Hajj Ki Sheraiyt

  1. Hajj Karny Walay Ky Pas Itna Maal Ho Jo Is Ki Rihaish, Kapro'n, Nokro'n, Ghar Ky Samman Or Degar Zaroryat Sy Is Qadr Zaaid Ho K Makkah Makrma Tak Janay K Duraan Hajj Tak Wahan Rehnay Or Wapis Aany Tak Suwari K Kharch K Liye Kafi Ho Or Is K Pas Is K Elwa Itna Maal Ho Jis Sy Woh Apny Qarza Jaat Ada Kar Saky Or Is Aarsa K Liye Is K Ahl-o-Eyaal  Ka Kharch Pura Ho Sakay Or Ghar Ki Marmat Or Degar Mussaraf Ada Ho Sakay.
  2. Is Ko Yeh Ilm Ho K Is Par Hajj Krna Farz Hai.
  3. Woh Shakhs Sallm Al-Ezhaa Or Tandursat Ho.Mauzoor, Bemaar, Maflooj Or Bouht Borhay Par Hajj Farz Nahin.
  4. Agar Rasta Main Sallamti Ghalib Ho Tu Us Par Hajj Farz Hai Warna Nahin.
  5. Agar Is K Shahr Or Makkah Makrma K Darmiyan Teen Din Ya Is Sy Zaida Ki Musaft Ho Tu Orat K Liye Zarori Hai K Is K Sath Is Ka Khawand Ya Is Ka Mahram Ho Or Mahram K Liye Zarori Hai K Woh Mamoon, Azad, Aaqal Or Baligh Ho.Mahram Ka Kharch Hajj Krnay Walay K Zima Hai.
  6. Orat K Liye Yeh Bhi Zarori Hai K Woh Is Waqt Edat-e-Wafat Ya Edat-e-Talaq Na Guzar Rahi Ho.

No comments:

Post a Comment

Popular Posts