Farman -e- Hazrat Ali (R.A)

  1. Dost Ko Daulat Ki Niga Sy Mat Dekho,Wafa Krnay Walay Dost Aksar Ghareeb Hotay Hain.
  2. Dosti Krna Itna Asan Hai Jaisay Miti Sy Miti Par Miti Likhna Lakin Dosti Nibhana Itna Mushkal Hai Jaisay Pani Sy Pani Par Pani Likhna.
  3. Safar Sy Pahlay Hamsafar Or Ghar Khardnay Sy Pahlay Apny Parosi Ky Baray Main Maloom Kar Lo.
  4. Kisi Ki Khamoshi Ko Is Ka Takbar Na Samjho Kia Pata Woh Khud Apni Hi Zaat Sy Jang Kar Raha Ho.
  5. Main Jannat Ky Lalich Ya Dozikh Ky Darr Sy Us Ki Ibadat Nahi Krta Balky Is Liye Karta Ho'n K Woh Hai Hi Ibadat Ky Like.
  6. Agr Koi Tum Sy Naraz Hai Or Usy Is Baat Ka Gharoor Hai K Tum Usy Mana Lo Gey Tu Us Ky Gharoor Ko Totnay Mat Dena.
  7. Aqal Ky Zariye Khawhish Nafsani Ka Muqbala Kro.

No comments:

Post a Comment

Popular Posts