Rozay Ka Mafhoom
Roza Ky Liye Arbi Zuban Main Lafz "Soom" Istamaal Hota Hai."Soom" Ky Laghvi Maini Hain.Ruk Jana, Baz Rehna, Parheez Krna Or Chup Rehna.
Istalah-e-Deen Main "Soom" Sy Muraad Hai K Subah Sadaq Sy Gharoob-e-Aftab Tak Khanay Peenay Or Mubashrat Sy Rukay Rehna.
Quran Majeed Main Rozay Ki Ahmiyat:
- Irshad-e-Bari Ta'ala Hai:
"Ay Iman Walo!Tum Par Rozay Farz Kiye Gai Hain,Jaisa K Tum Sy Pahlay Logo Par Farz Kiye Gai Thy Ta Ky Tum Mutqi Ban Jao."
(Surah Al-Baqra: 183)
Mazkora Bala Ayat Main Jaha Rozay Ka Farz Hona Sabat Hota Hai,Waha Is Ko Farz Krnay Ki Hikmat Bhi Maloom Hoti Hai Or Woh Hai Taqwa Ka Hasool.
Is Ayat Sy Rozay Ka Farz Hona Tu Waziha Hota Hai, Magr Yeh Maloom Nahi Hota K Rozay Kab Rakhain Jain.Chunacha Surah Al-Baqra Ki Is Ayat Sy Yeh Baat Waziha Hoti Hai K Yeh Rozay Mah-e-Ramdan Main Rakhain Jain Gain.
- Irshad-e-Bari Ta'ala Hai:
"Ramdan Woh Mahina Hai Jis Main Quran Nazal Kiya Gaya, Jo Logo Ky Liye Hadayat Or Hadayat Ky Waziha Dalail Or Haq-o-Batal Main Farq Krnay Wala, Pas Jo Koi Is Mahina Ko Pai Is Ko Chahiye K Rozay Rakhay."
(Surah Al-Baqra: 185)
Hadiths Main Rozay Ki Ahmiyat:
- Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:
"Jis Ny Iman Or Ihtasaab Sy Ramdan Ky Mahinay Main Rozay Rakhay Tu Is Ky Pichlay Tamam Gunah Mauf Kar Diye Jain Gain."
- Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:
"Roza Mere Liye Hai Main Hi Is Ka Badla Don Ga."
(Sehi Bukhari)
- Hazoor Aqdas (SAW) Ny Frmaya:
"Jo Shakhs Ramdan Main Kisi Roza Dar Ko Raza Iftar Krai Ga,Is Ky Gunaho Ky Liye Maufi Hai Or Woh Khud Ko Jahnam Ki Aag Sy Bachai Ga Or Usay Roza Dar Jitna Hi Swab Milay Ga Jab Ky Is Roza Dar Ky Liye Apnay Swab Main Koi Kami Waqiya Nahi Ho Gi."
(Tarmzi-Ibn-e-Majha)