Sharif Parhay Ga Woh Nabi Kareem (SAW) Ki Shefa'at Paye Ga.
- Darood Sharif Parhnay Sy Firshton Ki Mowafaqt Hoti Hai.
- Allah Kareem Darood Paak Parhnay Walay Ki 10 Neikiyan Lekh Deta Hai,Is Ky 10 Darjay Buland Kar Deta Hai Or Is Ky 10 Gunah Mauf Kar Diye Jatain Hain Or 10 Bar Rehmat Bhejta Hai.
Rajab Ky Nafli Razay Ka Swab
Rajab Al-Marjab Ky Mahinay Ky Rozay Rakhna Swab Hai.Rasool Allah (S.A.W) Ny Farmaya: Rajab Aik Azeem-ul-Shan Mahina Hai Is Main Allah Ta'ala Nikiyoun Ko 2 Guna Krtain Hain.Jo Admi Rajab Ky Aik Din Ka Roza Rakhta Hai.Is Ny Goya Saal Bhar Ky Rozay Rakhay Hain Or Jo Koi Rajab Ky 7 Din Ky Rozay Rakhay Is Par Dozikh Ky 7 Darwazay Band Kiyain Jain Gain Or Jo Koi Is Ky 8 Din Ky Rozay Rakhay Tu Is Ky Liye Jannat Ky 8 Darwazay Kholay Jain Gain Or Jo Koi Admi Rajab Ky 10 Din Ky Rozay Rakhay Tu Allah Kareem Sy Jis Cheez Ka Sawal Kray Ga.Allah Ta'ala Us Ko Ata Krain Gy.Rajab Ky 15 Din Rozay Rakhnay Par Asman Sy Aik Minnadi Nida Kray Ga K Tere Saray Gunah Muaf Ho Gy Or Ab Nai Sirray Sy Amal Shoro Kar,Or Jo Zyda Rozay Rakhay Ga Isay Allah Ta'ala Or Atta Krain Gy.
Rajab-ul-Murajjab Mashhor Waqiat
- Is Mahinay Ki Yakam (1) Tareekh Ko Syedna Nooh (A.S) Keshti Par Sawar Hovay.
- Is Mah Ki 4 Tareekh Ko Jung-e-Safain Ka Waqia Paish Aya.
- Is Mah Ki 27 Raat Miraaj Shareef Ki Hai.Jis Main Hazoor Akram (S.A.W) Ny Asmani Sair Or Jannat-o-Dozikh Ka Melahaza Krna Or Deedar-e-Ilahi Sy Ba-Mushraf Hona Shamil Hai.
- Is Mah Ki 28 Tareekh Ko Hazoor Akram (S.A.W) Ko Maboos (Risaalat Di Gai) Farmaya Gaya.
Hadith's Main Rajab Ki Fezailat
- Rasool Allah (S.A.W) Ny Frmaya K Rajab Ka Mahina Allah Ta'ala Ka Mahina Hai Or Shaban Ka Mahina Mera Mahina Hai Or Ramdan Meri Umat Ka Mahina Hai.
- Rasool Allah (S.A.W) Ny Farmaya K Rajab Ki Fezailat Baqi Mahinon Par Aisi Hai Jaisi K Meri Fezailat Baqi Anbiya Karam (A.S) Par Hai.Ramdan Shareef Ki Fezailat Aisi Hai Jaisi Allah Ta'ala Ki Fezailat Tamam Bandon Par Hai.
(Masabt Min Al-Senat)
Subscribe to:
Posts (Atom)
Popular Posts
-
Lughat Main Sunnat Is Rastay Ko Kehtay Hain Jis Par "Chala Jaye, Khawa Woh Rasta Acha Ho Ya Bura.Lakin Shari Istalah Main Sunnat Sy Mu...
-
Ameer Al-Momaneen Hazart Umar Farooq (R.A) Baroz Budh (Wednesday) 27 Zilhaj Ko Zakhmi Hovay Or Yakam Muharram 24 Hijri Baroz Hafta (Saturda...
-
Har Shakhs Ko Is Ky Hunar-o-Johar Ky Mutabik Jaga Deni Chahiye. Kameeno Ky Muqblay Main Khamosh Raha Kro. Nimaz Main Qalab Ki, Majlas M...
-
'HAZRAT ABDULLAH BIN UMER (R.A)' Frmatain Hain K 'RASOOL ALLAH (SAW)' Ny Arshad Frmaya: 'Her Nasha Awar Cheez Ha...
-
Hazrat Abdullah Ibn-e-Abbas (R.A) Rewayat Krtain Hain K Hazoor Akram (SAW) Ny Frmaya: 'Mujhay Dozikh Dekhlai Gai Tu Is Main Zyda Ta...
-
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krn...