Sunnat Ki Ahmiyat

Lughat Main Sunnat Is Rastay Ko Kehtay Hain Jis Par "Chala Jaye, Khawa Woh Rasta Acha Ho Ya Bura.Lakin Shari Istalah Main Sunnat Sy Muraad Hazoor Akram (SAW) Ky Afa'al-o-Aqwal Hain Ya Aisay Kaam Jo Sarwar-e-Kainaat (SAW) Ky Samnay Kiye Gy Hon Or Ap (SAW) Ny Inhain Pasind Frmaya Ho.Sunnat Ka Atlaaq Aisay Amoor Par Bhi Hota Hai Jo Khulfa-e-Rashideen (R.A) Ny Kiye Hon Ya In Ky Krnay Ka Hukam Ho.
  • Hadith Ki Roshni Main Sunnat Ki Ahmiyat

Hazoor Akram (SAW) Ka Arshad Paak Hai:

"Tum Par Mere Tareeq Kaar Or Mere Bad Khulfa-e-Rashideen Ky Tareeqay Ko Ikhtayar Krna Lazim Hai."

"Jis Ny Meri Itaat Ki Is Ny Allah Ta'ala Ki Itaat Ki Or Jis Ny Meri Nafrmani Ki Is Ny Allah Ta'ala Ki Nafrmani Ki."


1 comment:

Popular Posts